Press Note for Jhajhar Railly Note:- Proof k Aadhar par likh - TopicsExpress



          

Press Note for Jhajhar Railly Note:- Proof k Aadhar par likh raha hun or sare proof mere pas hain. Part-1 :- DSE ne 7 July 2005 ko Advt. No. 1/2005 dwara contract par Teachers Bharti k liye Aavedan mange the or Merit Suchi banana k liye Punjab University Chandigarh k sath DSE ka agreement hua tha. Es Bharti k liye kul 158822 Aavedan pahunche or PU Chandigarh ne Haryana Sarkar ki Guidelines k anusar Category wise & Subject wise Merit Suchi bana kar DSE ko CD me bhej di thi or sare Avedan bhi DSE ko bhej diye the. Education Minister ki Statement anusar 1 November 2005 ko en ki joining honi thi lekin es List me MP, MLA, Ministers k candidates ka selection nhi hua tha or agar es Suchi se joining karva di jati to ve sab regular ho sakte the kyon ki sari Bharti ek proper process k tahat hue thi or reservation ka pravdhan bhi tha. Esi vajah se Haryana Sarkar ne us Suchi ko jinda dafana diya. 26-10-2010 ko maine RTI se DSE se yah Suchi or Punjab University Chandigarh ka covering Letter manga jis k dwara yah Suchi DSE ko bheji thi lekin n to Suchana di or n hi RTI ki application ko reject kiya. 7 March 2011 ko First Appeal Bheji lekin koe jabab nhi aaya to 24-9-2011 Second Appeal SIC ko bheji jo ki 27-9-2011 ko pahunch gayi thi lekin 2 mahine tak SIC ne koe jabab nhi diya. 5 -12-2011 ko SIC ko reminder bheja jo ki 6-12-2011 ko SIC me pahunch gaya tha lekin SIC ne fir bhi koe jabab nhi diya. Dusara reminder SIC ko 8-2-2012 ko bheja jo ki 13-2-2012 ko pahunch gaya tha or es reminder me SIC ko chetavani bhi di thi ki agar SIC karyvahi nhi karega to mai High Court jane ko majbur hun lekin SIC ne tab bhi koe jabab nhi diya. April 2012 me ek sasta se Vakil k dwara SIC k khilaf High Court me yachika CWP No. 6768 of 2012 dal di or DSE ko bhi Party bana liya tab DSE se jabab aaya ki Advt. No. 1/2005 ki Merit Suchi hi nhi bani. Yah Sochane ki bat hai ki agar merit Suchi nhi bani thi to yah jabab DSE 18 Mahine pahle hi meri RTI ki application jate hi de sakti thi, First Appeal par bhi jajab diya ja sakta tha or SIC bhi Notice kar k meri Second Appeal dated 24-9-2011 ko decide kar sakti thi or mujhe High Court jame ki jarurat hi nhi padti. High Court me writ dalne k bad SIC ne Case No. 2403/2012 dwara meri Second Appeal accept ki or DSE ko Notice kiya jo ki October 2011 me hi ho jana tha. Yah sara ghatana karam yah sabit kar raha hai ki Punjab University Chandigarh ne Advt. No. 1/2005 ki Merit Such banakar October 2005 me hi bhej di thi or Guest Teachers ki niyukti bhi esi Suchi se honi thi. 7-6-2012 ko SIC ne Case ki sunvae k liye bulaya tha jis k liye maine 31-5-2012 ko rejoinder SIC ko bhej diya tha jo ki 1-6-2012 ko SIC me pahubch gaya tha or es ki copy DSE ko bhi bhej di thi jo ki 4-6-2012 pahunch gayi thi, domestic problem ki vajah se mai 7-6-2012 ko SIC me nhi pahubch paya. 7-6-2012 ko SIC se Commissioner ka Phone aaya or kahne laga ki aap ko Suchna bhej di hai maine jabab diya ki Suchni nhi bheji hai sirf jabab diya hai or vo bhi 18 mahine bad jab High Court me Case dal diya hai or maine apna rejoinder bhi 31 May ko bhej dita hai jo ki 1 June ko SIC me delivered ho chuka hai, jis me maine Dainik Jagran ki 17-4-2010 k Page No. 1 & 2 ki copy bhi lagae hai jis me likha hai ki PU Chandigarh ne Advt. No. 1/2005 ki Merit Suchi banakar nirdharit samay me DSE ko bhej di thi, tab Commissioner ne mere Gaon ka Nam or location puchhi to maine maine bata di fir Commissioner bola ki mai 5 Mint bad dobara Phine karta hun lekin dobara Commissioner ka Phone nhi aaya or ek mahine bad sida Decision bhej diya ki RTI activist Point No. 1 & 3 santusht hai kyon Point No. 1 & 3 par Sarkar fasegi or yah bhi likha tha ki rejoinder nhi bheja, SIC ka etna bada jhuth. SIC ka decision milte hi maine fir SIC ko likha ki SIC jhuth baol raha hai lekin SIC ne meri ek bhi nhi suni to maine apne Vakil ko sare proof de diye or kaha ki 20-9-2012 ko hearing k samay ye proof Judge k samne rakho lekin tab tak Sarkar mer Vakil ko kharid chuki thi or Vakil ne proof Judge k samne rakhe hi nhi jis karan se Court ne yah kahate hue meri writ kharij kar di ki Point No. 1 & 3 par RTI activist santusht hai or Point No. 2 par SIC karyavahi kar rahi hai. Maine fir se SIC ko likha ki SIC ne to RTI Act ka hi Murder kar diya hai tab SIC ne mujhe 24-12-2012 ko sunvae k liye bulaya or mai SIC gaya tatha sare proof Commissioner dikhaye or Commissioner ne mana ki Advt. No. 1/2005 ki Merit Suchi bani hai or DSE k pas pahunch chuki hai or Commissioner ne Point No. 1 & 3 par Suchna dene k liye DSE ko Order pas kiye or 14-2-2013 ki date lagayi lekin fir SIC se Phone aaya or kaha ki aap hearing 14-2-2013 ki bajay 3-5-2013 ko hogi. 3 May ko mai fir SIC gaya or Commissioner ne mujhe sham 4:30 tak SIC me baitha kar rakha or kaha ki Suchna lekar hi jana lekin suchna nhi mili. June me fir SIC se Phone aaya or Commissioner kahne laga ki aap ko Suchna de di gayi hai maine jabab diya ki Point No. 1 & 3 par mijhe Suchna nhi mili hai to Commissioner ne kaha ki Punjab University ne CIC, New Delhi ko jo jabab diya hai vah Fax kar do, maine vah bhi Fax kar diya lekin ab SIC ne final decision bheja hai jis me n to Suchna dilvae hai or n hi Jurmana lagaya hai, Compensate karma or Dhara 20 (2) k tahat SPIO k khilaf karyvahi to bahut dur ki bat hai. Part-2 :- Advt. No. 1/2005 ki Meri Such dabakar 29-11-2005 ko DSE ne Guest Teacher niyukti k liye Letter jari kar diya jis me likha tha ki jis Goan me post vacant hai usi Gaon k candidate ko Guest Teacher laga lo or ye Mid march 2006 tak kam karenge or bad me Advertisement publish ki jayegi, lekin kabhi bhi koe Advertisement publish nhi ki or unhi Guest Teachers ko aage continue rakha jo ki Indian Constitution k Anuchhed 14 & 16 ka ulangan kark k galaye gaye the or reservation bhi nhi diya gaya jis karan se reserve category k logo ka nukshan ho raha tha kyo ki Guest Teachers me 70 se bhi jyada General categry k lage hue the or ESM to ek bhi nhi laga tha, reservation k liye Kumari Selja me Sh. Hooda (CM) ko 10-1-2006 ko Letter likha lekin reservation ka koe pravdhan nhi kiya gaya. Maine bhi 16-2-2007 DSE & 28-3-2007 ko Education Minister ko Letters likhe lekin koe karyvahi nhi hue. CM ko bhi 3 Letters likhe lekin koe karyvahi nhi hue. 21-4-2010 ko RTI se es Letters par hue karyvahi ki jankari mangi lekin SIC tak bhi 2 bar gaya or n to Suchna mili or n hi Jurmana lagaya to maine CIC, New Delhi ko Dhara 18 k tahat shikayat bhej di lekin CIC ne vapis SIC ko bhej di or fir maine CIC k Letter ka hawala de kar SIC ko Letter likha lekin kuch bhi nhi hua. July 2006 me regular Bharti k liye Advt. No. 6/2006 dwara Aavedan mange or us me jan bujh kar 50 % reservation Gaon se Metric pas k liye kar diya or mamala High Court gaya that Bharti ki process me 3 Saal ki deri ho gayi or dusari side Guest Teachers ko Sarkar ne continue rakha jab ki sirf 15 March 2006 tak k liye lagaye the or us k bad Advertisement k dwara reservation k pravdhan k sath Guest Teachers ki niyukti honi thi or es se pahle PU Chandigarh ki Merit Suchi bhi daba lit hi. 24 July 2008 ko STET ki shart laga di jis ko Guest Teachers ne High Court me chunoti de di or High Court ne STET ki shart ko sahi bataya. 2009 me Advt. No. 3/2009 dwara HPSC ne Lecturer School Cadre or Advt. No. 4/2009 dwara HSSC ne Master or JBT ki vacancy nikali jis me Sarkar ne sirf Guest Teachers ko 24 marks experience k de diye or STET se bhi chhut de di jis k khilaf High Court me kae yachika dali or meri yachika CWP No. 19464 of 2009 ko Janhit yachika maan liya kyon ki maine Sarkar ko likhe gaye Letters bhi yachika me lagaye the yah mudda uthaya tha ki jab Guest Teachers ki niyukti hi unconstitutional hai to fir sirf Guest Teachers ko hi chhut kyon ? 10-4-2010 ko High Court ne yah chhut khari kar di lekin Guest Teachers Supreme Court chale gaye or Supreme Court ne un ko Bharti me to allow kar diya lekin sirf un k result par rok laga di or jab HPSC ne screening test (likhit priksha) lit hi or 6 Guest Teachers aise the jin ka ek bhi Sawal ka jabab thik nhi tha, 7 Guest Teachers aise the jin ka sirf ek hi Sawal thik tha. Haryana Sarkar ki anaypuran niti se tang aa kar maine President of India ko 25-2-2011 ko Letter likh kar apni 4 Mul Degrees Media k samne jalane ki permission mangi thi jo ki Jind Jagran or Jind Keasri k front Page & Dainik Tribue k Page No. 4 par 28-2-2011 ko chhapa or sath me maine RTI ki First Appeal bhej di thi jis ka jikar Part ek me kiya hai tab Jind k Dy DEO Sh. Dilbag Malik ne mujhe bula kar puchha ki kya chahte ho, maine jabab diya ki Gust Teachers ki niyukti Indian Constitution ka violation kar k bina Advertisement & bina reservation k pravdhan k hue hai jab ki Advt. No. 1/2005 ki Merit Suchi jo Punjab University se banvae thi, vah Guest Teachers ki niyukti k liye hi banvae thi or us me reservation ka bhi pravdhan tha or us suchi ko chhupa kar Indian Contitution ka violation kar k Guest Teachers ki niyukti ki gayi hai jo ki 15-3-2006 tak k liye ki gayi thi or ab tak continue jab maine Sarkar ko bar-bar Letters likhe hain or Sarkar ne Advertisement k dwara, reservation ka pravdhan kar k har saal Guest Teachers ki niyukti karni chahiye thi jaisa ki Delhi me hota hai. Jind Dy DEO ne DSE ko report di or Education ki Commissioner Smt. Surina Rajan ne 24-3-2011 ko High Court me CWP No. 6090 of 2010 ki hearing k samay Affidavit diya ki 7-4-2011 ko STET k liye permission di jayegi or 15-4-2011 se STET k Form ki bikri shuru ho jayegi tatha 31-12-2011 tak 25 Hazar regular Teachers ki bharti puri kar k 1-4-2012 ko join karva diya jayega or High Court nee s Affidavit k aadhar par 30-3-2011 ko Judgment diya ki 31-3-2012 k bad Guest Teachers ki har halat me Seva samapt lekin Sarakr ne High Court k us Judgment k anusar kam hi nhi kiya to maine es bare Khabar glagvae jo ki Punjab Kesari me 20-7-2011 ko Page No. 3 par chhapi thi or 27-7-2011 ko STET ka Schedule aa gaya tha jis k anusar 24 & 25 September 2011 ko STET ka Exam. hona tha lekin Sarkar ne fir chal chali or use Hisar election ka hawala dekar 5 & 6 November ko kar diya or sath me Guest Teachers ki Payment bhi chhothi bar bada di. Sarkar ne 31-3-2012 tak Advertisement bhi publish nhi ki jab High Court me Affidavit diya tha ki 31-12-2011 tak Bharti puri kar lenge. 2012 ka new Rule bana diya jis me fir se Guest Teachers ko 4 saal k experience k aadhar par STET/HTET se chhut de di jab High Court 10-4-2010 ko ese kharij kar chukka tha or Supreme Court bhi 21-2-2012 ko Guest Teachers ko di gayi chhut ko kharij kar chhuka tha. PGT ki Bhrti ki vacancy 07-6-2012 ko or PRT vacancy ki 08-11-2012 ko nikali or vo bhi mere Letters dated 27-4-2012 or 29-10-2012 likhane k bad or fir PGT ki Bharti me Good Academic Record ki sahrt laga di taki mamla High Court jaye or Guest Teachers continue bane rahen jis k liye maine 16-6-2012 ko PM ko Letter likha or yah shart hata di. Mewat Cadre ka result 28-2-2013 ko publish hua tha or 26-6-2013 ko counseling karva kar 11-7-2013 ko joining Letters bhi jari kar diye hain or joining me Letters me 3 High Court k Case & ek Supreme Court k Case ka hawala diya gaya hai. High Court k tino Case decide ho chuke hain or Supreme Court ka Case STET/HTET walo ne hi 4 saal k experience k khilaf dal rakha . HSTSB ko bang karne wale Case ka NO. CWP NO. 5084 of 2013 hai or es Case ka Mewat k joining Letters me koe jikar nhi hai fir bhi Haryana Cadre k PGT ka abhi tak Counseling ka Schedule bhi jari nhi kiya hai jab es k result 11-3-2013 or 10-4-2013 ko publish ho chuke hain. PGT Haryana Cadre ki Joining es liye nhi ho rahi kyon ki Guest Teachers ko hatana padega or Sarkar unhe hatana nhi chahti. ES pure mudde ko ham log Supreme Court le ja rahe hain or Advocate ko Case de diya hai tatha aage ki karyavahi Bhai Anand Ghanghas dekh raha hai jo ki Patra Adhyapak Sangh ka pahla Pradhan tha un ka Contact No. hai 9991500004 or mera No. hai 9416496271, Meri Face book par Photos me sare Documents hain jin ka maine jikar kiya hai. Jai Hind.
Posted on: Sun, 28 Jul 2013 03:42:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015