AALA HAZRAT 14vi Sadi Ke Mujaddid- Huzoor E Aqddas SALALLAHU - TopicsExpress



          

AALA HAZRAT 14vi Sadi Ke Mujaddid- Huzoor E Aqddas SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ne Farmaya Ki, “Har Sadi (Century) Mein ALLAH Ta’ala Ek Mujaddid Ko Paida Farmayega Jo Mere Deen Ko Sawarega, Us Shaqsh Ko Mujaddid Kahte Hain. Aulma-E-Islam Ne Farmaya Hain Ki. “Mujaddid Ke Liye Jaroori Hain Ki Ek Sadi Ke Aakhir Aur Dusri Sadi Ke AwwaL Mein Uske Ilm-O-Fazl Ki Shohrat Rahi Ho… Wo Sunnato Par Amal Kare Aur Murda Sunnato Ko Zinda Kare. Bid’dat Ko Dur Kare Aur Uske Deeni Khidmaat Ka Charcha Awaam Aur Aulma Mein Khub Mashoor Ho Lihaaja Jis AALIM Ko Aakhiri Zamana Na Mila Ya Mila Lekin Woh Deeni Khidma’at Anzaam Dene Mein Mashoor Na Hua To Wo Mujaddid Ki Faihreesht Mein Shuma’ar Na Hoga.. Mujaddid Ki Pahchan Aur Mujaddid Ke Kaarnamo Ke Mutaabiq Agar Ham Dekhe To Ye Paate Hain Bila Shuba AALA HAZRAT 14WI SADI KE MUJADDID They…. Balki Aulma E Haq Ne AALA HAZRAT Ko MUJADDID-e- AAZAM Kaha Hain … Aap Ki Paidayeesh 10 Shawwal 1272 Hizri Aur Wisaal 25 Safar 1340 Hizri Hain… Aap 13 Saal 10 Maah Ki Umr Mein Hi Ta’aleem Se Faarig Ho Gaye They.. Huzoor Sayyedi Sarkar AALA Hazrat Ne 13wi Sadi Ke 28 Saal 2 Maah 20 Din Aur 14wi Sadi Ke 39 Saal 1 Maah 25 Din Paaye…AaP Ke Uloom-o- Funoon Dars-o-Tadrees (Teaching) Taalif O Tasneef, Taqreer Aur Bayaan Ki Shohrat Hind Se Arab Tak Huyi…. AALA HAZRAT Deen Ka Bayaan Aur Deen Ke Dushmano Ka Muqaabla Kuch Is Shaan Se Anjaam Diya Ki Aap Ke Mujaddid Balki Mujaddid-e-Aazam Hone Mein Koi Shaq Nahi. Huzoor AALA HAZRAT Ne 13 Saal Ki Umr Se Hi Fatawa Dena Shuru Kiya Jo Ki Bade Size Ki 12 Jildo Mein Taqreeban 11,000 Safha’at (Pages) Par “FATAWA-e-RAZWIYA” Ke Naam Se Mashoor Hain.. Aap Ne Ahkaam-E-Shara Ki Wa Deen Ke Dusre Masa’ayeel Ki Tafseel Aur Tahqeeq (Reserch) Kuch Is Andaaz Se Ki Hain Ki Jo Masayeel Barso Se Uljhe They Wo Sulajh Gaye Aur Jo Dusri Jagah Dekhne Ko Nahi Milte. Aap Ki Tasneef EK 1000 Se Jyada Hain…. Huzoor AALA Hazrat RadiALLAHU Ta’ala Anho Ki Zindagi Ke Kaarnamo Par Nigah Daalne Se Saaf Maloom Hota Hain Ki ALLAH Ta’ala Ne Apne Is Khaas Bande Ko Apne Deen Ki Himayat k Liye Hi Paida Kiya Tha.. Aap Ne DeeN Ka Ye Kaam JiS Khubi Se Anjaam Diya Ye Aap Ki Tasneefat Se Jaahir Hain… Aap Ne Kuffar, Murtadeen, Mushrakeen Aur Mubtadeen (Bid’dati) Ki Taraf Se Hone Waale Tamam Hamlo Ka Muhh Tor Jawab Diya… Aaj Koi Bhi AisA Mashoor Baatil Firqa Ya Mazhab Nahi Hain Jis KE Radd Mein Aap Ne Na Likha Ho.. Dahariye, AryaSamaajhi, Yahood, Nasaraa, Hunood, Mazoos, Kaadiyaani, Natchari, Wahabi, Deobandi, Nadwi, Raafzi, Khaarzi, Tafzeeli, Yaha Tak Ki Sullah Kulli (Jo Log Sunni Ho Kar Bhi In Badmazhabo Ka Radd Nahi Karte) Vagerah Be-Deeno Ka Badmazhabo Ka Unhi Ke Baatil Atqaad Se Unka Aisa Radd KiYA Ki Jiska Aaj Tak Koi Jawab Nahi Mil Paya Hain… AALA HAZRAT ka Watan Subaa Us Shahar Mein Hain Jahan Hinduao Ki Tadaad Musalmano Ke Muqaable Bahut Jyada Hain.. Aap Ka Daulat Khana Mohalla Sodagraan Bareilly Shareef Mein Tha Jahan Sirf 2 Ghar Musalmano Ke They. Iske Bawajood Aap Ne Hunood Ke Radd Mein Kitaabe (Books) Likhi Jis Mein Se Ek “Anfusool Fikr Fee Kurbani Baqr” Hain… AryaSamajhiyo Ke Radd Mein “Kafre Kirdaar Aarya” Likhi, 3 Kitaabe (Books) Nasara (Christians< Isaayi>) Ke Radd Mein Likhi.. Ye 3 Firqe Yaani Hunood, Arya Samaajhi, Aur Nasaara To Gair Muslim Hain Aur Apne AAP Ko Musalman Kahlana Bhi Pasand Nahi Karte Hain.. Iske Alawa Wo Firqe Jo Apne Aap Ko Musalman Kahlate Huye Bhi Islaam Ko Nuksaan Pahunchane Mein Lage Huye They Inke Radd Mein AALA HAZRAT Ne Khaas Tawajjoh Farmayi Inhi Baatil Firqo Mein Se Ek Angrejo Ko Kuwwat (Faayeda) Pahunchane Wala Naitchari Firqa Bhi Tha.. AALA HAZRAT Ne Naitchariyo Ke Radd Mein 7 Kitaabe (Books) Tahreer Farmakar Angrejo Ki Saajish Ko Naakam Kar Diya… JaB Angrejo Ke Naqshe Kadam Par Chalne Waale Wahabiyo Ne Shashmisl Ka Fitna Barpa Karte Huye Aylaan Kiya Ki “Huzoor E Aqddas SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM, Hazrat Aadam Alaihissalam, Hazrat Nuhh Alaihisallam Wageraah Ambiya Alaihissalam Ki Tarah Zameen Ke Baaki Tabqo Mein Aur Bhi Muhammad, Aadam, Ibraheem Wageraah Rah Sakte Hain… (MaazALLAH) …. To Sayyedi Sarkar AALA HAZRAT Ne Inke Radd Mein “Tambih-ul-Juhaal) Likh Kar Is Fitne Ko Hamesha Ke Liye Dafan Kar Diya…… Jab Angerjo Se Madad Le Kar Mirza Ghulam Ahmed Kaadiyani Ne Pehle Apne Aap Ko Imaam Mehandi, Fir Maseeh Fir Rasool Hone Ka Daawa Kiya Aur Nabiyo Ki Shaan Mein Gustakhiya Aur Gaaliya Bakni Shuru Kar Di To AALA HAZRAT Ne Uske Radd Mein 6 Kitaabe Likhi Aur Ek Maahnaama “Qahruddyaan” Jaari Kiya…. Jab Angrejo Ke Khairkhwaah Deobandi Aalimo ne Mas’la Khatme Nubuwat Ka Inkaar Kiya Aur AALAH Paak Be-Aib Ke Jhooth Bolne Ko Daroost Bataya (MaazALLAH)… Sayyed E Aalam SALALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM Ke Zikr-e-Milaad Ko Kanhaiyya Ka Janm Din Karaar Diya… SARKAR MADINATUL ILM (Ilm Ke Shahar) Ke Ilm Ko Bachho, [Paaglo Aur Jaanwaro Ki Tarah Bataya (MaazALLAH) Aur Gair Muqallid- Deen Wahabiyo Ne Imaam Abu Haneefa Aayimmaye Islaam Ki Taqleed Aur Ibtedda Ko Shirk Aur Kufr Bataya To AALA HAZRAT AZIMUL BARKAT Ne In Wahabiyo Ke Radd Mein 200 Se Jyada Kitaabe (Books) Likhi… Aap Ne Tafzeeliyo Wa Raafziyo Ke Radd Mein Bhi Kitaabe Likhi… 1311 Hizri Mein Jab “nadwatul aulma” Ke Naam Se Ek Naya Jaal Phenka Gaya to Uske Jaal Mein Bahut Se Aulma Bhi Phans Gaye.. AALA HAZRAT Ne Inko Be- Naqab Kar Ke Un Aulma E Kiraam Ko Bhi Bachaya Jiska Tafseeli Bayaan “Fatawwul Harmain Bar Zafey Nadwatulmain” Mein Milta Hain…. Jab Mulheed Faasik Aur Naam Nihaad Sufi Jhoothi Tareeqat Ki Aad Lekar Shariat-e-Muhammadiya Par Hamla Karne Lage Aur Shariat Ko Tareeqat Ka Mukhalif Batane Lage Aur Apne Peer Ko Sajda-e- Ta’jeemi Ko Jayez Karaar De Diya To AALA Hazrat Ne “Makaalul Urfa” Likh Kar Saabit Kar Diya Ki Shariat-e- Muhammadiya Mein ALLAH Ke Siwa Kisi Ko Sajda Jayez Nahi Hain… Aakhir Zamane Mein Molvi Muhammad Ali Aur Molvi Shaukat Ali Ne Ek “Tahreeq –e- Khilafat” Ke Naam Par Ek Tahreeq Chalayi… Jis Mein Sab BadMazhabo Wahabiyo Deobandiyo Sunniyo Ko Islaah ke Naam Par Aur Haq Par Laane Ke Naam Par EK Kar Diya Aur Haq Aur Baatil Ki Pehchan Ko Mitana Chaaha… Is Mein Baaj Aulma Aur Mashayeekh Bhi Is Fareb Ka Shikar Huye… Us Waqt Sirf AALA HAZRAT Ki Jaat Thi Jisne In Sullah Kulliyo ke Khilaaf Ishteharaat Par Ishtehaarat (Advtsmnt) Chaape Aur Akhbaro mein Islamic Books Mein Aur Masjido KE Bahar Lagwaya Aur Musalmano Ko Is Fitne Se Bachaya Aur Yahan Tak Ki Ek Risaala “ALMUHAJATTUL MOATMAINAH” Likh Kar Muslamano Ke Imaan Ki Salamati Ki…. Is Se Ye Pata Chalta Hain Ki Jahan Bhi Kisi Badmazhab, Bad Deen Ne Sar Uthaya AALA HAZRAT Ne Uska Sar Kuchal Ke Rakh Diya… Badmazhabo Ke Radd Mein Kitaabe Likhi Aur Chapwaayi Aur Hindustan Bhar Ke Aqabeer, Mashayeekh. Aulma KE Paas Bheja Aur Is Tarah Se AAP Ne Deen Ki Himayat Mein Apna Tan Man Dhan Sab Kuch Kurban Kar Diya… Yah Sab Karnaame Saabit Karte Hain Ki AALA HAZRAT Bila Shuba 14wi Sadi Ke Mujaddid They… Talib e dua- ALL INDIA JAMAT RAZA E MUSTAFA
Posted on: Sat, 13 Jul 2013 10:26:45 +0000

Trending Topics




© 2015