✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿*** - TopicsExpress



          

✿✿Assalamualaikum Warahmatullahi Wabarakatuhu✿✿*** Bismillah-Hirrahman-Nirrahim***Hazrat Ibne Abbas (RadiALLAHU Anhu) se riwayat hai ki Hazrat Jibraeel (Alaihis’salam)ne RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alahi Wasallam) se arz kiya : Mujhe Bataiye imaan kya hai ?NabiKareem (Sal’lal’lahu Alahi Wasallam) ne irshaad farmaya :IMAAN yeh hai ki tum ALLAH TA ALA, aakhirat k din, Farishton, ALLAH TA ALA ki kitabo’n aur Nabiyon par imaan lao, Marne aur marne k baad dobara zinda hone par imaan lao, Jannat, Dozakh, Hisaab aur amaal k taraazu par imaan lao, Achi aur buri taqdeer par imaan lao.Hazrat Jibraeel (Alaihis’salam)ne arzkiya : Jab main in tamaam baton par imaan le aaya to (kya) main imaan wala ho gaya ?Aap RasulALLAH (Sal’lal’lahu Alahi Wasallam) ne irshaad farmaya : Jab tum in chizon par imaan le aaye to tum imaan wale ban gaye.{Musnad Ahmad : 1/319}
Posted on: Mon, 23 Sep 2013 15:03:02 +0000

© 2015