Internet Urdu Essay Computer ki Ahmiyat Faiday aur - TopicsExpress



          

Internet Urdu Essay Computer ki Ahmiyat Faiday aur Nuqsanat Internet Mazmoon Importance Of Computer: Aaj dunya mein taqreeban 97% afrad internet se aashna hain ya baqaida toor par internet ka istemal karte hain. Is technology ko roz baroz jadeed banaya ja raha hai. Lekin ibtida se aaj tak aksar is ka istemal karne wale is ka ghalat istemal kar rahe hain. Jabkeh aam toor par internet ka zayada istemal muashray mein manfi rawaiyon aur ghair samaji sargarmiyon ka baes ban raha hai. Is ke mazeed bure asrat ka mukhtasir jaeza darj zail hai. Internet ke beja intimal se nojawan tabqa muashrati aur samaji taluqat ke fuqdan ka shikar ho raha hai. Pehle pehl log aik rabta ke liye aur maloomat ke liye ghul mil kar rehte thay aur aik dusre ke paas thehartay thay. Lekin ab ye sub sargarmiyan khatam ho chuki hain jis se samaji taluqat (social internet action) buri tarah mutasir howe hain. Log har qisam ki maloomat ko internet se hasil karne ki koshish karte hain. Jis ki wajah se kitabon ka mutaliya ka rujhan bohat kam balkeh khatam hota dikhai de raha hai. Internet ke nuqsanat mein aik cheez ye bhi hai ke baaz log internet ke zariye ghair iklaqi aur ghair qanooni fayl sar anjam dete hain. Dehshat gardi aur corruption ke bare bare garoh bhi internet ke zariye apne makro karname sar anjam diya karte hain. Zayada dair tak internet aur computer par baithne se aankhon par bhi asar parta hai. Mehfilon aur meelon theelon ki ronaqain internet ki wajah se tabah ho kar reh gayi hain. Logon mein mail jool ka rujhan khatam ho raha hai aur ye sargarmiyan sirf aur sirf email aur chatting tak mehdood ho kar reh gayi hain. Is ke ilawa internet insan ki bunyadi zaroorat bhi ban chuka hai aur naujawanon mein internet ka rujhan aur barhta ja raha hai. Ye aam mushahida hai ke ab computer har ghar ka aik aham hisa ban gaya hai aur computer intemal karne wale internet ki sahulat se mustafeed bhi hote hain. Internet ke halqay aur asrat ke sarsari jaezay se humain ye andaza hota hai ke aaj isay kayi jehton mein istemal kiya ja raha hai. Talib ilm isay maloomat ke husool ke liye istemal karte hain, aur ye un ke liye naye dost talash karne mein bhi madadgar sabit hota hai. Internet ke zariye paisa bhi kamaya jata hai. Kisi bhi shobay mein tehqeeq karne walon ke liye tou ye kisi naimat se kam nahin. Is ki madad se aap na sirf apne kaam balkeh apni zaat ko bhi behtar andaz mein dunya ke samne zahir kar sakte hain. Internet hi ki badolat dunya simat kar aik global village ki shakal ikhtiyar kar gayi hai. Ab khabron ka bahao teez ho gaya hai aur information yani maloomat ka hasil karna asan. Internet ki afadiat ke paish nazar aaj dunya ke har mumalik, har chotay bare sheharon mein naujawan internet ka istemal kar rahe hain. Jin ke paas computer ki sahulat muyasir nahin woh internet cafe ka rukh karte hain taham internet ke istimal ke doran khasi ghaflat barti jati hai. Aam toor par ye dekha gaya hai ke baishtar nojawan internet faqat tafreh ke liye istemal karte hain. Tafreh insan ka bunyadi haq hai, lekin is doran chand baton ka khayal rakhna zaroori hai. Internet ko sehatmand tafreh ke husool ke liye istemal karne mein harj nahin hai, lekin sasti tafreh ke liye internet ka use masail ka sabab ban sakta hai. Is koshish ka hasil khuch nahin, balkeh is se waqt aur paisa donon barbad hote hain aur insan kayi tameeri kaam nahin kar pata hai. Taham behtar hai ke isay fasla mitane ke liye istemal kiya jaye. Internet ko research ke liye istemal karna is ka sub se acha faida hai. Aap apne topics ke hawale se is par wasi tar maloomat hasil kar sakte hain. Thora arsa howa internet par aik social website facebook mutarif ki gayi jahan dunya bhar se naye dost banane ka moqa milta hai. Internet ke istemal se aaj ki dunya bohat zayada business bhi kar rahi hai kyoun ke aaj kal stores, shopping malls par jane ke bajaye log internet par hi online shopping karna zayada pasand karte hain, Jahan un ko ye cheezain market ki ba nisbat sasti aur kam waqt mein dastiyab hoti hain. Aaj dunya ka har tv channel apni website ke zariye logon ko pichli khabrain aur mazameen parhne ki sahulat faraham karta hai. Internet media ka istemal is lihaz se bhi bohat mufeed hai ke internet par akhbar parhne walon ki tadad barhne se kaghaz ka istemal bhi kam ho gaya hai jis se global warming ke khatre ko kam karne mein madad milti hai. Is silsile mein logon ko chand salon qabl on screen reading ka idea paish kiya gaya tha jis se logon mein ye shaoor paida howa ke woh internet par hi maloomati khabrain, kahani, dilchasp qissay, adab aur deegar pasandida muzooat ka mutaliya karain. Internet par mojood bohat sari nayi ijadat ke bare mein maloomat se agahi hasil karna logon ke liye intihai mufeed ban chuka hai. Aaj ke is door mein internet ki ahmiyat aur afadiat is qadar barh gayi hai ke is ki madad se log apne pasandida songs aur films aur videos wagera apne computer par ba asani dekh aur sunn sakte hain. Internet aur computer aaj ke door aur anay wale door ki aik bohat hi zabardast ijad hai aur talib ilmon ko chahiye ke woh is sahoolat se zayada se zayada istifada karain aur is ka musbat intemal kar ke mulk aur qaum ki taraqi mein apni aham role ada karain.
Posted on: Wed, 02 Oct 2013 07:00:30 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015