3 years back jb main England se wapus aaya tu almost 99.99% - TopicsExpress



          

3 years back jb main England se wapus aaya tu almost 99.99% pharmacists ki zubaan pr aik hi baat thi k Seniors ne aaj tk kuch nhi kiya pharmacist community k liye....aur baat bhi true thi.. Tb main ne decide kiya k jahan tk mjh se ho sakta ha community k liye initiative zaroor laina chahiye..Aur productive initiative lainey k liye kisi sincere platform ka hona bht zaroori hota ha...Soach achi thi es liye Allah Paak ne mjhey sincere platform Reformers Ppa bhi dey diya phr jis se main ne election bhi contest kiya..Soach yahi thi k election jeet kr powers main aa kar aggressively kuch kiya jaa sakey profession k liye but unfortunately Engineered Dhaandli ki waja se hum election jeet na sakey....Shuru main disappointment tu bht hovi k kasia system ha Pakistan main k sincere logo ko front pr aaney hi nhi diya jaata... Khair seeney main dard tu tha k kuch na kuch zaroor krna ha pharmacists k liye, bs phr main ne Jobs4Pharmacists k name se group create kiya,strong relations develop kiye almost in all domains (Industry,Academia,Retail,Marketing etc) aur day night pharmacist k liye kaam start kr diya... Alhumdolillah hundreds of pharmacists ko jobs dilwai, internships dilwai, hundreds of pharmacists ko support di abroad set honey main, Time to time strikes initiate ki profession ko uplift krney k liye, PMDC issue pr raat din kaam kiye professional lawyer k through, seminar/training conduct krwaien pharmacists ki professional growth k liye.......etc.
Posted on: Sun, 25 Jan 2015 11:04:14 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015