Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Apne islamic - TopicsExpress



          

Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Apne islamic pages,grps n wall pe zarur share karo Qurani Surah ki khasiyat Suarh Fateha ki khasiyat: Imaam Darmi,Imaam Bahiki ki riwayat hai ki NABI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya KI Surah Fateha har bimari ki dawa hai. Iss Surah ka ek naam “Saafiyah” hai aur ek naam “As’shifa” hai kyuki yeh har bimari ke liye shifa hai. 1. Rizq ki tarkki ke liye: Musnad Darmi me hai ki 100 baar Surah Fateha padhkar jo dua maangi jaaye use ALLAH TA’ALA qabool fermata hai. 2. Makan se Jinn Bhaag Jaye: Agar kisi ghar me jinn ho aur pareshan karta ho toh Suarh Fateha,Aaytul Kursi aur aur Surah Jinn ki shuru ki 5 aayate padhkar paani par dam karke makan ke charo taraf chidak dene ke baad Jinn makan se chala jayega aur IN SHA ALLAH phir nahi aayega. 3. Bimariyo se Shifa: Buzurgo ne farmaya hai ki fajar ki sunnat aur farz ke beech 41 baar Surah Fateha padhkar rogi par dam karne se aaram hojata hai aur aankh ka dard bahot jald accha ho jata hai aur agar itna padhkar apna thook aankho me laga diya jaaye toh bahot faydemand hai. (Fuyuz e Qurani) 4. Bimari wa Aafato ko dur karne ke liye: 7 dino tak roz 11000 baar sirf itna padhe Iyyaaka na’abudu wa iyyaaka nasta’een awwal aakhir 3-3 baar darood sharif bhi padho bimariyo aur balao ko dur karne ke liye bada hi muzarrab amal hai. (Jannati Zewar,Page No. 393)
Posted on: Tue, 03 Sep 2013 17:50:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015