ARTICLE 17 Kya hum sachem apne culture ko bhul rhe hai?? Kya koi - TopicsExpress



          

ARTICLE 17 Kya hum sachem apne culture ko bhul rhe hai?? Kya koi janta hai ki Deodi mandir pr haq hm aadiwasion ka hai?? Kya hai Chotanagpur tenancy act?? Sarna aur Christian bhai aapas me q ladte hai?? Dukh ki baat hai lekin hm aadiwasi apne culture ko bhulate jar he hai. Aaj k aadiwasion ko ye nhi pta ki aaj k samaj me unka astatiwa kha hai. Hm thik se ye v ni jante ki hum kiski puja karte hai. Aajkl ki yuva pidhi paschimi sanskriti ko hi apna dharm man-ne lgi hai.. log mandar, nagada ki jagah guitar aur drum bjane lge hai. Lok sangeet ki jagah rock music ne le li hai. Kapdo k bare me to bolna hi bekar hai. Mai ye nhi keh rha hu ki ye sabhi chizeen galat hai lekin apne culture ko hi bhul jana ye to thik nhi hai. Kuch aadivasi saran hinduon ki tarah mandir jane lge hai. Unhe ye lagta hai ki wo log pehle se hi hindu dharm ko palan karte the. Log somwari jaisi chizeen v rakhne lge hai. In logon ko kaise samjhaya jaye ki hum aadiwasi sarna apni prakriti Maa ki puja karte hai jisne hume ghar dia, khane ko dia, pahenne ko dia. Kon inhe batayega ki aakhir hum hai kya?? Deodi mandir k bare me to sabhi log jante hai lekin kya koi uske itihas k bare me janta hai?? Wha kon puja archana kia karta tha aur aaj kon karta hai?? Ji haan, aaj wha 1 panda(pandit) puja archana karta hai jahan kisi samay PAHAN puja kie karte the. Lekin kisi karan se wo zimmedari wo haq v humse chin lia gya. Jahan hum puja archana karte the aaj wo hamari hi ni rhi. Apne hi logon ki galtiyoon k karan aaj hamari purwaon ki anmool jageer hamare pas nhi hai. Chotanagpur tenancy act 1908 me hum chotanagpur k aadivasion k lie banai gi thi. Hum bas yhi jante hai ki ANGREZOON ne bas 1 hi aacha kam kia tha Hindustan me wo hai rail. Lekin hum aadivasion k lie unlogon ne ye CNT act 1908 me bnaya tha jo ki aaj v hmari sarkar palan karti hai. Iske antargat bahut se niyam kanoon hain jiske karan aaj hum aadivasion ki zameene humare pas ab tak hai. Nhi to aaj hum gulamoon ki zindgi jeete. Is act k antargat hum apne pustaini zameeno ko nhi beech sakte jispr lalchi seeth-sahukaroon ki nazar rehti hai. Hum kheti k zameen ko nhi bech sakte qki whi hume aan deti hai. 1 aadivasi apni zameen dusre aadivasi ko hi bech sakta hai. Aise hi aur v bahut se niyam-kanoon hai is act k antargat. Aajkl hum log saran-christian k beech ki takraar se bhali bhati wakeef hai. Aisi chizeen aayedin aksar dekhne ko mil hi jati hai. Lekin aakhir q hum aadivasi aapas me ladte-jhagadte hai? Kya isi lie ki kuch aadivasi Christian dharm apna lia aur kuch saran hi reh gye. Hmare kuch purwajon ne Christian dharm islie apnaya qki unhe isme aachaiyaan dikhi. Aaj v mission k log hum aadivasion k lie kya kuch nhi karte. Humare lie school khula, college khule, aaspatal khule aur v bahut kuch. Mission k bahut se anath-aashram aur mahila aashram chalte hai jahan besahara log ka bharan poshan hota hai. Hum pehle aadivasi hai aur baad me sarya ya Christian. Humare purwaj 1 the aur hume unke hi padhchinnon ka palan karna chaiye. Aaj hum apne asli sanskriti se koso door aa gye hai. Hume apne aastitwa ko aise mitne nhi dena chaiye. Hum kya hai? Kaise hmare purwaj rha karte the? Kya karte the ye sab hmare lie janna bahut zaroori hai. Iske lie hume apne ghar k bade-bujurgoon se baaten karni chaiye, unse ye puchna chaiye ki hum kaise rha karte the, hmare purwaj kaise sikaar kia karte the, hume aapne badoon se apni lok bhasa sikhni chaiye, dhol –nagada bajana sikhna chaiye, apne zameen k bare me puchna chaiye. Hume apni itihaas ko janne ki jigyasa dikhani chaiye Nhi to wo din door nhi ki hum yhi bhul jaye ki hum chotanagpur k aadiwasi hai.
Posted on: Fri, 09 Aug 2013 05:08:08 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015