Assalaamu Aalikum kaise bhi phado yaro lyt nko liyo bahut - TopicsExpress



          

Assalaamu Aalikum kaise bhi phado yaro lyt nko liyo bahut zaberdast aur payara waqia hain subhanallah ... =============== ============ TUFAN -E- NOOH TAREEKH KE AAINE SE,,, =============== ============ .,,.,,.,,.,.,., .,., SAWAL : Jab Hazrat Nooh (Aalaihissalam) ne Kashti me “Sher” ko dakhil kiya to logon ne unse kiya kaha tha? >>JAWAB : Jab Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Tamam Janwaro ko Kashti me Sawar karliya to logo ne kaha ke Sher ki Maujoodgi me Baqi Janwar kaise Aaram se rah Sakenge.Tab Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Allah Pak se duwa ki to Allah pak ne us waqt Sher par “Bukhar” Dal diya,jisse wo Sher chupchap Baitha raha… ye Pahla Janwar hai jo duniya me Bimar huwa,isse pahle Duniya me ye Bimari nahi thi. {Al Bidaya-Jild-02- Safa-No-111} . SAWAL : Toofan-e Nooh me Barasne wale har Qatre me kitna Pani hota tha? . >>JAWAB : Us Toofan ki Barish ka har Qatrah ek (Mashk) ke barabar hota tha. . SAWAL : Kashti-e Nooh” BaiTulla Shareef ka “Tawaf” kitne dino tak karti rahi? . >>JAWAB : Kashti-e Nooh 40 Dino tak Baitullah Shareef ka Tawaf karti rahi,fir Allah Tabarak wa Ta’ala ne use (JOODI) ki taraf Rawana kardiya… Ba’z kahte hai ke 07 Roz tak. {Ibn-e Kaseer-Parah-12 -Ruku-04} . SAWAL : Kashti-e Nooh Dauran-e (Gasht) kaha ruki thi aur kyun? . >>JAWAB : Kashti-e Nooh” Tmaam Rooy Zameen par Gasht karte karte Jab (Zameene KarBala) par Pahunchi to ruk gayee… Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Allah Pak ki Bargah meArz ki: Ya Ilahal Aalameen ! ye kiya Maqam hai,aur Kashti Thahirne ka kya Maajirah hai?>Jawab mila : ye wo Maqam hai jaha (Ahle Bait Athaar) ki Kashti Gardab-e Khoon me Garqab hogi… aur Mere Mahboob (Sallallahu alaihi wasallam) ke Jigar Goshe is Maqam se Jaam-e Shahadat pee pee kar Mere Paas aayenge. {Auraq-e Gam-Safa-No-73} . SAWAL : Toofan-e Nooh ka Pani Buland Pahadho se kitna Uncha tha? . >>JAWAB : Toofane Nooh ka Pani Sabse Buland Pahadh se bhi 30 Gaz Uncha tha… Baqaul-e Digar,Bade Bade Pahadho ki Chuntiyon se 15 Gaz uncha tha,ek Qaul ke Mutabiq 40 Gaz,aur ek Qaul ye bhi hai ke Pani Pahadho se 80 Meel Upar tha. {Hashiya-03-Jal aleen-Safa- No-336} . SAWAL : Hazrat Nooh (Alaihissalam) Kashti me kis Maheene ki kis Tareekh ko Sawar aur Kashti,Pahad par kis Tareekh ko Thahri thi? . >>JAWAB : Hazrat Nooh (Alaihissalam) Kashti me 10vi (Rajab) ko Baithe the aur 10vi (Muharram) ko Kashti (Joodi Pahadh) par thahri thi… Hazrat Qatadah (RadiAllau anh) Farmate hai ke (Rajab) ki 10vi Tareekh ko Kashti me Musalman Baithe the,aur 5 Maah tak usi me rahe,aur unhe lekar Kashti Joodi Pahadh par Maheena bhar tak Thahri rahi,Aakhir me (Aashurah) ke Din wo sab usme se neeche utre. {Ibne Kaseer-Parah-12 -Ruku-04} Say to *!*!* SUBHAN ALLAH *!*!* *!*!* SUBHAN ALLAH
Posted on: Mon, 16 Sep 2013 17:37:31 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015