Sumthng i found worth sharing ..... Zindagi ke har mod par sulaah - TopicsExpress



          

Sumthng i found worth sharing ..... Zindagi ke har mod par sulaah karna seekho. Kyun ke jhukta wohi hai jis me jaan hoti hai. Akadna to murday ki pehchaan hoti hai... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Dua mangte raho kyun ke mumkin aur na mumkin to sirf hamari soch me hai, ALLAH (S.W.T) ke liye to kuch bhi na mumkin nahi... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Apni ghaltiyon se taqdeer ko badnaam mat karo kyun ki taqdeer to khud himmat ki mohtaaj hoti hai... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak say darwaza khul hi jata hai... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Dukh me tum kabhi bhi pachtawe ke aansu na bahao kyun ki tum wo khush naseeb ho jise ALLAH ne aazmaish ke qaabil samjha hai... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Jo tumhe khushi mein yaad aaye, samjho tum us se mohabbat karte ho aur jo tumhe gham me yaad aaye to samjho woh tum se mohabbat karta hai... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Rishton ki khoobsurti ek dosre ki baat ko bardasht karna hai...Be-aeb insaan talash mat karo warna akele reh jaoge... Hazrat Ali (R.A) __________________________________ Agar tum use na pa sako jise tum chahte ho, to usay zaroor pa lena jo tumhe chahta hai kyun ki chahne se chaahe jane ka ehsas zyada khoobsurat hota hai... Hazrat Ali (R.A.__________________________ Agar qismat ka likha sab kuch hota to ALLAH insaan ko dua maangna kabhi na sikhata... Plz share to all friends..
Posted on: Sat, 27 Jul 2013 00:18:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015