Roza Na Rakhne Walo Ke Liye Bad-Dua - TopicsExpress



          

Roza Na Rakhne Walo Ke Liye Bad-Dua ========================================= Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) masjid mein khutba dene ke liye jab mimbar par chadh rahe the tab mimbar par pehla kadam rakh kar aapne farmaya ‘Aameen’ phir dusra kadam rakh kar farmaya ‘Aameen’ Phir teesra kadam rakh kar farmaya ‘Aameen’. Iske baad aapne khutba sunaya, aur neeche utar aaye, is par sahaba (radi allahu anhu) ne puch ke ‘Aaj mimbar par chadhte time aapse aesi baat suni jo pahle kabhi nahi suni thi’. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke jis time mein ‘Aameen’ keh raha tha us time Jibrail alyhissalam (Allah ke sabse bade farishte) aaye the, aur jab maine apna pehla kadam mimbar par rakha to Jibrail (alyhissalam) ne bad-dua ki ke “Barbaad ho jaaye wo insan jisne ramzan ka mubarak mahina paya, phir bhi Allah se apne ko maaf na karwa liya” is baat par maine ‘Aamin’ kaha. Phir jab maine dusra kadam rakha to Jibrail (alyhissalam) ne bad-dua di ke barbaad ho jaaye wo insan jiske saamne Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ka naam liya jaaye aur wo darud sharif na padhe. Maine kaha aamin. Jab maine teesra kadam rakha to Jibrail (alyhissalam) ne bad-dua di ke barbaad ho jaaye wo insan jiske maa-baap ya dono mein se koi ek budhe ho jaaye aur wo unki khidmat karke jannat mein na chala jaaye. Maine kaha aamin. Allahu Akbar Is hadees mein Jibrail (alyhissalam) ne 3 bad-dua di hain, aur Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne us par aameen kaha hai, pehli baat to Jibrail (alyhissalam) jese bade farishte ki bad-dua hi kya kam thi aur phir us par Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ki aameen ne is bad-dua ko kitna bada bana diya wo zahir hai. Note: (Upar jo pehli bad-dua hai “Barbaad ho jaaye wo insan jisne ramzan ka mubarak mahina paya, phir bhi Allah se apne ko maaf na karwa liya” iska matlab ye hai ki agar koi insan ramzan mein roze na rakhe, tarawih na padhe, Allah se apne gunaho ki maafi na maange, aur in sab kaamo ko karke wo Allah se khud ko maaf na karwa sake to ye bad-dua uske liye hai. Isliye dosto, ramzaan mahine ki keemat samjho, pure roze rakho, puri tarwih padho, quran sharif ki tilawat karo aur Allah se apne gunaho ki maafi maango, Allah zarur maaf karega. Aur jo sawab milega wo alag hai. Allah hum sabko ramzaan ke pure roze rakhne aur ramzaan ka haq ada karne ki taufik ata kare. Aameen.
Posted on: Thu, 27 Jun 2013 06:44:21 +0000

Trending Topics




© 2015