Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Moharram Hiqayat - TopicsExpress



          

Assalaam u Alaikum Warahmatullah Wabarkatuh Moharram Hiqayat Wakiya Step by step Part :1 BOO E KARBALA Ek roz Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki god me tashrif farma rahe the. Hazrat Umme fazl bhi paas baithi thi. Umme fazl ne HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ki taraf dekha ki aapki dono chashmane Mubarak se aansu beh rahe the. Umme fazl ne arz kiya YA RASOOL ALLAH! Yeh aansu kaise hai? Toh HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne farmaya ki jibrail ne mujhe khabar di hai ki mere iss bacche ko meri ummat qatl kar degi. Jibrail ne mujhe us sarzameen ki jaha yeh baccha sahid hoga surkh mitti lakar di hai. HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne iss mitti ko sungha aur farmaya iss mitti se mujhe BOO E KARBALA aati hai phir wo mitti HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ne Ummul Momineen Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ko de di aur farmaya Umme Salma iss mitti ko apne paas rakho jab yeh mitti khun ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya.. Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha ne us mitti ko ek sisi me band kar liya phir jis din Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu karbala me sahid huye usi roz yeh mitti band sisi me khoon ban gai. (Mishkat Sharif Safa-564, Huzzatul Alal Aalmeen Safa-477) Sabak : Hamare HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko apne lakhte jigar Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki sahadat ka ilm tha. Us sarzameen ka bhi jaha ye waakia hona tha. Us sarzameen ka naam bhi malum tha. Aapse koi baat chupi nahi thi. HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM ko yeh bhi ilm tha ki Hazrat Umme Salma Razi Allahu Anha Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki sahadat k baad tak zinda rahegi. Jabhi toh aapne Hazrat Umme Salma se farmaya iss mitti ko apne paas rakho. Jab yeh khoon ban jaaye toh samajh lena mera beta sahid ho gaya. Bawajud iske phir bhi agar koi HUZUR SALLALLAHU TA’ALA ALAIHI WASALLAM k Ilm e Gaib me shak kare toh gaur kar lijiye ki wah kis qadr jaahil hai. SALAAM YA HUSSAIN! Part :2 DILERANA JAWAB Hazrat Amir Muaviya Razi Allahu ANhu k wishal k baad jab Yazeed takht par baitha toh usne apne baiat lene k liye apni saltanat me khat rawana kiye. Madina munawwara k aamil (Hakim) ko bhi likha ki wah Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu se bhi Yazeed ki baiat le. Chunanche jab wah aamil Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki khidmat me Yazeed ki baiat lene k liye hazir hua toh Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ne Yazeed k fisk wa fuzur (Badkari aur haramkhori wagerah) ki bina par usko naa ahal karar diya. Suza’at wa dileri k saath jawab diya ki me us zalim ki hargiz baiat na karunga. Aamil yeh jawab pakar palat gaya aur Yazeed ko iss jawab ka ittela di. Yazeed jawab pakar jal utha. (Sirrus Sahadaten Safa-13, Sawanhe Karbala Sadrul-Afaazil Safa-50) Sabak : Yazeed bada faasik wa faazir tha. Uske fisk wa fuzur hi k pese nazar Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ne uski baiat se inkaar farma diya. Yeh bhi malum hua ki Hazrat Imaam Hussain Suza Ibne Suza (Bahadur k bête bahadur) the. Aapne yeh jaante huye bhi ki Yazeed ki baiat se inkaar Yazeed ko bhadkane aur gazabnaak karne ki wajah banega aur wah khoon ka pyaasa ho jaayega. Kalim e Haq farmane se gurez na farmaya aur jaan bacha lene k liye haqikat ko na chupaya. Phir yeh kaise ho sakta hai ki aapke walid Maajid Hazrat Sher e KHUDA Razi Allahu Ta’ala Anhu ne kabhi haqikat ko chupaya ho ya kisi se dabkar aapne Kalim e Haq ka yelaan na farmaya ho? Part MAZAAR E ANWAR Yazeed ko jab iss baat ka pata chala ki Imaam Husaain ne meri baiat nahi ki toh wah bhadak utha aur usne aamile madina ko hukm bheja ki Imaam Hussain ko meri baiat par mazbur karo warna uska sar kaatkar mere paas bhej do. Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Taala Anhu ko jab iss Yazeedi hukm ka pata chala toh aapne madina munawwara ki sukunat tark farmakar makka muazzama chale jaane ka iraada kar liya. Madina munawwara se rawanagi se pehle raat ko nana jaan HUZUR SARWARE AALAM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k mazaar e anwar par haajir huye aur ro rokar arz e haal karne lage. Phir roza e anwar se lipatkar wahi so gaye. Khawab me dekha ki nana jaan tashrif laaye hai. Aapne Hussain ko chuma aur sine aqdas se laga liya aur farmaya beta Hussain ankareeb zaalim tujhe karbala me bhuka pyasa sahid kar denge. Tere maa baap aur bhai tere intezaar me hai aur bahist tere liye sazai jaa rahi hai. Usme aise darzaat e aaliya hai jo sahid huye bagair tujhe nahi mil sakte. Jao beta sabr wa sukr se jaam e sahadat pikar mere paas aa jao. Hazrat Imaan Hussain Razi Allahu Taala Anhu yeh khawab dekhkar ghar aaye. Ahle bet ko jama karke yeh khawab sunaya aur madina se makka jaane ka pakka irada kar liya aur phir apne biradare buzurg Hazrat Imaam Hasan Razi Allahu Taala Anhu k mazar par hazir huye aur kalimaat e rukhsat zubaan pe laaye aur phir maa ki qabar e anwar par hazir huye aur arz kiya_Aye Amma Jaan! Yeh naazo ka pala tumhara Hussain aaj tumse juda hone aaya hai aur aankhiri salaam arz karta hai. Qabar e anwar se aawaz aai_Walekum Assalaam aye mazlum (jis par zulm ho) aap waha kuch der rote rahe aur phir wapas tashrif laaye aur makka muazama ko rawana ho gaye. (Tazkira e Hussain Safa-27) sabak : Hazrat Imaam Hussain ki sahadat ka khud Hazrat Imaan Hussain Razi Allahu Taala Anhu ko Ilm tha. Yeh aap hi ki shaan hai ki ilm k bawajud zarra barabar bhi aapke kadam nahi dagmagate aur shok e sahadat me kami nahi aati. Zajba e jaa nisaari aur bhi zyada hi hota hai. Hazrat Imaan Razi Allahu Taala Anhu ne apni sirat paak se bata diya ki taalib e razaye haq moula ki marzi par fida hota hai. Isi me uske dil ka chain aur uski haqiki tasalli hai. Kabhi wahsat wa pareshani uske paas nahi fatakti balki wah intezaar ki ghadiya shok k saath guzaarta hai aur waqt mukarar ka baichani se intezaar karta hai Part :4 KUFIYO KE KHUTUT Hazrat Amir Muaviya Razi Allahu Anhu k wafat k baad jab Yazeed takht par baitha toh ahle Iraaq ko jab malum hua ki Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ne Yazeed ki Baiat nahi ki. Aap makka Moazzama tashrif le gaye toh unhone muttfik (one advice) hokar Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki khidmat me khat bhejne shuru kiye jisme iss amra ka izhaar tha ki hum apne jaan wa maal aap par qurbaan kar denge. Aap yaha kufe me tashrif laaye. Hum aapki baiat kar k zaalimo se muqabala karenge aur aapka baharhaal saath denge.iss tarah iltezanamo ka silsila bandh gaya aur tamaam jamato aur shirko ki tarah se 150 k karib khutut Hazrat Imaam ki khidmat me pahunche. Aap kaha tak khamosh rehte. Kufiyo k baar baar israar par aapne unhe jawab diya ki tumhare 150 k karib khat pahunche. Main filhaal apne chachazaat bhai Muslim Bin Akeel ko tumhari taraf bhejta hu taaki tumhari sacchai ka pata chal sake. Tum agar wakai mera saath dena cahate ho toh mere numainnde Muslim Bin Akeel ki baiat karo jab wah tumhare haal aur sacchai ki mujhe iteela karenge toh main bhi aa jaunga. (Sawanahe Karbala Safa-52, Tazkira e Hussain Safa-300) Sabak : Kufiyo ki bewafai mashur hone k bawajud Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ne unki darkhawst par tawajjah isliye farmai taaki kaal qayamat k din wah log yeh na keh sake ki hum zalimo se mukabala aur unse rihai k talabgaar the lekin Ibne Ali Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ne hamari kisi darkhawst par tawajjah nahi kiya. Hazrat Imaam Ali Makam ne Itmaame Huzzat (Baat puri ho jaana) k liye apne bhai ko kufe bhej diya. Aap apna farz ada karne ko taiyyar ho gaye Part :5 12000 (Barah Hazaar) Kufiyo k baar baar israar par Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu kufa tashrif le jaane k liye aamada hogaye lekin haalat ka pata lagane k liye aapne pehle apne chachzaat Bhai Hazrat Muslim Bin Akeel Razi Allahu Ta’ala Anhu ko waha bheja. Hazrat Muslim se farmaya ki tum waha jakar mere liye kufiyo ki baiat lo. Agar unhone baiat kar li toh mujhe ittela kar dena main bhi aa jaunga. Chunanche Hazrat Muslim apne 2 kamsin baccho ko saath lekar kufa ko rawana ho gaye. Inn 2 sahabzaado k naam Mohammad aur Ibrahim the. Yeh dono apne baap ko bahot pyaare the. Isliye yeh dono bhi safar me apne walid buzurgwar k saath ho gaye. Hazrat Muslim kufa pahunche toh aapne Mukhtar Bin Ubaid k makan par qayam farmaya. Aapki tashrif aawri ki khabar sunkar juk dar juk (Bheed ki Bheed) makhluk aapki ziyarat ko aai. 12000 se jyada k tadaat me aapke haath par Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki baiat li. Hazrat Muslim ne ahle iraq ki mohabbat wa aqidat dekhkar Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki janaab me ariza likha jisme yaha k halaat ki ittela di aur guzarish ki, ki aap jaldi tashrif le aaye taaki bandgaane KHUDA Yazeed k napak sarr se mehfuz rahe aur deen haq ki taaed ho. (Sirrus Sahadaten Safa-14, Sawanhe Karbala Safa-53) Sabak : Ahle Baiat Izaam Rizwanullahi Ta’ala Alihim Azmaeen ki mansa sirf yahi thi ki Bandgaane KHUDA gair sarai nizaam se nizaat paaye. Haq ka kalima buland ho. Deen e Haq ki taeed ho aur ahle haq hamesha isi maslaq par kayam rahe. Part :6 JALLAD IBNE JYAAD Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu jab kufa pahunche toh 12000 se jyada iraaqiyo ne Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ki baiat Imaam Muslim k haath kar li. Ye surat e haal dekhkar Imaam Muslim ne Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ko likha ki aap jald hi tashrif le aaye. Uder Yazeed ko iss surat e haal ka pata chala toh usne hakim e basra ubedullah bin jyaad ko hukm bheja ki wah fauran kufa pahunchkar logo ko Imaam Hussain ki baiat se roke aur jinhone baiat karli hai unhe tambih kare. Ibne Jyaad bada makkar aur jallad tha. Yeh zaalim jhat kufa pahuncha aur ahle kufa ko jama karke Yazeed ki mukhalafat se daraya dhamkaya aur bade bade lalach dekar unhe himayat e Hussain se roka. Sab par apna rob aur dab daba dithaya. Hazrat Imaam Muslim ki yeh surat e haal dekhkar raat ko Haani Bin Urwah k makan me tashrif le gaye aur faymaya aye Haani! Main yaha garib musafir hu. Tu ahle kufa se khub waakif hai. Me teri panah me aaya hu. Haani ne qabool kiya aur ek huzra apne ghar ka unke liye khaali kar diya. Ibne Jyaad ko pata chal gaya ki Muslim ko Haani ne panah de rakhi hai. Chunanche usne apni fauz bhejkar Hazrat Haani ko giraftaar kar liya. Aur iss tarah kufa k dushre ru’usa aur lidraan ko bhi kile me band kar diya. Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu ko iss surat e haal ka pata chala toh aapki rage hasmi josh me aai. Apne dono baccho ko kazi-e-sahar k ghar me rawana karke muhibb ahle bai’at ko bulaya toh aapki aawaz par juk dar juk (BHeed ki Bheed) aadmi aana shuru huye. 40000 logo ne milkar saahi mehal ko gher liya.. karib tha ki ibne jyaad aur uske saathi giraftaar ho jaate ki ibne jyaad ne ek chaal chali. Wah yeh ki usne kufe k jin bade bade aadmiyo ko nazarband kar rakha tha unhe mazbur kiya ki muslim se alag ho. Yeh lob ibne jyaad ki qaid me the aur jaante the ki agar ibne jyaad ko sikast bhi hui toh wah killa fateh hone tak unka khatma kar dega. Iss kouf se wah ghabra uthe. Aur kille ki deewar par chadkar chillaye ki BHaiyo! Muslim ki himayat tumhare liye khatarnaak hai. Hukumat tumhari dushman ho jaayegi. Yazeed tumhare bacche bacche ko marwa daalega. Tumhare maal lutwa dega. Tumhare jaagire aur makan japt ho jayenge aur agar tum Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu hi k saath rahe toh dekho hum jo ibne jyaad ki qaid me hai kille k andar hi maare jaayenge. Apne anzaam par nazar daalo. Hamare haal par reham karo aur apne ghar chale jao. Ibne jyaad ki yeh chaal kaamyab rahi aur Imaam Muslim ka lashkar bikharne laga. Sab bewafai par utar aaye. Hazrat Imaam Muslim ka saath chorne lage hatta ki sham tak Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu k saath sirf 500 ki tadaat reh gai. Gurub e aaftab k baad jab andhera hua toh wah bhi saath chor gaye aur Imaam Muslim tanha reh gaye. (Sirrusahadaten Safa-16, Sawaneh Karbala Safa-5, Tazkira e HUssain Safa-36) Sabak : Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu aur ahle bet izaam ki mohabbat wa wafa k inn daawedaro k saare wade jhute the. Yeh log waqt par bewafa saabit huye. Maalum hua ki yeh zaruri nahi ki ahle bet ki mohabbat karne wala har daawedar saccha hi ho. Lanat Lanat yazeed tujh par beshumar lanat. Part :7 IMAAM MUSLIM RAZI ALLAHU TA’ALA ANHU KI SAHADAT.. Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu jab kufa pahunche toh bewafa kufiyo ne aapke haath par baiat karke phir aapse muh mod liya aur aapka saath chor diya. Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu tanha reh gaye. Raat ka waqt tha. Ibne jyaad ne aapki giraftaari k liye sahar k charo tarah kadi nigrani kar rakhi thi. Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu bhuke pyase ek masjid me baithe rahe. Raat ko bahar nikle raste ka ilm na tha. Dil me kehte jaate the afsos Hussain se chute aur dushman me gire. Na koi humdam hai ki raaz e dil sune, na koi kasid hai ki Hussain ko hamari khabar kare. Issi tarah hairaan aur pareshan ek muhalle me fir rahe the. Waha ek budhiya taua naami ko dekhkar isse paani talab farmaya toh usne paani diya. Yeh malum kar k ki yeh garibul-watan muslim hai apne ghar me jagah di. Uss aurat ka beta ibne jyaad ka aadmi tha usne ibne jyaad ko khabar de di ki muslim hamare ghar me hai. Ibne jyaad ne apni fauz bhej di jinse budhiya k makan ko gher liya aur caha ki Hazrat Muslim ko giraftaar kar le. Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu ko iska pata chala toh aap tanha talwar lekar ibne jyaad k lashkar par tut pade jaise sher bakriyo ke jhund par aawar hota hai. Aapke hamle dekhkar unke dil dahal gaye aur bahot aadmi zakhmi huye aur bahot se maare bhi gaye. Inn zalimo ne phir dar wa deewar par chadkar patthar barsaane shuru kar diye jise Hazrat Muslim ka badan Mubarak khasta ho gaya aur ek patthar aapki peshani par laga. Khoon behne laga aur us waqt aapne makka ki taraf rukh kar k kaha: Aye Hussain! Kuch aapko apne bhai khasta jigar ki bhi khabar hai ki us par kya guzri aur kufiyo ne uske saath kya kiya? Afsos ki mere haal ki aapko khabar koun pahunchaye aur koun aapko yaha aane se roke? Issi dauran ek patthar aur aakar aapke honto par laga jisse khoon zaari hogaya. Daadhi Mubarak rangeen ho gai. Toh ab mazbur hokar ek deewar se takiya lagakar baith gaye ki ek namard ne ghar me aakar talwar aapke sar par maari jisse upar ka honth kat gaya. Aapne issi haal me uss buzzil ko jahannam pahuncha diya aur phir deewar se takiya lagakar baith gaye. Farmane lage Ilahi! main iss waqt pyasa hu! Aapki fariyaad sunkar wahi budhiya ghar se paani laai aur aapko diya. Aapne muh se lagaya magar usme khoon mil gaya isliye aapne fake diya. Budhiya ne dobara diya wah bhi khoon aaluda hogaya. Tisri baar usme aapke daant bikalkar gir pade. Aapne pyala haath me rakhkar farmaya : KHUDA ko manzur hi nahi hai. Piche se kisi ne neza maara jo peeth k paar ho gaya. Zaalimo ne daudkar aapko pakad liya aur aapko Ibne jyaad k paas le gaye. Ibne jyaad bad nihaad (Bahot bura) ne hukm diya ki inhe chat par le jakar qatl kar do. Chunanche ek zalim Ibne Bukair aapka haath pakad kar aapko chat par le gaya. Hazrat Muslim Darood padhte jaate the aur kehte jaate the. ALLAH HUMM HAKUM BENANA WA BAIN KOUMINA BIL HAQ Jab chat par pahunche toh niche dekha ki ahle kufa jama hokar dekh rahe hai. Aapne farmaya aye kufiyo! Jab mera sar tan se juda kiya jaaye toh badan dafan karna aur kapde utaarkar jo kaafila makke jaata ho Hussain k paas bhej dena aur mere baccho par reham karna. Phir makke ki taraf rukh kar ke kaha: BHAI YAHA KI AAPKO KAISE KHABAR KARE HARGIZ IDHER KO AAP NA AZME SAFAR KARE Itne me zalim qaatil ne aapka sare Mubarak tane athar se juda kar diya_ INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAAZIUN SAHID MUSLIM BEKAS HUYE HAZAAR AFSOS FARISHTE KARTE HAI ISS GUM ME BAAR BAAR AFSOS SAKI NE KUCH BHI NA GURBAT KA UNKI PAAS KIYA CHALAI HALAK PE SAMSEERE AABDAR AFSOS Sabak : Duniyadar nas e duniya me badmast hokar ALLAH walo par intehai zulm wa sitam par utar jaate hai. Lekin ALLAH walo k paaye isteqlaal me lagjis nahi aati. Malum hua ki yeh saare zulm wa sitam dhaane wale bade hi jhote wa buzzil the. Bazahir mohabbat wale aur baatin k dushman the.. Beshumar lanat ho un kufiyo par,lanat ho ibne jyaad par aur lanat lanat ho yazeed par.. Part: 8 MAZLUM BACCHE Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu jab kufa tashrif le gaye toh aapne 2 nanhe bacche Hazrat Mohammad aur Hazrat Ibrahim Razi Allahu Ta’ala Anhum ko bhi apne saath le gaye the. Ibne Jyaad Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu k qatl se faarig hua toh use pata chala ki Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu k 2 bacche bhi issi sahar me hai. Ibne jyaad ne fauran ailaan kara diya ki jo koi bhi muslim k ladko ko apne ghar me jagah dega qatl wa gaarat kiya jaayega. Iss waqt dono bacche kaazi sureh k ghar me the. Kaazi sureh sahib ne dono baccho ko saamne bulaya aur be iqteyaar rone lage. Baccho ne pucha aaj iss tarah rone ka sabab kya hai? Kya hum dono yatim toh nahi ho gaye? Kaazi sahib ne farmaya baccho! ALLAH TA’ALA tumhe shabr ata farmaye. Wakai tum dono yatim ho gaye ho. Baccho ne yeh khabar suni toh rone lage. Kaazi sahib ne kaha baccho chup raho Ibne Jyaad k aadmi tumhari talash me hai, mujhe tumhari aur apni jaan ka kouf hai. Main cahata hu ki tumhe kisi k saath madina rawana kardu. Bacche yeh sunkar Ibne Jyaad k kouf se chup ho gaye. Kaazi sahab ne apne ladke Asad se kaha ki aaj ek kaafila darwaza irakain se madine ko ja raha hai. Tu inn baccho ko kisi naik aadmi k supurd kar aa taaki wah unhe madina pahuncha de. Asad jab unhe lekar darwaza irakain aaya toh kaafila rawana ho chukka tha. Dur dhul udti hui nazar aa rahi thi. Asad ne baccho se kaha ki wah kaafila ja raha hai daudkar usse mil jao. Bekas bacche kaafile ki taraf daud pade magar kaafila dur ja chukka tha isliye kaafile ko naa paa sake. Asad ghar ko aa chukka tha andheri raat thi bacche rasta bhul gaye. Raat bhar idher uder firte rahe subah hone lagi toh ek chashma dekha thake huye the isliye chashme k paas baith gaye. Ittefakan ek londi us chasme par paani bharne aai unko dekhkar jab use malum hua ki yeh Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu k yatim bacche hai toh wah rone lagi aur kaha Sahabzaado! Mere saath chalo. Meri maalika ahle bait se mohabbat karne walo mese hai. Wah tumhe pakar bahot khush hogi. Bilkool na ghabrao mere saath chalo. Bacche hairan wa pareshan uske saath ho liye. Jab ghar pahunche toh ghar ki maalika yeh maalum karke ki yeh Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu k yatim bacche hai, daudi aur dono ko sine se lagaya. Unhe haal e zaar par rone lagi aur phir khila pilakar ek kamre me sula diya. Idher yeh aurat toh itni KHUDA taras aur muhibbe ahle bait thi,udher uska khawind Haaris naami behad naa KHUDA taras aur dushmane ahle bait tha. Din bhar inhi baccho ki talash me ghumta raha tha ki bacche mil jaaye toh unhe qatl kar k unka sar Ibne Jyaad k paas le jaakar inaam pau. Yeh azib manzar tha ki Haaris din bhar jin baccho ki talash me tha, wah bacche usi k ghar me aaram farma rahe the. Raat ko jab yeh zalim ghar aaya toh uski biwi dari ki kahi ise inn dono baccho ka ilm naa ho jaaye. Chunanche uski biwi ne use jaldi jaldi khana khilakar so jaane ko kaha. Wah zalim din bhar ka thaka manda so gaya. Kuch raat gaye bade bacche ne chote ko jagaya aur kaha: Bhai mene abhi abhi khawab me dekha ki hamare walid maajid bahist (Jannat) me HUZUR NABI E KARIM SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM k saath hai aur unse farma rahe hai ki Aye Muslim! Tum khud chale aaye aur baccho ko kyu zalimo me chor aaye? Walid maajid ne unse arz kiya ki YA RASOOL ALLAH! Wah bhi mere piche piche aa rahe hai. Subah tak aa jaayenge. Chote bacche ne kaha Bhaijaan mene bhi yahi khawab dekha hai phir dono chimat kar rone lage. Unke rone se Haaris ki aankh khul gai. Biwi se pucha yeh shor kaisa hai?? Wah aurat saham gai aur daudi ki KHUDA jaane ab kya ho? Haaris utha aur chirag jalakar andar aaya toh un dono yatimo ko rote dekhkar bola ki tum koun ho? Un saahabzado ne saaf saaf keh diya ki hum farzandane muslim hai. Zalim Haaris khush ho gaya aur_ AAYA HAARIS TOH KAHA TUM HI HO MUSLIM K PISAR KAAL TUMHI NE MUJHE HAIRAN KIYA CHAR PAHAR KHAIR AB KAAL KA YEWAZ AAJ ME LUNGA JI BHAR PHENK DI HAATH SE PHIR SHAMA IDHER,TEG UDHER DASTE BEDAAD SE EK BHAI KA BAAZU KHINCHA DUSHRE BHAI KA EK HAATH SE GESU KHONCHA QATL K KOUF SE UTHE NA ALI K PYAARE ISS TAWAKKUF PE SITAMGAAR NE TAMACHE MAARE KHINCHA ISS TARAH KI PURZE HUYE KURTE SAARE MUH K BAL GIR PADE WAH BURZE SARF K TAARE YA HUSSAIN IBNE ALI IK NE BASAD YAAS KAHA DUSHRE BHAI NE HAZRAT E ABBAS KAHA Phir ye zalim un sahabzado ko ghasitte hua bahar aaya aurat bechari bahot haath pair maarti rahi apna sar uske pairo par rakhti rahi aur use zulm se rokti rahi. Magar us zalim ne ek na suni. Beraham talwar lekar utha aur dono ko furat ki taraf le chala aur unko qatl karne k liye taiyyar ho gaya. Jab un dono ne dekha ki yeh zalim hame qatl karne wala hai toh_ KI BADE BHAI NE KAATIL KI YEH MINNAT US AAN TUJHSE ARZ EK ME KARTA HU AGAR TU LE MAAN CHOTE BHAI PE MAIN QURBAAN, MERA SAR QURBAAN SAR MERA PEHLE KALAM KAR TOH BADA HO YEHSAAN SOUK SE AUR HAR EK SADMA WA IZA DIKHLA PAR NA BHAI KA MUJHE NANHA SA LAASHA DIKHLA Aakhirkar zalim beraham Haaris ne talwar pakad li us waqt baccho ne kaha hum yatim hai, be watan hai. Hum par reham kar magar us duniya k kutte ne ek na suni aur zalim ne bade sahabzaade ko pehle shahid kiya. Phir dekhte dekhte chote ko bhi shahid kar diya. (Tazkira Safa-48) Sabak : ALLAH walo ki jaan wa maal aur chote bado par badi badi aazmaise naazil hui hai. Un paak logo ne bade shukr wa shabr k saath unko bardast farmaya aur hamesha raza e ilahi k liye sar jhuka diye. Kabhi koi shikwa nahi kiya. Lihaza hum par bhi jab koi aisi mushibat aan pade toh moula ki marzi k aage sar jhuka dena cahiye. Kyuki mushibato aur pareshaniyo me ALLAH ki taraf se aazmaish hoti hai. Part :9 ZALIM KA ANZAM Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Taala Anhu k dono sahabzaado ko jab Haaris ne sahid kar liya toh socha ki unke sar Ibne Jyaad k paas le chalu aur inaam pau. Chunanche wah un mukaddas saro ko lekar ibne jyaad k paas aaya. Ibne jyaad ne inn nanhe aur nurani saro ko dekhkar pucha ki yeh kiske sar hai? Haaris ne bataya ki muslim k baccho k. Ibne jyaad bajaye khush hone k kehne laga aye malun! Mene toh yajeed ko yeh likha hai ki bacche mere paas qaid hai. Agar usne zinda mangwaye toh me kaha se launga? Tu inhe mere paas zinda kyu nahi laaya? Haaria ne kaha agar zinda laata toh sehar wale mere se cheen lete aur me inaam se mehrum reh jaata. Ibne jyaad ne kaha tune mujhe khabar ki hoti. Me khufiya taur par manga leta. Haaris chup ho gaya. Ibne jyaad ne makatil naami ek shakhs jo muhibbe ahle bait tha ko hukm diya ki iss kabees ko nahar e furaat par le jaake qatl kardo. Jaha inn dono baccho k sar daale gaye hai wahi inke dhad bhi daal do. Makatil yeh hukm sunkar bahot khush hua. Haaris ka haath pakadkar apne raazdaro se kehne laga ki agar ibne jyaad mujhe tamam mulk de deta tab bhi mujhe itni khushi nahi hoti jitni iss hukm se hui. Phir makatil ne haaris k haath baandhe,seer nanga kiya sare bazaar lekar chala. Baccho k sar logo ko dikhate jaata tha log unhe dekhkar rote aur haaris pe lanat karte. Haalaki makatil ne pehle un dono mukaddas saro ko nahar me daal diya. Kudrat e Ilahi se dono k tan paani k upar aakar saro se mil gaye aur phir paani me dub gaye. Phir makatil ne zalim Haaris ko bhi wahi qatl kar diya aur uski laash ko furaat me feka toh furaat ne use qabool nahi kiya aur bahar feke diya. Phir use zamin me dabaya toh zamin ne bhi qabool nahi kiya aur bahar feke diya. Aankhirkaar lakdiya jama kar k use jala diya gaya. (Tazkira, Safa-50) sabak : Deen se muh modkar iss bewafa duniya ko apnane ka phal yahi milta hai. Aisa zaalim dhobi k kutte ki tarah na ghar ka naa ghaat ka Part:10 KUFA KA SAFAR KUFA KA SAFAR Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu ko kufa me jis roz sahid kiya gaya, usi roz Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu makka moazzama se kufa ko rawana ho pade. Aapke ahle bait,mawali aur khuddam kul 82 log aapke saath the. Yeh mukhtsar sa ahle bait ka kaafila makka moazzama se rukhsat hua toh makka mukarrama ka baccha baccha ahle bait k iss kafile ko rukhsat hota dekhkar aabdida aur gamseen ho raha tha. Hazrat Imaam Hussain Razi Allahu Ta’ala Anhu ka yeh kafila jab makame shakuk me pahuncha toh kufa se aane wale ek aadmi ne Hazrat Imaam Razi Allahu Ta’ala Anhu ko bataya ki kufiyo ne bewafai ki aur Hazrat Imaam Muslim Razi Allahu Ta’ala Anhu sahid kar diye gaye. Hazrat Imaam Razi Allahu Ta’ala Anhu ne yeh khabar sunkar INNA LILLAHI WA INNA ILAIHI RAAZEUN padhi. Phir kheme me aaye. HAzrat Muslim ki sahabzadi saamne aai toh uske sar par safkat k saath haath phera aur use tasalli wa safkat aamez baate farmai. Sahazaadi ne khilafe aadat baat dekhkar arz ki, ki aaj toh aap mujh par yatimaana nawazis farma rahe hai. Shayad mere walid nahi rahe. Yeh sunkar Hazrat Imaam be ikhteyaar ro pade aur farmaya! Beti gum na kar. Main tera baap hu meri bahan teri maa hai aur meri ladkiya ladke tere bhai bahan hai. Sahabzaadi rone lagi farjandaane muslim dode aur walid ki khabar sunkar wah bhi roye aur phir intehaai dileri se farmane lage Chachjaan! Hum kufiyo se baap k khoon ka badla lenge ya khud bhi unhi ki tarah sahid ho jaayenge. Hazrat Imaam Razii Allahu Ta’ala Anhu ne phir apne humrahiyo me ek takrir farmai aur farmaya_ki kufiyo ne bad ahdi ki aur Muslim Razi Allahu Anhu ko sahid kar diya. Tumme se jiska ji cahe wapas chala jaaye. Chunanche baaz log jo ider uder se aakar mil gaye the wah wapas chale gaye. Jo sahid hone wale the wah reh gaye. Aage badhe toh ek makam saalba par aakar utre. Hazrat apni behan Hazrat Zainab Razi Allahu Anha ki jaanu par seer rakhkar so gaye. Thodi dair baad rote huye uthe aur farmaya Behan! Mene nanajaan ko khawab me dekha hai aap ro rokar farma rahe hai ki Aye Hussain! Tum jald aakar humse miloge. Ek sawar keh raha hai ki log chal rahe hai aur unki qajaye unki taraf chal rahi hai. Hazrat Ali Akbar Razii Allahu Ta’ala Anhu ne farmaya Abbajaan!kya hum haq par nahi hai? Hazrat Imaam Razi Allahu Ta’ala Anhu ne farmaya beshak hum haq par hai aur haq hamare saath hai. Hazrat Ali Akbar ne arz ki toh phir mout ka kya kouf ki ek na ek din toh marna hi hai. Abbajaan hum sahadat ki bag ko fala fula dekh rahe hai, duniya se behtar ghar aur naimate hamare saamne hai. (Tazkira Safa-57) Sabak : Hazrat Imaam Hussain Razii Allahu Ta’ala Anhu aur aapke ahle bait sabhi haq ki khatir kamar kase huye the aur unhe mout ka koi dar na tha. Yazeed k fisk aur fuzur k khilaf aawaz buland karne me unhe kisi duniyaawi nuksaan ka dar nahi tha.
Posted on: Mon, 04 Nov 2013 06:23:51 +0000

Trending Topics



">
ACER XD1150P Projector Replacement Lamp with Housing I found
not a
The parents of the Benghazi victims were about to give their

Recently Viewed Topics




© 2015