♥! Asslam U Alaikum Warahmatullahi Wabarkatohu !♥! Juma - TopicsExpress



          

♥! Asslam U Alaikum Warahmatullahi Wabarkatohu !♥! Juma Mubarak Jumma Ki Namaaz Ke Wakt Khareed- O-Farokht Chorh Do ….. ∗ Jumma Ki Namaaz Ke Wakt Khareed-O-Farokht Chorh Do ….. Al-Quraan : Bismillah-Hirrahman-Nirrahim !!! “Aye Emaan Walo! Jab Jumma Ke Din Ki Namaz Ke Liye Pukara Jaye Toh Allah Ki Yaad Ki Taraf Chal Paro Aur Khareed-O-Farokht Chorh Do, YahTumhare Liye Behtar HaiAgar Tum Jano. Phir Jab Namaz Puri Ho Jaye TohZameen Me Fail Jao Aur Allah Ka Fazal (Rozi) Talash Karo, Aur Allah Ko Kasrat Se Yaad Karo, Taaki Tum Kamyabi Pao”. -:(Surah Al Jumu’ah, Aayat: 9-10) Jumaa Me 3 Tarah Ke Log Aatey Hain …. ∗ Jumaa Me 3 Tarah Ke Log Aatey Hain …. » Hadees: Abdullah IbnAmr (Radi Allahu Anhu) Se Rivayat Hai Ki Rasool’Aallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, Jumaa Me Teen (3) Tarah Ke Log Aate Hain, (1) Ek Toh Wo Jo Waha Aakar Behuda Baat Kare, Uska Hissa Yahi Hai (Yani Usko Kuch Sawaab Na Milega) Aur (2) Dusra Wo Hai Jo Wahan Aakar Allah Subhanahu Ta’ala Se Dua Kare Agar Allah Chahega Toh Uski Dua Qubool Karega Aur Chahega Toh Nahi Karega, Aur (3) Teesra Wo Hai Jo Wahan Aakar Khamoshi Se Baith Jaye, Na Logon Ki Gardanein Faand Kar (Over The Neck) Aagey Badey Aur Na Kisi Ko Takleef Pahuchaye Toh Uska Ye Amal Iss Jumma Se Lekar Agle Jumma Tak Balki Aur Teen (3) Deen Ziyada Tak Ke Liye Gunaahon Ka Kaffara Ban Jayega, Kyunki Allah Subhanahu Ta’ala Ka Irshaad Hai Ki Jo Shaksh Ek Neki Karta Hai Usko 10 Gunaa Sawaab Milega. -:(Sunan Abu Dawud, 1101) Jumma Ke Din Kasrat Se Durood Parhe ….. ∗ Jumma Ke Din Kasrat Se Durood Parhe ….. Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) ne Farmaya : Jo Mujh Par Jumma Ke Din 100 Martba Durood Padhe Allah Ta’ala Uski 100 Hajate Puri Farmaega. 70 Aakhirat Ki Aur 30 Duniya Ki. -(Kanzool Ummal) Hazir Raho Khut’be Ke Waqt Aur …. ∗ Hazir Raho Khut’be Ke Waqt Aur …. » Hadees: Hazrat Samura Ibne Zundab (Radhi Allahu Ta’ala Anhu) Ne Kaha Ki, Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya, “Hazir Raho Khut’be (Jumma Ke Khutbe) Ke Waqt Aur Imaam Se Qareeb Raho Isliye Ke Aadmi Jis Qadar Door Rahega Usi Qadar JannatMe Piche Rahega Agarche Woh Jannat Me Dakhil Zaroor Hoga”. -:(Sunn-e-Abu Dawood J.1 S.410, Hadees 110
Posted on: Fri, 06 Sep 2013 09:41:11 +0000

Trending Topics



s! God is good!

Recently Viewed Topics




© 2015