tum baray ho gay to tumhe afsos ho ga.jon jon tumhara tajarba - TopicsExpress



          

tum baray ho gay to tumhe afsos ho ga.jon jon tumhara tajarba barhta jaega.tumharay khialat may pukhtigi aati jaegi aur yae afsos bi barhta jaega. yae khawab phekay partay jaein gay. tab apnay aap ko farab na day sako gay. baray ho kar tumhay malom ho ga k zindagi bari mushkil hay. jeenay kay liay martabay ki zarorat hay aasaish ki zarorat hay aur in kay liay ropay ki zarorat hay aur ropia hasil karnay kay liay muqabla hota hay. muqablay may jhot bolna parta hay, dhoka dena parta hay, ghadari karni parti hay. yahan koi kisi ki parwa nahi karta. dunia may dosti mohabbat, uns, sab rishtay matlab per qam hain.mohabbat amaz baton,muskarahton,meharbanion,shafqaton, in sab ki tah may koi gharz poshida hay. yahan tak k khuda ko bhi log zarorat parnay par yaad kartay hain aur jab khuda dua qubul nahin karta to log dahriay ban jatay hain, is k wajod say munkar ho jatay hain aur dunia ko tum kabhi khush nahin rakh saktay. agar tum sadaloh howay to dunia tum par hansay gi, tumhara mazaq uray gi. agar aqalmnd howay to hasad karay gi. agar alag thalag rahay to tumhay chirchira aur makkar gardaana jaiy ga.agar her aik say ghul mil kar rahay to tumhay khushamdi samjha jaay ga. agar sooch samajh kar dolat kharch ki to tumhay pust khial aua kanjoos kahain gay aua agar faraghdil howay to baywaqoof aur fazool kharch.umar bhar tumhay koi nahi samjay ga na samajhnay ki koshish karay ga. tum hamesha tanha ho gay, hatta k aik din aay ga aur choopkay say is dunia say rukhsat ho jao gay. yahan say jatay waqt tum muthaear ho gay k yay kia tamasha tha. is tamashay ki kia zarorat thi. yay sub kuch kisqadar baymani aur baysood tha.
Posted on: Mon, 11 Nov 2013 16:09:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015