Face Book per Islaah kerte waqt kuch Ahem baaton ko Zahen Nasheen - TopicsExpress



          

Face Book per Islaah kerte waqt kuch Ahem baaton ko Zahen Nasheen kerna zarori hai .Masalan: ◄Debate kerne ki Salahiyiat honi cahie Daleelon k sath tabhi Maidan mein koodein warna apni Zaati Wall per tikey rahein . ◄Comments mein ek dosre per Tana Kashi na karein ◄Koyi Zaati Dushmani ko Islamic debate k beech Na ane dein ◄Gali Galoch se Saqt parhez kerein ◄Baat sirf Puqta Daleel k sath kerein taki samne wale mein Hujjat paida na ho aur baat samjhna asan ho jaye.Waqt barbaad kisi ka na ho . Yaad rakhiye Iqtelaaf har Insan ka buniyadi Haq hota hai per Iqtelafat ko Inteqaam banana Bewaqufi ki alamat hai q k isey Islaah kam aur Muslim bhaichara ziyada Mutasir hota hain .Haq bayani zaroor kijiye mgr Hikmat k sath jaise Saanp bhi Mar jaye aur Laathi bhi Na toote (Gumrahi bhi dur hojaye aur ittehad bhi qayam rahey) ! ( Face Book k Haalat e Hazrah mein behadh Zaroori samjhi mai ye Post Update kerna ) :) :)
Posted on: Sun, 27 Apr 2014 10:57:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015