Mein Tou Malik Hee Kahoo(n)ga Kay Ho Malik Kay Habeeb Ya’anee - TopicsExpress



          

Mein Tou Malik Hee Kahoo(n)ga Kay Ho Malik Kay Habeeb Ya’anee Mehboob-o-Muhib Mei(n) Nahi(n) Meyra Teyra Teray Qadmo(n) Mei(n) Joe Hai Ghayr Ka Moo(n) Kia Dekhay(n) Kon Nazro(n) Pe Charr-Hay Dekh Kay Talwa Teyra Teray Tukro(n) Pey Palay Ghayr Ki Thokar Pey Na Daal Jhirkiya(n) Khaayei(n) Kaha(n) Chor Kay Sadqa Teyra Aik Mei(n) Kia Meray Isi’ayan Kee Haqeeqat Kitnee Mujh Say Sou Laakh Ko Kaafi Hai Ishara Teyra Farsh Waalay Tery Shaukat Ka U’lu Kya Dekhei(n) Khusrawa Arsh Pay Urrta Hai Phareyra Teyra Tery Sarkaar Mei(n) Laata Hai Raza Uss Ko Shafe’e Joe Meyra Ghaus Hai Aur Laadla Beyta Teyra Chamak Tujh Say Paatay Hai(n) Sub Paanay Waalay Meyra Dil Bhee Chamkaday Chamkanay Waalay Barasta Nahi(n) Deykh Kar Abray Rehmat Ba(dd)on Per Bhee Barsaaday Barsanay Waalay Madeenay Kay (Kh)ittay (Kh)uda Tujh Ko Rakhay (Gh)areebou(n) Faqeero(n) Kay T(eh)ranay Waalay Tu Zinda Hae WAllah Tu Zinda Hae WAllah Meyree (Ch)asm-e-A’alam Say (Ch)up Jaanay Waalay Mey(n) Mujrim Hoo(n) Aaqa Mujhay Saath Leylo Keh Rastay Mey(n) Hay(n) Jaa Bajaa Thaanay Waalay Haram Ki Zamee(n) Aur Qadam Rakh Kay (Ch)alna Array Sarr Ka Mauqa Hae O Jaanay Waalay Ab Aa-ee Shafa’at Kee Saa’at Ab Aa-ee Zara Chayn Lay Meyray Ghabranay Waalay Raza Nafs Du(sh)mun Hae Dum May(n) Naa Aana Kaha(n) Tum Nay Deykhay Hay(n) (Ch)undranay Waalay Unkee Mehek Nay Dil Kay (Gh)un(ch)ay Khilaa Diyay Hai(n) Jiss Raah (Ch)al Gayey Hai(n) Koo(ch)ay Basaa Diyay Hai(n) Jab Aagayee Hay(n) Josh-e-Rehmat Pay Unkee Aankhei(n) Jaltay Bujhaa Diyay Hai(n) Routay Hassa Diyay Hai(n) Aanay Dou Ya Dey-bou-dou Ab Tou Tumharee Jaanib Kashtee Tumhee Pay Chor-ee Lungar Uthaa Di-yay Hai(n) Allah! Kiya Jahannum Ab Bhee Naa Sard Hoga Rou Rou Kay Mustafa Nay Darya Ba-Ha Diyay Hai(n) Mayray Kareem Say Gar Qatra Kissee Nay Maanga Darya Ba-Ha Diyay Hain Durbay Ba-Ha Diyay Hai(n) Unkay Nisaar Ko-ee Kaesay Hee Runj Mey(n) Ho Jab Yaad Aagayay Hai(n) Sub (Gh)am Bhulaa Diyay Hai(n) Mulk-e-Su(kh)an Kee (Sh)ahee Tum Ko Raza Musallam Jiss Symt Aagayay Ho Si(kk)ay Bith-aa Diyay Hai(n) Wo Kamaal-e-Husn-e-Huzoor Hay Kay Gumaan-e-Naqs Jahaa(n) Nahee(n) Yay-hee Phool (Kh)aar Say Duur Hay Yay-hee Sham’a Hai Kay Dhu-aan Nahee(n) Ba(Kh)uda (Kh)uda Ka Yay-hee Hay Darr Nahi(n) Aur Koi Maffar Maqqar Joe Wahaa(n) Say Ho Yahee(n) Aakay Ho Joe Yahaa(n) Nahee(n) Tou Waha(n) Nahee(n) Teyray Aagay You(n) Hay(n) Dabbay La(ch)ay Fu-saha A’rab Kay Ba(rr)ay Ba(rr)ay Ko-ee Jaanay Moo(n) May(n) Zubaa(n) Nahee(n) Nahee(n) Balkay Jism Mei(n) Jaa(n) Nahee(n) Wo-hee Noor-e-Haq Wo-hee Zillay Rub Hai Unhee Say Sub Hai Unhee Ka Sub Nahee(n) Unkee Milk Mey(n) Aasmaa(n) Ke Zamee(n) Nahi(n) Ke Zamaa(n) Nahee(n) Wo-hee Laa Makaa(n) Kay Makee(n) Huay Sar-e-‘Arsh Ta(kh)t Nashee(n) Huay Wo Nabee Hai Jiss Kay Hai(n) Yay Makaa(n) Wo (Kh)uda Hai Jiss Ka Makaa(n) Nahee(n) Sar-e-‘Ar(sh) Per Hai Teree Guzar Dil-e-Farsh Per Hai Teree Nazar Malakoot-o-Mulk May(n) Ko-ee Shay Nahee(n) Wo Tujh Pay A’yaa(n) Nahee(n) Karoo(n) Teray Naam Pay Jaa(n) Fida Na Buss Aik Jaa(n) Dou Jahaa(n) Fida Dou Jahaa(n) Say Bhee Nahee(n) Jee Bharaa Karoo(n) Kiya Ka(ro)(ro)o(n) Jahaa(n) Nahee(n) Karoo(n) Madhay Ahle-e-Doel Raza Pa(rr)ay Iss Bala Mey(n) Meyree Balaa Mey(n) Gada Hoo(n) Apnay Kareem Ka Meyra Deen Paara-e-Naa(n) Nahee(n) Peysh-e-Haq Mu(zh)da Shafa’at Ka Sunatay Jaayeingay Aap Routay Jaayeingay Hum Ko Hasaatay Jaayeingay Dil Nikal Jaanay Kee Jaa Hai Aah! Kin Aankhoo(n) Say Wo Hum Say Piyaaso(n) Kay Liyay Darya Ba-ha-tay Jaayei(n)gay Haa(n) Chalo Hasrat Zad-oo(n) Suntay Hai(n) Wo Din Aaj Hai (Th)ee Khabar Jisskee Kay Wo Jalwa Dikhaatay Jaayei(n)gay Ku(ch) (Kh)abar Bhee Hai Faqeero(n) Aaj Wo Din Hai Kay Wo Na’mat-e-(Kh)uld Apnay Sadqay Mey(n) Luta-Tay Jaayei(n)gay Khaak Uftado Buss Unn Kay Aanay Hee Kee Dayr Hai (Kh)ud Wo Girr Kar Sajda(h) Mey(n) Tum Ko Utha –Tay Jaayei(n)gay Wus’atey(n) Dee Hai(n) (Kh)uda Nay Daaman-e-Mehboob Ko Jurm (Kh)ultay Jaayei(n)gay Aur Wo (Ch)upatay Jaayei(n)gay Lo Wo Aayay Muskuratay Hum Aseero(n) Kee Taraf (Kh)irman-e-Is’iyaa(n) Pay Bij-lee Gira-Tay Jaayei(n)gay Hush-ar Tak Daa-ley(n)-gay Hum Pey-Da-Ish-e-Maula Kee Dhoom Miss-Lay Faa-Ris Najd Kay Qil Aey Gira-Tay Jaayei(n)gay Khaak Ho Jaayei(n) A’doo Jal Kar Magar Hum Tou Raza Dum Mey(n) Jab Tak Dum Hai Zikr Unn Ka Suna-Tay Jaayei(n)gay Zamee(n)-o-Zamaa(n) Tumhaaray Lee-Yay Makee(n)-o-Makaa(n) Tumharay Lee-Yay Chuneen-o-Chunaa(n) Tumharay Lee-Yay Bun-Aey Dou Jahaa(n) Tumharay Lee-Yay Dehen Mein Zubaa(n) Tumharay Lee-Yay Badan May Hai Jaa(n) Tumharay Lee-Yay Hum Aa-Aey Yahaa(n) Tumharay Lee-Yay Uthay Bhee Wahaa(n) Tumharay Lee-Yay Isaalat -e-Kul Imaamat-e-Kul Siyaadat-e-Kul Imaarat-e-Kul Hukoomat-e-Kul Wilaayat-e-Kul (Kh)uda Kay Yahaa(n) Tumhaaray Lee-Yay Yay (Sh)ams-o-Qamar Yay (Sh)aam-o-Saher Yay Burg-o-(Sh)ajar Yay Baa(gh)-o-Samar Yay Tey(gh)-o-Sipper Yay Taaj-o-Qamar Yay Hukm-e-Rawaa(n) Tumharay Lee-Yay Na Rooh-e-Amee(n) Na Arsh-e-Baree(n) Na Lawh-e-Mubee(n) Koi Bhee Kahee(n) (Kh)abar Hee Nahi(n) Joe Ramzey(n) (Kh)ulei(n) Azal Kee Neyhaa(n) Tumharay Lee-Yay Jinaa Mei(n) Chama(n) Chama(n) Mei(n) Sa-mu(n) Sa-mu(n) Mei(n) (Ph)abu(n)( Ph)abun Mei(n) Dulha(n) Saza-Aey May-Hun Pay Aesay Mey-nun Yay Amn-o-Amaa(n) Tumharay Lee-Yay (Kh)aleel-o-Najee Maseeh-o-Safee Sabhee Say Kahee Kahee(n) Bhee Bun-ee Yay Bay (Kh)abaree Kay Khalq Phir-ee Kahaa(n) Say Kahaa(n) Tumharay Lee-Yay Ishaaray Say (Ch)aand (Ch)eer Diya Chup-Pay Huay (Kh)oor Ko Phayr Lee-Ya Ga-Aey Huay Din Ko Asr Kiya Yay Taab-o-Tawaa(n) Tumharay Lee-Yay Saba Wo (Ch)alay Kay Baa(gh) (Ph)al-Lay Wo (Ph)ool Khilay Kay Din Hoo(n) Bhal-Lay Leywa Kay Ta-Lay Sana May Khul-Lay Raza Kee Zabaa(n) Tumharay Lee-Yay Server Kahoo(n) Kay Maalik-o-Maula Kahoo(n) Tujhay Baa(gh)-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaiba Kahoo(n) Tujhay Subh-e-Watan Pay Shaam-e-Ghareeba(n) Ko Doo(n) Sharaf Bey-Cus Nawaaz Gey-Sue-Oo(n) Wala Kahoo(n) Tujhay Allah Ray Teyray Jism-e-Munawwar(Mo-Now-Were) Kee Taa-Bish-Aey(n) Aey Jaan-e-Jaa(n) Mei(n) Jaan-e-Tajalla Kahoo(n) Tujhay Mujrim Hoo(n) Apnay Af’oo Ka Samaa(n) Karoo(n) Shah-aa Ya’nee Shafe’e Roz-e-Jaza Ka Kahoo(n) Tujhay Teyray Tou Wasf A’eb Ta-Na-Hee Say Hai(n) Bury Hairaa(n) Hoo(n) Meyray Shah Mei(n) Kiya Kiya Kahoo(n) Tujhay Keh Lay Gee Sub Ku(ch) Unkay Sana Khuwaa(n) Kee Khaam-Shee (Ch)up Ho Raha Hoo(n) Keh Kay Mei(n) Kiya Kiya Kahoo(n) Tujhay Leykin Raza Nay Khatm-e-Su(kh)an Iss Pay Kar Dia (Kh)aaliq Ka Banda Khalq Ka Aaqa Kahoo(n) Tujhay Za-Hay I’zzat-o-A’et Laa-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Kay Hai Ar(sh)-e-Haq Zeyr Paa-Aey Muhammad(SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Makaa(n) Ar(sh) Unka Falak Far(sh) Unka Malak Khaad-maan-e-Sa-Raa-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Khuda Kee Raza Chah-Tay Hai(n) Dou A’alam Khuda Chah-Ta Hai Raza-e-Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Dum-e-Naz’a Ja-Ree Ho Mayree Zabaan Per Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Khuda-Aey Muhammad(SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Mei(n) Qurbaa(n) Kiya Piya-Ree Piya-Ree Hai Nisbat Yey Aan (Kh)uda Wo (Kh)uda-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Khuda Unko Kiss Piyar Say De(kh)ta Hai Joe Aankhey(n) Hai(n) Meh-Way Liqa-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Ijaabat Nay Jhuk Kar Gal-Lay Say La-Ga-Ya Bar-Hee Naaz Say Jab Dua-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Ijaabat Ka Sehra I’nayat Ka Joe-Ra Dul-Hun Bun Kay Nick-Lee D’ua-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam) Raza Pull Say Ab Wajd Kartay Guzriyay Kay Hai Rub-e-(Sal)lim Sada-Aey Muhammad (SalAllah-o-Alaih-e-Wasallam)
Posted on: Sat, 02 Nov 2013 14:02:12 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015