Al Quran: Wo ( Allah ) paak hai jo Ek raat apney bandey ko Masjid - TopicsExpress



          

Al Quran: Wo ( Allah ) paak hai jo Ek raat apney bandey ko Masjid al haram (yani Khana-e-Kaba)se Masjid-e-Aqsa( yani baitul muqaddas) tak jiskey gird gird (charo taraf) humney barkatein rakhi hain le gaya taki hum usey apni kudrat ki nishaniyan dikhayein beshaq wo sunney wala (aur) dekhney wala hai Al Quran Surah Al-isra (17) , Aayah 1......... Abdullah bin Masood Radi Allaho anhu se Rivyat hai Rosoollallah SallAllahu alaihi wasallam ko Mairaj hua to Aap sidaratul muntaha tak pahunchey aur wo chatey( sixth ) assman mein hai zameen se jo chadta hai wo yahi aakar thahar jata hai phir le liya jata hai aur jo upar se utarta hai wo bhi yahi thahar jata hai phir le liya jata hai Rasoollallah sallallahu Alaihi wasallam ko wahan 3 cheezein di gayee EK PAANCH (5) namezein dusra SURAH BAQRA KI AAKHRI AAYTEIN TEESRA ALLAH SUBHANAHU NE BAKSH DIYA AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI UMMAT MEIN SE HAR US SKASH KO JO ALLAH KE SAATH SHRIRK NAHI KAREY {SAHIH MUSLIM VOL1 431] 1. Shab e Meraj ke Din Nabi e kAreem Sallalahu alai wasallam ko Allah ne Namaz ka tohfa diya ki Apki Ummat par 5 Waqt ki Namaz Farz ki gayi , aur uske baad se 5 waqt ki Namaz Musalamano par Farz hui. Uske Baad Sahabao ne taabaenn sare Nek musalmano Ne namaz padhi. 2. Par aaj hum ye din sirf ek Jagne ki raat ki tarah manate hai. 3. Aaj ke din hume ye yaad ata hai ki Hum musalmaaan hai, aaj Namaz padhni hai, baaki ke poore saal hum be namazi rehte hai.
Posted on: Mon, 21 Oct 2013 16:22:59 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015