Aayaa tyohaar Diwali ka Bachcho ki khushhali ka Bablu kahate - TopicsExpress



          

Aayaa tyohaar Diwali ka Bachcho ki khushhali ka Bablu kahate papa se Mujhako PC lana hai guriya kahati mammi se hame sitar bajana hai papa bare achambhe me hai ye mausam kangali ka Aayaa tyohaar diwali ka Bibi kahati pati dev se Jab bonus tum paayoge Sabse pahale haar sunahara La mujhako pahnaao ge Pati dev to mook bane hai Rupaya denaa udhaari ka Aayaa tyohaar diwali ka Sab ki farmaish se tang huye hai Bablu guriya ke papa ji Patni to sir chadh kar bole Kabhi na kahati aao ji Ab bhaag na sakate papa ji Jo theka liye rakhwali ka Aayaa tyohaar diwali ka
Posted on: Sat, 02 Nov 2013 05:46:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015