Aesa kyun hota hai k Zindagi k Imtihaano me Jeetna jitna zaroori - TopicsExpress



          

Aesa kyun hota hai k Zindagi k Imtihaano me Jeetna jitna zaroori hota hai wohi Nakaami ko Tasleem karna utna hi mushkil...? kyun kaamyabi saamnay hotay hue bhi kuch log kamyaab nahi ho patay... kya iss may dosh unki taqdeer ka hai...! Kya nakaami ki soorat me jaan se guzarna sahi hai...? kya kaamyabi ki soorat me maghroor banna sahi hai...? Aesa kyun nahi ho sakta k haar aur jeet ko sirf game ki hadd tak hi rakha jaye...Na ke haarnay ki soorat me jeetnay walon se dushmani mol li jaye...! kyun ek choti si haar ko hum zindagi ki sab say bari haar tasleem kar letay hain aur itnay kamzoor ho jatay hain k dubara jeetnay ki koshish hi nahi kar patay...! Kyun Aakhir Kyun...?
Posted on: Tue, 27 May 2014 13:23:02 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015