ALLAH KAUN HAI (WHO IS - TopicsExpress



          

ALLAH KAUN HAI (WHO IS ALLAH) ----------------------------------------------- Allah wo hai jisne is puri duniya ko banaya, chaand, taare, suraj, aasman banaya, yeh sab cheeze Allah ne bagher kisi raw material ke banai (yaani agar kisi ko pencil banana hai to uske liye lakdi lagegi) lekin Allah ne sirf hukm diya aur cheez ban gai, phir is duniya mein insano ko paida kiya, insano ko apni ibadat ke liye banaya aur duniya ki saari cheeze insan ke liye jese hawa, paani, trees, animal banae. Har kaam Allah ke hukm se hota hai, jese hawa ka chalna, paani ka girna etc. Allah hamare dil ki baat bhi jaanta hai, hum kya karne wale hain, kya kar chuke hain aur kya karenge, yeh Allah ko maloom hai. Uska roop insano jesa nahi hai. Allah ek noor (light/prakash) hai, Wo hamesha se tha aur hamesha rahega. Allah kisi se paida nahi hua, yaani wo kisi ki aulad nahi, wo khud se hai aur na uski koi aulad hai (kyonke ye system to usne insano/jaanwaro ke liye banaya hai taake unki duniya quantity badh sake). Allah ko bhook nahi lagti, neend nahi aati, wo thakta (tired) nahi, wo bezar (oobta) nahi (kyonke ye sab baate usne insano ke liye banai hai) isliye ye saari baate insano mein hoti hai. Jo so jaae, jo thak jaae, jisko bhook lag jaae wo God nahi ho sakta. Allah bahut naram dil (dayawan) hai, bahut maaf karne wala hai. Uski jitni taarik ki jaae wo kam hai. Allah quran mein insano ko challenge karta hai ke duniya ke saare trees ko pen bana lo, saare samandar (sea) ko ink bana lo aur duniya ke saare insan mil jao aur meri taarif (praise) likhna chaho tumhare pen khatam ho jayege, ink khatam ho jayegi, insan khatam ho jayege lekin meri taarif (prashansa) puri na ho paegi. Allah kehta hai ki mein kya hu, kesa hu is baare mein dimag mat lagaya karo, kyonke tum soch hi nahi sakte, kyonke tum sirf utna soch sakte ho jitna tumko mene samajh diya hai, uske aage tum nahi soch sakte. Agar mujhe samajhna chahte ho to meri banai hui cheeze dekha karo, jese ek makkhi (fly) ko dekho jisko mene banaya hai, uske par ko dekho ki mene kese banaya hai, Kyonke tum saare insan mil kar bhi ek makkhi ke par jesa (jesa ka tesa) dusra par nahi bana sakte. Ek anar (Pomegranate) ka daana nahi bana sakte. Aasman, suraj, chaand sitaro ko dekho jinko mene banaya hai, to tum meri greatness ko thoda samajh paoge. Admin 02
Posted on: Thu, 31 Oct 2013 20:39:17 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015