Bohat he yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai wo tera paas na - TopicsExpress



          

Bohat he yaad aata hai mere Dil ko tarpaata hai wo tera paas na hona bohat mujh ko rulaata hai, wo mera teri aankhon ke samander mein utar jaana aur teri muskurahat ke bhanwar main doob jaana teri awaaz ke shehar se nanikal pana tujh ko dekhna aur be-khudi se dekhte jaana, bohat chaha in guzre hue lamhon ko na sochoon na teri yaad mein reh ke tere saath ko sochoon, bhoola doon saari yaadonko ke jin se Dil tarapta hai ke jin se chees uth ti hai ke jin se dard hota hai, magar jab raat aati hai to teri yaad aati hai tere he khawaab hote hainteri he baat hoti hai, Ye ab jaana hai mumkin nahi tujh ko bhoola dena Bus ab kaam hai mera teri he yaad mein rehna tujhe he sochte rehna, tujhe jab yaad karte hain to Dil apna tarapta hai wo tera paas na hona bohat mehsoos hota hai...
Posted on: Thu, 29 Aug 2013 16:52:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015