Aey Allaah! Us ne kiya paya jis ne Tujhay khoya, aur us ne kiya - TopicsExpress



          

Aey Allaah! Us ne kiya paya jis ne Tujhay khoya, aur us ne kiya khoya jis ne Tujhay pa liya.ula Husain. Mola paK IMAM HUSSAIN A.S (Dua e Arfaa).. aj yahan hum log just kuch insano ki khushnoodi hasil kerne k liye najane kia kia kerne ko tayar rehtay hain aek shaksh ki khushamad (buttering) itni kertay hain k bas hamara kaam nikal jae aur iske beraksh jo KHUDA PAK hamare dilo se bohat zeadah waqif hai uske samne toh zahir na bhi keren just dil se usseh pukaren toh woh pak adil zat tayar bethi hai hamari bas aek pukhar ki mager yahan duniya mein hum aek k baaad aek layerz jhoot ki khud per charhate rehtay hain takay log hamen mutaakki perhaizgar samjhen aur iseh wajah se hamari izat ki jae hamara naam ho .. mager jo KHUDA se raaz o niyaz kare aur mange chahaey duniya ki rangieenian he sahe mager woh atah kerta hai .. sochyeh frendz aek mother itna muhabat kerti hai k shumar nhe toh kia 70 motherz se zeadah chahne wala jahalat aur kumtari mein dekhna chahega hamen ?? hum aj riyakaar hain yehi wajah hai k har jagah sochna bhi useeh hi terhan shuru kerdiya hai humne .. maze ki bat hai freindz aek momin ne mujhe pvt inbox kea nd he said : ap yeh kiyun kertay hain bhai isliye k apke pass girlz add hojaen etc ..:) i didnt replyed him aur kia bat kerta unke mentality ka pata chal gaya tha nhe samjh patey mein kuch bhi kehta ab post ker raha hun aur woh bhai bhi zarur perhlengay nd bura nhe manengay.. aek question including him ap sab se hai kosesh kijeaga k answer desaken .. aek shaksh namaz perh raha ho kaheen bhi uske surrounding mein frndz hon woh dekh rahaey hon usseh aur woh sochey k mujhe boht se log namazi perhazgaar samjhen woh rona girgerana bhi shuru kerday toh ALLAH PAK toh tab bhe dengay hai usseh uski kuwahish per.. log samjhtay hain namazi .. mager pher KHUDA pak naraz aur duniya paa ker kia paya kiyun k Duniya k meanings bhi faana k hain toh kia paya pher humne lekin ager woh khalis khuda k liye kare riyakari na ho amal mein toh woh insano ko us shaksh ka tabeh kerdeta hai feslah hai yeh khuda pak ka aur log useh perhaizgar bhe samjhte hain toh bas khuda duniyavi khuwahishat bhi poore kerta hai lekin kabhi duniyavi khuwahisaat ko khuda per tarjeeh na dijea kufr se mushabihat shuru hojati hai yeh ferq hai jissey samjha raha hun ish quote ko gawah bnaker .. nd apka answer brother aek quote mein se yeh tumhare haq mein behtar hai k tum acha kero aur dniya tumhen bura samjhe bajae iske k tum bura kero aur duniya tumhen acha samjhe g bro chahta hun k hmare momineenz achay aur pak log add karen frend banen sab yehi momineenz hum apas mein aek dusre k apne hain lekin bas ish maqsad se nhe yeh sab ker raha KHUDA shahid hai aek message sab tak pohnch jae bas aur kuch nhe kehunga love u all Momineenz :)
Posted on: Thu, 30 Jan 2014 16:29:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015