Surat Al-Qaşaş 28 (The Stories) - سورة - TopicsExpress



          

Surat Al-Qaşaş 28 (The Stories) - سورة القصص (Sura-Qasass Makka mai Nazil hui, is mai atthasi (88) Aayatain hain) English and roman urdu translation page 1 بسم الله الرحمن الرحيم 1 Ta, Seen, Meem. 2 These are the verses of the clear Book. 3 We recite to you from the news of Moses and Pharaoh in truth for a people who believe. 4 Indeed, Pharaoh exalted himself in the land and made its people into factions, oppressing a sector among them, slaughtering their [newborn] sons and keeping their females alive. Indeed, he was of the corrupters. 5 And We wanted to confer favor upon those who were oppressed in the land and make them leaders and make them inheritors 6 And establish them in the land and show Pharaoh and [his minister] Haman and their soldiers through them that which they had feared. 7 And We inspired to the mother of Moses, Suckle him; but when you fear for him, cast him into the river and do not fear and do not grieve. Indeed, We will return him to you and will make him [one] of the messengers. 8 And the family of Pharaoh picked him up [out of the river] so that he would become to them an enemy and a [cause of] grief. Indeed, Pharaoh and Haman and their soldiers were deliberate sinners. 9 And the wife of Pharaoh said, [He will be] a comfort of the eye for me and for you. Do not kill him; perhaps he may benefit us, or we may adopt him as a son. And they perceived not. 10 And the heart of Moses mother became empty [of all else]. She was about to disclose [the matter concerning] him had We not bound fast her heart that she would be of the believers. 11 And she said to his sister, Follow him; so she watched him from a distance while they perceived not. 12 And We had prevented from him [all] wet nurses before, so she said, Shall I direct you to a household that will be responsible for him for you while they are to him [for his upbringing] sincere? 13 So We restored him to his mother that she might be content and not grieve and that she would know that the promise of Allah is true. But most of the people do not know. 14 And when he attained his full strength and was [mentally] mature, We bestowed upon him judgement and knowledge. And thus do We reward the doers of good. 15 And he entered the city at a time of inattention by its people and found therein two men fighting: one from his faction and one from among his enemy. And the one from his faction called for help to him against the one from his enemy, so Moses struck him and [unintentionally] killed him. [Moses] said, This is from the work of Satan. Indeed, he is a manifest, misleading enemy. urdu translation: 28.01 Tuaa-Seen-Meem 28.02 Yeh aayaten hain roshan kitab ki. 28.03 Hum aap kay samney musa aur firaon ka sahih waqiya biyan kertay hain unn logon kay liye jo emaan rakhtay hain. 28.04 Yaqeenan firaon ney zamin mein sirkashi ker rakhi thi aur wahan kay logon ko giroh giroh bana rakha tha aur unn mein say aik firqay ko kamzor ker rakha tha aur unn kay larkon ko to zibah ker dalta tha aur unn ki larkiyon ko zinda chor deta tha. Be-shak-o-shuba woh tha hi mufisdon mein say. 28.05 Phir humari chahat hui kay hum unn per karam farmayen jinhen zamin mein bey hadd kamzor ker diya gaya tha aur hum unhin ko paishwa aur (zamin) ka waris banayen. 28.06 Aur yeh bhi kay hum unhen zamin mein qudrat-o-ikhtiyar den aur firaon aur haamaan aur unn kay lashkeron ko woh dikhayen jiss say woh darr rahey hain. 28.07 Hum ney musa (alh-e-salam) ki maa ko wahee ki kay issay doodh pilati reh aur jab tujhay iss ki nisbat koi khof maloom hoto issay darya mein baha dena aur koi darr khof ya ranj ghum na kerna hum yaqeenan issay tumhari taraf lotaney walay hain aur issay apnay payghumbaron mein bananey walay hain. 28.08 Aakhir firaon kay logon ney iss bachay ko utha liya kay aakhir kaar yehi bacha inn ka dushman hua aur inn kay ranj ka baees bana kuch shak nahi kay firaon aur haamaan aur unn kay lashkar thay hi khata kaar. 28.09 Aur firaon ki biwi ney kaha kay yeh to teri aur meri aankhon ki thandak hai issay qatal na kero boht mumkin hai kay yeh humen koi faeeda phonchaye ya hum issay apna hi beta bana len aur yeh log shaoor hi na rakhtay thay. 28.10 Musa (alh-e-salam) ki walida ka dil bey qarar hogaya qareeb thin kay iss waqiyey ko zahir ker detin agar hum unn kay dil ko dharas na dey detay yeh iss liey kay woh yaqeen kerney walon mein rahey. 28.11 Musa (alh-e-salam) ki walida ney uss ki behan say kaha kay tu iss kay peechay peechay ja to woh ussay door hi door say dekhti rahi aur firaoniyon ko iss ka ilm bhi na hua. 28.12 Unn kay phonchney say pehlay hum ney musa (alh-e-salam) per daeeiyon ka doodh haram ker diya tha. Yeh kehnay lagi kay kiya mein tumhen aisa gharana bataon jo iss bachay ki tumharay liye perwerish keray aur hon bhi woh iss bachay kay khair khuwa. 28.13 Pus hum ney ussay uss ki maa ki taraf wapis phonchaya takay uss ki aankhen thandi rahen aur aazardah khatir na ho aur jaan ley kay Allah Taalaa ka wada sacha hai lekin aksar log nahi jantay. 28.14 Aur jab musa (alh-e-salam) apni jawani ko phonch gaye aur pooray tawana hogaye hum ney unhen hikmat-o-ilm ata farmaya neki kerney walon ko hum issi tarah badla diya kertay hain. 28.15 Aur musa (alh-e-salam) aik aisay waqt shehar mein aaye jabkay shehar kay log ghaflat mein thay. Yahan do shakson ko lartay huyey paya yeh aik to uss kay rafiqon mein say tha aur yeh doosra uss kay dushmanon mein say uss ki qom walay ney uss kay khilaf jo uss kay dushmanon mein say tha uss say faryad ki jiss per musa (alh-e-salam) ney uss kay mukka mara jiss say woh marr gaya musa (alh-e-salam) kehnay lagay yeh to shetani kaam hai yaqeenan shetan dushman aur khullay tor per behkaney wala hai.
Posted on: Sun, 13 Jul 2014 05:30:00 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015