Agar tum kisi ko pasand karte ho aur tumhara pakka irada hai us se - TopicsExpress



          

Agar tum kisi ko pasand karte ho aur tumhara pakka irada hai us se Shadi karne ka to tum apne Waaldain ko is bare me khabbar karo. Islam me kisi ko pasand karna mana nahi hai na hi Gunnah hai. Haan Behayai zarur mana hai aur Gunnah bhi hai. Agar tumhare Waaldain nahi mante to bhagawat mut karo mut baddzubani karo jis se unka Dil toote. Tum khud socho jis Waaldain ne tumhe tumhari pehle Saans se sambhala tum unhe takleef doge? Eik Maa ka 3 baar ziada Haqq hota hai tum par eik Baap ke ageh kyunke woh tumhe 9 Mahine pait me paalti hai tumhe paida karti hai takleef ke sath tumhe paalti hai aur tum sab yeh Ehsaanat bhool jana chahte ho? ALLAH use sakht napasand karta hai jo Waaldain ki nafarmani karta hai aur unka Dil dukhata hai Aise Rishta kya kamyab khabie ho sakta hai jisme aap apne Waaldain ko naraz karke aur ALLAH ko naraz karke tum kaunsa Rishta nibhane chale ho? Agar tumhara Rishta nahi huwa tumhari Shadi nahi horahi us Insaan se jise tum pasand karte ho to Zindagi wahi pe nahi ruk jati. ALLAH hi ki Hikmat thi isme ke tumhari Shaadi nahi ho saki us se ALLAH ne shayad is se bhi behtareen tumhare liye koi rakha ho. Yeh Bhaagi hojana Zindagi me ageh na barrne ka faisla lena Waaldain se naraz hojana ALLAH se naraz hojana Iska matlab yahi huwa na ke tum ALLAH ki zaat pe shaqq karte ho? Isme sirf aur sirf tumhara hi nuqsaan hai aur kisi ka nahi. Yeh sab karke sirf aur sirf tumhari Dunya ki Zindagi tabah hogi azeeyat me guzregi aur tumhari Akhrat bhi tabah hogi. Kyunke ALLAH sirf aur sirf tumhara acha chahta hai... Think about it Emran
Posted on: Mon, 05 Aug 2013 18:46:53 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015