14.21 Sabke sab Allah ke samne roo-baroo khade honge us waqt - TopicsExpress



          

14.21 Sabke sab Allah ke samne roo-baroo khade honge us waqt kamzor log badaee walon se kahenge hum to tumhare tabedaar the to kya tum Allah ke azabon mein se kuch azab humse door kar sakne wale ho? Woh jawab denge ke agar Allah humen hidayat deta to hum bhi zaroor tumhari rehnumaee karte ab to hum par be qarari karna aur sabar karna dono hi barabar hai humare liye koi chutkara nahi. 14.22 Jab aur kaam ka faisla kar diya jayega to shetan kahega ke Allah ne to tumhen saccha wada diya tha aur maine tumse jo wade kiye the unka khilaf kiya mera tum par koi dabao to tha hi nahi haan maine tumhen pukara aur tumne meri maan li pus tum mujhe ilzam na lagao bulke khud apne aapko malamat karo na main tumhara faryad rus aur na tum meri faryad ko phonchne wale main to sire se manta hi nahi ke tum mujhe isse pehle Allah ka shareek mante rahe yaqeenan zalimon ke liye dard naak azab hai. ENGLISH TRANSLATION 21. And they all shall appear before Allah (on the Day of Resurrection) then the weak will say to those who were arrogant (chiefs): Verily, we were following you; can you avail us anything from Allahs Torment? They will say: Had Allah guided us, we would have guided you. It makes no difference to us (now) whether we rage, or bear (these torments) with patience, there is no place of refuge for us. 22. And Shaitan (Satan) will say when the matter has been decided: Verily, Allah promised you a promise of truth. And I too promised you, but I betrayed you. I had no authority over you except that I called you, so you responded to me. So blame me not, but blame yourselves. I cannot help you, nor can you help me. I deny your former act in associating me (Satan) as a partner with Allah (by obeying me in the life of the world). Verily, there is a painful torment for the Zalimun (polytheists and wrong-doers, etc.). SURAH IBRAHIM
Posted on: Fri, 26 Dec 2014 06:56:01 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015