Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Apne islamic - TopicsExpress



          

Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Apne islamic pages,grps n wall pe zarur share karo.… Hiqayat/Wakiya •••PUKHADIM KA RAAZ••• Madina e Munawwara me ek andhi budhiya rehti thi jiska koi aziz na tha. Hazrat Umar Radhi Allahu Ta’ala Anhu har roz raat ko uske ghar aate aur uska paani bhar dete aur bhi jo kuch uska kaam hota kar dete. Ek roz raat ko us bhudiya ke ghar aaye toh kya dekhte hai ki uska saara kaam aapse pehle koi dushra sakhs kar gaya hai. Dushre roz aaye toh us roz bhi aapse pehle hi koi shakhs uska saara kaam kar gaya tha. Issi tarah Hazrat Umar har roz uski khidmat ke liye aate toh aap dekhte hai ki us budhiya ka kaam koi dushra sakhs kar gaya hai. Aap hairaan reh gaye ki yeh koun hai.? Jo mujhse pehle hi yaha pahunchkar iss budhiya ka paani bhi bhar jaata hai aur uska saara kaam bhi kar jaata hai. Chunanche aap ek roz bahot jaldi aaye aur iss intezaar me rahe ki dekhe yeh koun hai? Thodi der baad aane wala aaya aur us budhiya ka kaam karne laga. Farooq e Aazam Radhi Allahu Ta’ala Anhu yeh dekhkar hairaan reh gaye ki yeh Khalifatul Muslimeen Hazrat Siddiq e Akbar Radhi Allahu Ta’ala Anhu hai. (Taarikhul Khulfa Safa-59) Sabak : Itna Buland martbat khalifa aur yeh tawajo zajba e khidmat ke ek andhi budhiya ki khidmat apne jimme le li. Yeh iss baat ki nishani hai ki Siddiq e Akbar Radhi Allahu Ta’ala Anhu sacche Khalifa e RASOOL SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM hai. Aap hi khilafat ke haqdar the warna duniya parast aur jaah talab baadshaho me aisi baate kab nazar aati hai? Malum hua ki musalmano ka Amir asal me Musalmano ka khadim hota hai aur uska farz hota hai ki wah amir garib saari janta ki khabar rakhe aur sabke kaam aaye.
Posted on: Thu, 19 Sep 2013 08:33:28 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015