After a long time heard a new, ecstatic gem from Ustad - TopicsExpress



          

After a long time heard a new, ecstatic gem from Ustad Ji. ------------------------------------------------------------ Maiykada Ban Gayi Mast Aankhein, Zulf Kaali Ghata Ho Gayi Hai, Kya Ho Maiy Ka Nasha Zindagi Mein, Zindagi Khud Nasha Ho Gayi Hai, Be-Ijaazat Labon Ko Tumhare, Choom Kar Khud Pasheman Hoon Main, Hosh Mein Itni Jurrat Na Hoti, Be-Khudi Mein Khata Ho Gayi Hai, Pehle To Dekhna Muskrana, Phir Nazar Pherna Rooth Jaana, Ho Gaya Khoon Kitno Ka Naahaq, Aap Ki To Ada Ho Gayi Hai, Aisi Chalti Hai Galiyon Mein Teri, Jhoom Kar Jaise Chalte Hain Maikash, Jab Se Zulfon Ko Teri Chhua Hai, Kitni Be-Khud Saba Ho Gayi Hai, Bedawa Mujhko Achha Kiya Hai, Chaarasaszi Ke Andaaz Dekho, Muskara Kar Nazar Yun Uthaayi, Dard-e-Dil Ki Dawa Ho Gayi Hai, Ishq Ne Kya Tamasha Dikhaaya, Kaisi Karwat Naseebon Ne Badli, Aye Fana Humko Deewana Karke, Woh Nazar Paarsa Ho Gayi Hai, Kya Ho Maiy Ka Nasha Zindagi Mein, Zindagi Khud Nasha Ho Gayi Hai, Maiykada Ban Gayi Mast Aankhein, Zulf Kaali Ghata Ho Gayi Hai ---------------------- (Pasheman - Regretful Naahaq - Uselessly Be-Khud - Uncontrollable, Not in Self Saba - Gentle Breeze, Morning Breeze Chaarasaszi - Cure, Treatment Bedawa - Without any medication Paarsa - Pure, Holy) Thanks a lot for sharing it Tanweer Hussain Mughal, The Legend_Nusrat Fateh Ali Khan HIS BLESSINGS
Posted on: Tue, 23 Sep 2014 13:54:55 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015