Ulcer Aam tor par yeh kheyal kia jata hai keh ulcers ka shikar - TopicsExpress



          

Ulcer Aam tor par yeh kheyal kia jata hai keh ulcers ka shikar woh afrad hote hain jo buhat ziadah cigarette noshi ya sharab noshi karte hain ya ziada se ziada amir hone ke chakkar mein sakht dabao ke tehat zindagi guzarte hain baaz ise karobari afrad ka marz bhi kehte hain lekin jadeed tehqeeq ne yeh sabit kia hai keh kisi bhi shobah haye zindagi se talluq rakhne wala shakhsh is marz ka shikar ho skta hai aur is mein umer ki bhi koi had nahi yahan tak keh aik bacha bhi ulcer ki zad mein aaskta hai. yeh baat zehan mein rakhein keh jab hum ulcer ka zikar karte hain to is se murad mede ka ulcer hi hota hai. Baqyah is qisam ke keson mein aadhe se zaid aise case hi hota hai jo mede ke bajaye Duodenum (is se murad choti aant ka woh hissah hota hai jo mede mein ja kar khulta hai) mein hote hain lekin yeh donon tarah ke ulcers zidah tar ajza se mutalliq hote hain. Tehqeeq ke mutabiq Duodenum ulcer key cancer paida karne ka sabab nahi bante jabkeh medah ke ulcer ke 100 fisad cason mein cancer ke imkanat mojood hote hai. Ulcer ki Amoomi Alamaat Mede mein halki halki jalan othti hai jo baaz auqaat shadeed surat ikhtiyar kar leti hai. Masalah jaat pr mushtamil khana khane ke baad pait mein shaded qisam ki tkleef aur infection shuru ho jati hai. Bad hazmi rehti hai aur pait se zara sa oper dabao aur dard mehsoos hota hai. Ulcers ke barh jane ki surat mein medah mein intehayi sadeed dard bhi hone lgta hai. Khon ki ulti bhi ho skti hai. Khane ke fori baad bath room ki zaroorat mehsoos hoti hai. Tabyat be chain aur muztarab rehti hai. Ulcer ki Wajoohat Mede ki sakht kuch is qisam ki hoti hai keh is ki diwaron ke andarooni hisse ke khulyat se taqatwar hzmi johar ka akhraj hota hai jo khorak ke hazme mein madad gar sabit hota hai. Jab hum khush aur mutmain hote hain yeh hazmi jo har sirf is waqt mede mein apni ratoobaton ka akhraj karte hain khorak in hazim ratoobaton mein jazb ho kar jazo badan banne ke liye tiyar ho jati hai. Tezabi Ratoobatein aur Dimaghi kar Karkrdagi Mede mein hazim ratoobaton ke sath aisi ratoobatein bhi hoti hain jo tezabi made paida karti hain is ki wajah aasab hain jo mede aur dimagh ke darmiyan rabte ka kaam karte hain. Jab hamein bhook mehsoos hoti hai ya hum khane ki khushbo soonghte hain ya khana dekhte hain ya phir hum uljhan aur be chaini mehsoos karte hain is waqt dimagh inhi aasab ke zariye se tehreek paida karta hai jis ki wajah se mede se in ratoobaton ka akhraj shuru ho jata hai chunan cha jab tak hum tanao ki kaifyat mein rehein hamara medah moslsal in ratoobaton ka akhraj karta rehta hai na sirf is waqt jab mede mein khorak mojood ho aur hazam ka amal ho raha ho balkeh tamam din yeh amal jari rehta hai tahum khorak ki ghair mojood gi mein yeh taqat war shai, mede aur Duodenum mein tezabyat paida karne ka mojab banti hai jo barhte barhte mede ke ulcer par khatam hoti hai. Zehni Dabao ka Ulcer se Talluq Mualij ka is baat se itefaq hai ke had se barhi huyi pareshani ya zehni dabao ulcer paida karne ka mojab hota hai. Doosri jung e azeem mein yeh marz khas tor par ubhar kar samne aaya. Canadian aur Bartanwi foji is ka buri tarah shikar huye. Tahum yeh baat to tai hai keh dabao mede ke zakham aur ulcer paida karne ka sabab banta hai lekin kis had tak yeh sawal abhi tak hal talab hai. Tahum ziada tar mualij ka kheyal hai keh zehni dabao ke asrat degar awamil ki nisbat kam hote hain bashert-e-keh kaam ke piche kamyabi aur lagan ka ahsas kar farma ho. Doctor ke pas Kb Jana Chahiye Aik bar jb aap ko maaloom ho jaye keh aap ulcer ya zakham medah ka shikar hain to doctor ke pas jane mein aik minute ki takehir bhi na karein. Is ke ilaj ke liye aik tarika to yeh hai keh meda aur duodenum ka x-ray kar lia jaye aur doosra tariqah fiber optic and o copy hai jis se mualij ke liye medah ka jaiza lena aasan hota hai. Agar aap shadeed dard ka shikar hon, ya aap ko khoon ki ulti aaye (khua sirf aik bar ), ya aap mosalsal aik haftah tak bd hazmi ka shikar rahein to fori tor par mualij se ruju karein. Agar aap is mein susti karein gay to aisa zakham mede mein mazeed takleef ka mojab bhi ban skta hai. Yeh bhi ho skta hai keh aisa zakham medah ke cancer ka mojab ban jaye. Chunan chah mualjati muaina mein takhir aap ke liye sakht noqsan ka pesh khema ban skti hai. Ahtiyat: Khatme ke liye zaroori hai keh cigareete aur degar nashah awar ashya ka istemaal kam se kam, ya band kar dein aur hatta ul imkan bila zaroorat dabao se bachein. Ulcer ke dard ke doran mukhtalif adoyat istemaal kareyi jati hain lekin is zaman mein bhi ahtiyat ki zaroorat hai tehqeeq se yeh baat sabit ki hai keh woh markbat jin mein calcium ka ansar ziadah ho woh mede mein pehle tezabi asrat ko kam karti hain baad mein mede mein zaida ratoobaton ke akhraj ke amal ko tehreek dene ka mojab banti hain. Aap ka mualij aik aisi dawa bhi tajweez kar skta hai jo aap ke mede ko sakoon puncha ye. Is tarike mein zer istemaal dawa ke sath sath dimagh se mede ki taraf safar karne wali aasabi lehron ko juzwi tor par kam karne mein madad deti hain.
Posted on: Tue, 06 Aug 2013 10:42:13 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015