1."Kisi Ko Apni Safayi Bayan Na Karo, Kyun Ke Jo Shaks - TopicsExpress



          

1."Kisi Ko Apni Safayi Bayan Na Karo, Kyun Ke Jo Shaks Tum Ko Pasand Karta Hai Us Ko Safayi Ki Zarorat Nahi Aur Jo Tum Se Nafrat Karta Hai Woh Kabhi Yaqeen Nahi Karega." Hazrat Ali(RadiAllah Anhu) . . 2."Logon Se Bewaja Behas Mat Karo Tumhari Aabru Khatam Ho Jayegi, Aur Zyada Mazak Na Karo Kyun Ke Logon Main Tum Se Baat Karne Ki Jurrat Paida Ho Jayegi." "Imam Hasan (RadiAllah Anhu)" . . 3."Agar Kisi Ka Zarf (Character) Aazmana Ho Tuo Us Ko Zyada Izzat Do,Agar Woh AALA Zarf(Acha Character) Hua To Aap Ko Aur Zyada Izzat Dega Aur KAM Zarf Hua To Khud Ko AALA (Bada) Samjhe Ga." "Hazrat Ali (RadiAllah Anhu)" . . 4."Apni Shakhsiyat Ko Sanwarne Aur Zindagi Ko Behtar Banane Mein Itne Masroof (busy) Ho Jao Ki Dosron Par Tanqeed(bura) Karne Ka Waqt He Na Mile." . . . 5. "Jahan Sadaqat(Sadgi) Aur Khuloos Nazar Aaye Wahan Dosti Ka Hath Barhao Warna Tumhari Tanhaee Tumhari Behtareen Saathi Hai." "Hazrat Ali (RadiAllah Anhu)"
Posted on: Wed, 25 Sep 2013 06:44:50 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015