Astagfar Karna Kitna Jaruri Hai ?… » Hadees: Allah Ke Nabi ﷺ - TopicsExpress



          

Astagfar Karna Kitna Jaruri Hai ?… » Hadees: Allah Ke Nabi ﷺ (Sallallahu Alayhi Wasallam) Ne Farmaya, “Main Khuda Ki Bargah Me Astagfar (Muafi Manga) Karta Hoon Aur Uski Taraf Ruju Karta Hoon Din Me 70 Baar Se Bhi Jyada”. -:(Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadees No:319) » Astagfar Ki Dua : » Hadees: Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Farmaya, Allah Se Astaghfar (Apne Gunaaho Ki Muafi) Ki Sabse Behtar Dua Hai, “Allahumma Anta Rabbi La Ilaha Illa Anta, Anta Khalaqtani Wa Ana Abduka, Wa Ana ‘Ala Ahdika Wa Wa’dika Mastata’tu, A’udhu Bika Min Sharri Ma Sana’tu, Abu’u Laka Bini’matika ‘Alaiya, Wa Abu Laka Bidhanbi Faghfirli Innahu La Yaghfiru Adhdhunuba Illa Anta.” » Hadees: Nabi-e-Kareem ﷺ (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam) Ne Aage Farmaya, “Agar Koi Shakhs Ye Dua Yakeen Ke Sath Din Me Parhe Aur Shaam Se Pehle Intiqaal(Mout) Kar Jaye Toh Jannat Me Jayega Aur Agar Yakeen Ke Sath Raat Ko Parhe Aur Subah Hone Se Pehle Inteqal Kar Jaye Toh Jannat Me Jayega”. -:(Bukhari, Vol:8, Book:75, Hadees No:318)-
Posted on: Tue, 15 Oct 2013 11:10:10 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015