Dosto All India Muslim Mahaz ki charcha ki shrooaat me ye baat - TopicsExpress



          

Dosto All India Muslim Mahaz ki charcha ki shrooaat me ye baat samne ayi thi ki mahaz apne programme me siyasat ke sath, sath musalmano ke total development ke liye kaam karega aur isi maqsad ke liye zaqat management ki baat kahi gayi thi. To Alhamdulillah ab hamare rozon ka eik ashra beet gaya hai aur ab sahab e nisab yani jin logo ke paas sarhe bawan tola chandi ya sarhe saat tola sona ya phir dono milakar kisi eik ke barabar maal wa bank balance ho to us par zaqat nikalna wajib hai, jo amadani ka 2.5 percent hota hai. Aur kam se kam aaj ki tareekh me eik admi par 2500 Rs hota hai. Ziyada ki koi limit nahi hai. Ye paisa un par kharch kiya jana hai jo gareeb hai, yateem hain, miskeen hai, berozgar hai, student hain, bewa ya talaqshuda aurtain hain, beemar wa pareshan admi hain, yateem khano, Hospital,madarso,scholarship,ya phir dawat Islami ke kaam par. Sath hi ye batana bhi zaroori hai ki sab se pehle apne nazdeeki rishtedaro me aur phir muhalle me zarooratmando ki madad karni hoti hai. Is kaam ke liye mahaz ke sabhi sathiyoun ko chahiye ki wo apne elako me shahar me, gaon me, muhallo me zaqat fund kayam kare aur zaqat donors ko lekar eik team banaye aur bakayda servey kar ke sabhi mad me zarooratmando ki bharpoor madad kare taki uski pareshani door ho sake aur agle saal wo zaqat hasil karne walo ki list me na rahe .jo bare zaqat donor hain unki madad se dispenseris chalayi jaye taki gareebon ka muft ilaaj ho sake. Jinki taleem me rukawat aa rahi hai unhe is fund se scholarship di jaye bewa aurto ki madad ki jaye taki wo khudkafeel ho sake aur amdani kar sake. Gareeb berozgaro ki karobari madad ki jaye taki we bhi kuch kaam kar sake aur samaj ki gareebi door ho sake .is kaam ke liye muslim registered tanzeeme achcha kaam kar sakti hain aur ho sake to mahaz ke convenor hazrat mahaz fund ke naam se zaqat management ka kaam shroo kare.jab tak ham zameen par utar kar kaam nahi karenge hamari socity me badlao nahi ayega.Allah hidayat de ameen.
Posted on: Sun, 21 Jul 2013 09:06:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015