Asslmkm; - TopicsExpress



          

Asslmkm; Dear Rauf, wasif, Wajid, Abdur-Rehman,Mohd Rehan Khan and others ; Bhargain mein Road ka udghatan ka zikr karte hue Abhi kuchh roz pehle post kiya gaya tha ki Daryaoganj se Rudain aur Station se Bazaar Mandi tak Road banne wali hain aur Ek Go-Down bhi manzoor hua hai. Yeh bahut achhi Khabar hai aur jo log is project se jude hain woh sabhi Mubarak baad ke mustahik hain. Is baare me main yeh janna chahta hun,ki yeh sabhi projects kis stage par hai ? Project ke jo stage hote hain usmen proposal,estimation,sanction,tendering aur phir execution hote hain. Execution to abhi hona hi hai ,lihaza baqi stages mein Kya aap maloom karke bata sakte hain ki project kis stage par hai ? Doosri baat yeh hai,ki Vidhayak Nidhi se ek road ban gaya hai,Iske liye hum sabhi ko behad shukrguzar hain, Lekin ismen Rajneet nahin honi chahiye.Kisi vidhayak ke liye sabse aasan kaam yehi hai ki vidhayak Nidhi se kaam karwa dena. Seed Go-down project ka bhi status pata karke batana.Agar project sanction hai to uske sanction detail bhi maloom kar lena.Yeh main isliye keh raha hun ki Bhargain ke mamle mein sabhi log (officers) negative hain aur time waste karte hain jaan bhoojh kar deri karte hain jise hum log pursue karke jald karwa sakte hain.Hamen yeh yaad rakhna chahiye ki hamari MLA Zeenat Khan ,PWD minister Shivpal se yeh sab bahut jald karwa sakti hain lekin qareeb ab 17 months guzar chuke hain aur abhi kaam shuroo nahin ho saka hai. agar 4 months aur guzar jaate hain to yeh Road nahin ban sakenge kyonki AParliament Election declare ho jayenge aur phir achar sanhita ka chakkar aa jayega.Agar MLA chahti hain to Election declare hone se pehle kaam shuroo ho jaana chahiye. Parliament Election ke baad mera daawa hai ki 2 saal tak koi neta Bhargain ke ird gird bhi nazar nahin aayega. "Let us keep ourselves well informed and aware so that our leaders nderstand that we mean buisiness with them and not just lip service as usual". Mohd Rehan Khan s/o Janab NurAlam Khan,Bheekan Thok, Are you listening me ? If yes, then please reciprocate quickly. Mr Wajid ,I request you to share the message on your timeline so that message reaches to all concerned.
Posted on: Sun, 08 Sep 2013 13:44:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015