[29/10 11:15 PM] +91 93 73 101933: Wale kum as salam wa - TopicsExpress



          

[29/10 11:15 PM] +91 93 73 101933: Wale kum as salam wa rahmatullahi wa berkatahu . . Jo log yeh kahte hai ki Raful yadain Mansuqh ho gaya tha, asal me, unke paas koi dalail nahi hai. Ye unki ek koshish hai sunnat e nabawi ko mansukh karne ki. Jab ki Islam me sunnah chhorne ke liye nahi balki apnane ke liye hoti hai. Mai in shaa ALLAH is article me koshish karunga sach pesh karne ki. Mai is article me ye subut nai dunga ki RasoolAllah aur sahaba raful yadain karte the kyuki Alhamdulilah khud jo log rafa yadain nai karte wo mante hai ki RasoolAllah ne rafa yadain kiya tha. Ab is article me mai ye Dalail dunga ki RasoolAllah shuru me nai, akhir me nai balki HAMESHA!!! rafa yadain karte the. Sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) say riwayat hai ke mein nay Rasool Allah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ko daikha ke, aap JAB BHI namaz ke liye kharay hotay to kandhon tak rafa’ yadain kertay, ruku kertay waqt bhi aap isi tarha kertay thay aur jab ruku say sar uthaatay to isi tarha kertay thay aur farmatay: سمع اللہ لمن حمدہ aur sajday mein aap aisa nahein kertay thay. Sahih Bukhari (736) Is hadith me Umar r.a. ke bete Abdullah farmate hai ki RasoolAllah jab bhi namaz padhte the wo rafa yadain karte the. RasoolAllah aakhri Daur me rafa yadain karte the iski dalail kuch aisi hai: Sayyidina ‘Abdullaah bin ‘Umar (radiyallaahu ‘anh) ne aik hadith mein farmaya: Nabi (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ne apni zindagi k aakhri door mein humein isha ki namaz parhae phir jab aap ne salam phaira to kharay ho gayay. [صحیح بخاری:۱۱۶، صحیح مسلم:۲۵۳۷] iss hadith say maloom hua k Ibn-e-’Umar (radiyallaahu ‘anh) ne Rasool Allaah (sallallaahu ‘alaihi wasallam) ko aakhri door mein namaz perhtay huay daikha tha lihaaza aap ka rafa’ yadain rawaayat kerna aakhri amal hai. Wael bin Hajar farmate hain: Main ne Nabi e Akram ko dekha, jab Aap namaz shuru karte to Allahu Akbar kehte aur apne dono’n haath uthate. Phir apne haath kapde mein dhaa’nk lete phir daya’n haath bayei’n par rakhte. Jab rukoo karne lagte to kapdo’n se haath nikalte Allahu Akbar kehte aur rafa yadain karte, jab ruku se uthte to Samee Allahu Liman Hameeda kehte aur rafa yadain karte. (Muslim: al Salah 401) Wael Bin Hajar 9 Hijri mein Rasool Allah ke paas aaey. [Al Bidaya wal Nihaya vol 5 page 71]. Aini hanafi farmate hai: Wail Bin Hajar Madinah me 9 Hijri me Islam Qubul kiya tha. [Umda tul Qari Vol 5 Page 274 under the hadeeth no: 735] Sahih Ibn Hibban Vol 3 page 169 hadeeth no: 1857 me ye zikr kiya gaya hai ki Wael Bin Hajar RasoolAllah s.a.w. se agle saal sard ke mausam (winter) me fir mile the (matlab 10 hijri me) aur unhone is saal bhi RasoolAllah ko Rafa yadain karte hue dekha. Sunan Abi Dawud no: 727. Lehaza saabit hua ke Rasool Allah 10 hijri, apne akhri daur tak rafa yadain karte the, 11 Hijri mein Nabi e Rahmat ne wafaat paai. Ek aur nukhta gaur karne ke layk hai ki agar RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм apne akhri daur me rafa yadain karna chor dete to Tabaeen aur Tabe-Tabaeen Rafa yadain na karte kyuki ye RasoolAllah ke daur ke baad aye the aur jo sahaba RasoolAllah ke faut hone ke baad hayat se the ye unke pairokaar the to agar RasoolAllah akhri daur me rafa yadain karna chhor dete to ye sahaba bhi jo aap ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke wafat ke baad hayat se the ye bhi rafa yadain chor dete aur fir tabaeeb aur tabaeen ko Rafa yadain ka ilm hi na hota na hi unhone sahabao se rafa yadain sikha hota. TABAEEN KE RAFA YADAIN KARNE KI DALAIL: Saeed bin Jubair(Tabaeen) se Namaz me Rafa yadain ke talluk se pucha gaya, unhone farmaya, Ye logo ke namaz ki Khubsurti hai aur RasoolAllah ke Sahabi r.a. namaz shuru kertay waqt, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain kertay thay. Sunan Al Kubra Behaqi Vol 2 page 75 hadeeth no: 2355, Shaykh Zubair Ali Zai said Chain is authentic. Hasan Basree (Tabaeen) ne kaha: RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke sahaba ruku me aur ruku se uthne ke baad rafa yadain karte the aise jaise wo pankhe(fans) ho. [Juzz al Rafayadain hadeeth no: 29 Authenticated by Shaykh Zubair Ali Zai] Tabe-Tabaeen bhi Rafayadain karte the: Ayyub Al-Sukhtiyaani (rahimahullaah) k shaagird (taba taaba’e) Hammad bin Zaid (rahimahullaah) bhi shuru namaz, ruku say pehlay aur ruku k baad rafa’ yadain kertay thay. [السنن الکبریٰ للبیہقی ۷۳/۲ و سندہ صحیح] AUR IMAM BUKHARI NE TO PURI EK KITAB TAYYAR KI HAI JUZZ RAFA YADAIN NAAM KI AUR UNHONE US KITAB ME SABIT KIYA HAI 100 SE ZYADA HADITHS LIKH KAR KI HAR MUSLIM AUR JO SUNNAH SE MUHABBAT RAKHTA HAI USE RAFAYADAIN KARNA CHAIYE. TOH HAME DUNIYA AUR APNE BUZURGO SE ZYADA ALLAH KE RASOOL KI SUNNAH SE MUHABBAT HONI CHAIYE. AUR SIRF IMAM BUKHARI HI NAI JITNE BHI MUHADDISEEN THE AWWAL ZAMANE KE WO SAB RAFA YADAIN KARTE THE. IMAM BUKHARI, IMAM MUSLIM, IMAM ABU DAWOOD, IMAM TIRMIDHI, IMAM NASAI, IMAM IBN MAJAH, AUR BAAKI IMAM BHI. AUR ALHAMDULILAH YE BAAT BARELWI ULEMA BHI TASLEEM KARTE HAI. YE RAHA LINK:- youtube/watch?v=rs62W_Hf1uY AUR 4 IMAMO MAISE TEEN IMAM BHI RAFA YADAIN KARTE THE AUR IMAM ABU HANEEFA NE RAFA YADAIN IS LIYE NAHI KIYA HOGA KYUKI HO SAKTA HAI KI UNKE PAS RAFA YADAIN WALI HADITH NA POHCHI HO. LEKIN SATH SATH IMAM ABU HANEEFA NE YE BHI KAHA THA KI JAB SAHIH HADITH MIL JAYE TO WAHI MERA MAZHAB HAI [Ibn `Aabideen in al-Haashiyah (1/63)]. TO INDIRECTLY IMAM ABU HANEEFA BHI RAFA YADAIN KARNE KO KAHTE HAI. Agar RasoolAllah s.a.w. Rafa yadain karna chor dete to ye bade Ulema, Muhaddith aur Imam kabhi nahi Rafa yadain karte kyuki ye sab RasoolAllah ѕαℓℓαℓℓαн нυ αℓℓαyнє ωαѕαℓℓαм ke baad aye the aur in ulemao, muhaddith aur imamo ko rafa yadain mansuqh hone ka ilm zarur hota kyuki in maise aksar awwal zamane ke Ulema, Imam aur Muhaddith the. Aur in maise kisi ne nahi kaha tha ki rafa yadain Mansuqh ho gaya tha balki ye sab kasrat se rafa yadain karte the. Maloom hua ke rafa’ yadain per musalsal amal door-e-nabwi, door-e-sahaaba, door-e-taaba’een, door-e-taba taaba’een aur baad ke har zamaanay mein hota raha hai lihaaza isay mansookh ya matrook samajhna ya phir jhootay qissoon k saath iss ka mazaaq uraana asal mein hadith aur salaf saliheen k amal ka mazaaq uraana hai. Allah se dua hai wo hame har ek sunnah se mohabbat karne ki taufeek de aur us muhabbat ko amal me lane ki taufeek de.aameen [29/10 11:16 PM] +91 93 73 101933: Bhai kuch hadeese bayan ki jati hai ke Rafulyadain ke radd me unka bhi Takhreej In sha ALLAH deta hu.. [29/10 11:17 PM] +91 93 73 101933: Jaise kuch hadeese pesh hai [29/10 11:18 PM] +91 93 73 101933: Raful Yadain Na Karne walon ke dalail ka Tajzia Raful Yadain Na Karne walon ke dalail ka Tajzia Jin Ahadees Se raful Yadain Na karne ki Daleel li jati hai un ka mukhtasir tajziaMulahiza farmaen : Pehli hadees : Hazrat jabir ban Samra razi Allah Anho bayan karte hain ke Rasool Allah(S A W) Ne farmaya : kya baat hai ke mein Tum ko is Terha Haath Uthatay daikhta hon Goya ke woh Sarkash ghoron ki Dumin hain. namaz mein sukoon ikhtiyar karo. ( muslim, , kitab,Assalat,Babul Amr Bissukon Fissalat,Hadees No..430) Tajzia : is hadees mein is maqam ka zikar nahi jis par sahaba razi Allahu Anhu haath uttha rahay thay Aur aap Ne inhen mana farmaya. jabir ban Samra hi se sahih muslim mein isi hadees se Mut-tasil Do Riwayaat Aur bhi hain Aur baat ko Poori terhan wazeh kar rahi hain . 1. hazrat jabir ban Samrah farmatay hain : rasoolullah (S A W) ke Sath jab hum namaz Parhte To Namaz ke khtama Par Dayen baen (Assalamu alikum wa Rahmatuullah ) kehte hue haath Se ishara Bhi karte yeh dekh kar Aap Ne farmaya : Tum Apne haath se is Tarah ishara karte ho jaisay shareer ghoron ki dmin hilti hain. tumhe yahi kaafi hai ke Tum Qaide Mai Apni Ranon Par haath rakhay hue Dayen Aur baen Mun kar Ke (Assalamu alikum wa Rahmatuullah) kaho. (muslim, , kitab,Assalat,Babul Amr Bissukon Fissalat,Hadees No..431) 2. Hazrat jabir ban Samrah ka bayan hai : hum rasoolullah(S A w ) ke sath Namaz ke khtama par (Assalamu alikum wa Rahmatuullah) kehte hue haath se ishara bhi karte thay yeh Dekh kar aap(S A W) Ne farmaya tumhe kya ho gaya hai tum apne hathon se is terhan ishara karte ho goya woh shareer Ghoron ki Dumin hain. Tum Namaz ke khtama par sirf zabaan se (Assalamu alikum wa Rahmatuullah) kaho aur haath se ishara nah karo. (muslim, , Hawala Sabeqa ,Hadees No..431 ki Zaili Hadees) 2 imam Novi (Rh) Almjmoa Main farmatay hain : jabir ban Samrah ki is riwayat se ruku mein jatay Aur Uthte waqt raful Yadain na karne ki Daleel lena ajeeb baat aur sunnat se jahalat ki qabeeh qisam hai. kyunkay yeh hadees ruku ko jatay Aur Uthte waqt ke raful Yadain ke baray mein nahi balkay Tashahhum Mein salam ke waqt dono janib haath se ishara karne ki momanat ke baray mein hai. Muhaddisin Aur jin ko ke sath thora sa bhi talluq hai, un ke darmiyan is baray mein koi ikhtilaaf nahi. is ke baad imam Novi imam Bukhari ka Qaul Naqal karte hain ke is hadees se baaz jaahil logon ka Daleel pakarna sahih nahi kyunkay yeh salam ke waqt haath uthanay ke baray mein hai aur jo Aalim Hai woh is terh ki Daleel Nahi pokarta kyunkay yeh Maroof o mashhoor baat hai. is mein kisi ka ikhtilaaf nahi aur agar yeh baat sahih hoti to ibtidaye namaz aur eid ka Raful Yadain bhi mana ho jata magar is mein khaas Raful Yadain ko bayan nahi kya gaya. imam bukhari farmatay hain pas un logon ko is baat se darna chahiye ke woh nabi par woh baat keh rahay hain jo aap ne nahi kahi kyunkay Allah farmata hai : فَلَیَحْذَرِ یُخَالِفُوْنَ عَںْ أَمْرِہِج تُصِیْبَھُمْ فِتْنَہٌ یُصِیْبَھُإْ عَذَابٌ أَلِیْمٌ ( Alfrqan) pas un logon ko jo nabi ki mukhalfat karte hain is baat se darna chahiye ke inhen ( duniya mein ) koi fitnah ya ( akhirat mein ) dard naak azaab puhanche. Doosri hadees : hazrat Abdull Bin Masod (Rz)Ne farmaya : kya mein tumhe rasoolullah(S A W) ki namaz batau? phir unhon ne namaz parhi aur haath na uthaiye magar pehli martaba. ( abbu dawod, ,Hadees no..748. Tirmizi, hadees no.257 ) Tajzia : imam abbu dawod is hadees ke baad farmatay hain : ((لَیْسَ ھُوَ بِصَحِیْحٍ عَلٰی ھَذَا اللَّفْظِ)) yeh hadees in Alfaaz ke sath sahih nahi hai. (abbu dawod, hawala mazkoor ) jabkay imam tirmizi Rehma Allah Ne Abdul Allah ban mubarak Rehma Allah ka qoul naqal kya hai : (لَمْ یَثْبُتْ حَدِیْثُ ابْنِ مَسْعُوْدٍؓ) ( tirmizi, hawala, mazkoor) yani Abdul Allah ban Masod (RZ) ke tark Raful Yadain ki hadees Saabit nahi hai. imam Ibne Hibban ne to yahan tak likh diya hai ke is mein bohat si Illate hain jo isay baatil bana rahi hain. ( maslan is mein Sufyan Sauri hain aur an se riwayat karte hain. Mudallis ki an wali riwayat ki soorat mein zaeef hoti hai. [29/10 11:19 PM] +91 93 73 101933: Teesri hadees : hazrat Bara bin Aazib (Rz) kehte hain mein ne rasool Allah ko dekha aap jab namaz shuru karte to dono haath kaanon tak aُthate. (ثُمَّ لَا یَعُوْدُ) phir nahi aُthate thay. ( abbu dawod, Hadees no.479) Tajzia : imamNovi farmatay hain ke yeh hadees zaeef hai isay Sufyan ban uyainia , imam Shafi , imam bukhari ke ustaad imam humidi aur imam Ahmed ban Hanbal jaisay Aimmae-hadith ne zaeef qarar diya hai. kyunkay Yazid ban abi Ziyaad pehlay (ثُمَّ لَا یَعُوْدُ) nahi kehta tha, ahal koofa ke parhanay par is ne yeh Alfaaz barha diye. mazeed baran Yazid ban abi Ziyaad zaeef aur Shiah bhi tha. Aakhri Umar mein Hafza kharab ho gaya tha ( taqreeb ) Neez Mudallis bhi tha . Alawa azeen raful Yadain ki ahadees Aola hain kyunkay woh misbet hain aur nafi par misbet ko tarjeeh haasil hoti hai . baaz log Daleel dete hain ke munafiqeen Aastino aur mein buut rakh kar laatay thay buton ko giranay ke liye raful yadain kya gaya, baad mein chore diya gaya. lekin kutub ahadees mein is ka kahin koi saboot nahi hai. Albata yeh qoul Juhla ki zabanon par ghoomta rehta hai. darj zail haqayiq is qoul ki kamzoree wazeh kar dete hain : 1. Makka mein But thay magar jamaat farz nahi thi. madinah mein jamaat farz hui magar buut nahi Thay, phir munafiqeen madinah, kin buton ko Aastino mein dabay masjidoon mein chalay atay thay ? 2. Tajun hai ke jaahil log is gup ko sahih mantay hain aur is ke sath sath nabi ko aalimul ghaib bhi mantay hain halaank agar aap Aalimul Ghaib hotay to raful Yadain karwanay ke baghair bhi jaan satke thay ke falan falan shakhs masjid mein buut le aaya hai . 3. But hi giranay thay to ye, Tkbir Tehrima kehte waqt jo raful Yadain ki jati hai aur isi tera ruku aur Sajdon ke douran bhi gir satke thay is ke liye allag se Raful Yadain ki sunnat jari karne ki qatan zaroorat nahi thi . 4. yaqeenan jaahil log aur un ke peshwa yeh bitanay se qaasir hain ke un ke bakol agar Raful Yadain ke douran munafiqeen ki se buut giray thay to phir aap ne inhen kya saza di thi ? darasal yeh kahani mehez khanah saaz afsana hai jis ka haqeeqat ke sathاAdna sa talluq bhi nahi hai. yeh bhi Daleel di jati hai ke Ibn Zubair kehte hain : rasoolullah(S A W) ne Raful Yadain kya tha aur baad mein chore diya. (Nasbu-r-Raya) lekin yeh riwayat bhi marsal aur zaeef hai . tehqeeq to yeh hai ke masla Raful Yadain mein naskh howa hi nahi hai kyunkay nskh hamesha wahan hota hai jahan ( 1 ) do hadeese Aapas mein takrata hon ( 2 ) dono maqbool hon (3 ) un ka koi Mushtaja mafhuum na nikalta ho ( 4) dalail se saabit ho jaye ke un dono mein se falan pehlay daur ki hai aur falan baad mein irshad farmai gayi, tab baad wali hadees, pehli hadees ko mansookh kar deti hai . magar yahan Raful Yadain karne ki ahadees ziyada bhi hain aur sahih tareen bhi, jabkay na karne ki ahadees kam bhi hain aur kamzor bhi ( un par Muhaddisin ki jarah hai ) ab na to maqbool aur mardood ahadees ka mushtaja mafhuum akhaz karna jaaiz hai aur nah hi mardood ahadees se maqbool ko mansookh kya ja sakta hai . lekin agar bafarze mahaal is masla mein nskh ka dawa tasleem kar liya jaye to bhi qrayn shahadat dete hain ke Raful Yadain karna mansookh nahi balkay na karna mansookh hai kyunkay ( 1) sahaba e kiram ne hayaat tayyiba ke aakhri hissay (9 hijri ) mein nabi akram se Raful Yadain karna riwayat kya hai. ( 2 ) sahaba E Kiram Ahade nabuwat ke baad bhi Raful Yadain ke qaail o Fail rahay (3 ) kaha jata hai ke charon Aimmah barhaq hain agar aisa hi hai to un chaar mein se teen Raful Yadain ke qaail hain. ( 4 ) jin Muhaddisin karaam ( Rehma Allah ) ne Raful Yadain ki ahadees ko apni mukhtalif maqbool sndon ke sath riwayat kya hai un mein se kisi ne yeh tabsarah nahi kya ke Raful Yadain mansookh hai saabit howa ke sahaba o Tabain aur fuqha o Muhaddisin ke nazdeek Raful Yadain mansookh nahi balkay sunnat nabwi hai aur zahir hai ke sunnat chorney ke liye nahi, apnane ke liye hoti hai. ab jo shakhs aik ghair masoom ummati ke amal ko sunnat nabwi par tarjeeh deta hai aur sunnat ko amdan hamesha chhorey hue hai usay Hubbe rasool ka Dawa karna jachte nahi hai. Allah Taala hum sab ko hadaayat den. ameeen isi terhan is silsilay mein aik aur riwayat bhi paish ki jati hai ke hazrat Abdul Allah ban Masod ne farmaya mein ne rasool Allah o abbu baker oumar ke sath namaz parhi yeh log shuru namaz ke Alawa haath nahi aُthate thay. imam Baihaqi aur dare Qutni likhte hain ke is ka Ravi Mohammad ban jabir zaeef hai. balkay baaz ulama ( Ibn Jozi , Ibn Taimiya ) ne usay mauzo kaha hai. ( yani yeh riwayat Ibn Masod ki bayan kardah nahi hai balkay kisi ne khud taraash kar un ki taraf mansoob kar di hai Lehaza Aisi riwayaat paish karna jaaiz nahi hai . khulasa : raful Yadin ki ahadees bakasrat aur sahih tareen Asnad se marwi hain. Adame raful yadain ki ahadees Manan ya sanadan saabit nahi. imam Bukhari likhte hain ke ahal ilm ke nazdeek kisi aik sahabi se bhi Adame Raful Yadain saabit nahi hai
Posted on: Thu, 30 Oct 2014 04:08:15 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015