>>>>> BAD AQEEDO K KUCHH AHAM SUWALAAT OR UN K JAWABAAT FATAWA - TopicsExpress



          

>>>>> BAD AQEEDO K KUCHH AHAM SUWALAAT OR UN K JAWABAAT FATAWA SHAMI, Page 298 Aur Mashhoor Sahabi Hazrat ABDULLAH Ibn UMAR (Radiallahu Anhu) Ka Jab Pair Sun Hogaya To Aap Nay YA MUHAMMAD (Sallallaho Alaihi Wasallam) Kah Kar Pukara. >Ref: SHIFA SHARIF, Vol 2, Page 20, BUKHARI SHARIF, Adab Al- Mufrad, Page No 404, Hadith No. 964 YA ALI AL MADAD Kahna Bhi Jayez Hai. >Ref: TIRMIDHI SHARIF, Abwabul Anaqib 3713 Huzoor Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) Nay Khud Farmaya, Main Jiska Madadgar Hun, ALI Uska Madad Gaar Hai. SAWAL 6: Sahaba Karam (Radiallahu Anhum Ajmain) 12 Rabiul Awwaal Sharfi Ko Kis Rang Ka Jhanda Lehratay Thay? ANSWER: Sahaba Karam Nay Aamad-E- Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) Par Mukhtalif Qism Kay Jhanday Lehra Kar Apni Khushi Ka Izhar Kiya Hai. >Ref: MADAARAJATUL NABUWAT, Vol 2, Page 62 Balki Mashhoor Sahabi Hazrat BARIDA ASLAMI (Radiyallaho Anho) Nay To Apnay Amama Sharif Ko Jhnada Banakar Apnay Nezay Par Lehraya Tha. >Ref: MADARAJATUL NABUWAT, Vol 2, Page 62 *NOTE: Aap Kay Mutalbay Par Quran Aur Hadees Sharif Ki Roshni Main Aap Kay Sawalat Kay Jawab Dekhar Humnay To Sahi hul Aqida Musalaman Honay Ka Sabut Pesh Kardiya. Magar Inhi Bato Ko Shirk Aur Biddat Bata Kar Bhole Bhale Musalamano Ko Gumrah Karnay Wale Kya Sahihul Aqida Musalamn Ho Saktay Hain? Kya Quran Aur Hadees Kay Farman Ko SHIRK Aur BIDAT Kahnay Wala Kya Musalman Ho Sakta Hai? Kya Har Wo Cheez Jo Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamanay Main Na Thi Ya Isko Kisi Sahabi Nay Na Kiya Ho To Kya Wo Har Chiz Shirk Aur Biddat Hai? Insaf Kijye. 1) Kya QAYEDA BAGHDADI Jo Hum Bachpan Main Padhtay Hain Say Lekar BUKHARI SHARIF Tak DARS E NIZAMI Ki Tamam Kitabay Alawa Quran Sharif Kay Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Kay Zamany May Thi Na Sahaba Karam Wa TAABAYEEN Nay Isko Padha Aur Na Padhaya. 2) Baad Namaz Fajar Bila Naga Quran Sharif Ki Tilawat Karna Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Say Na Kisi Tabaen Say. 3) Baad Namaz E Isha 1000 Martaba Pabandi Say Darood Sharif Padhna Na Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) Say Sabit Hai Na Kisi Sahabi Na Kisi Tabaen Say. 4) Masjido Ko Pokhta Banana, Minar Banana, Ghumbad Aur Mehrab Lagana, Masjido Main, Shandar Qalin Bichhana, AC Lagana, Paint Lagwana, Har Waqt Ki Namaz Ka Ghadi Kay Time Say Waqt Fix Karna, Madarso Kay Liye Zameen Waqf Karna, Mustakil Madarsay Banwana, Madarso Main Talba Kay Rehnay Ya Khanay Ka Intezam Karwana, Madarso Main Chanda Dena, Alim, Fazil, Mufti Waghyra Ki Dastar Bandi Karwana, Madaris Ka Salana Jalsa Karwana, Deen-E-Kitabay Chhapwana Aur Taqseem Karna, Quran Majeed Par Zer, Zabar, Pesh Lagana, Azan Wa Namaz Main Mike, Loud Speaker Waghyra Ka Istemal Karna etc. Is Main Say Koi Bhi Cheez Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam), Wa Sahaba Ya Tabaen Kay Zamanay Main Na Thi. Magar Aaj In Chezo Kay Bagair Hum Apni Mazhabi Umoor(Kaamo) Ko Ada Nahi Kar Saktay. Aaj Ye Sari Chezain Hamrai Mazhabi Shinakht Hain. Inkay Bagair Hum Apni Mazhabi Zindagi Sahi Tariqay Par Nahi Guzar Saktay. Insaf Say Bataye Kya Ye Sari Chezain Bhi Shirk Wa Bidat Hain? Agar Nahi Aur Waqaye Nahi To Isi Tarah Koi Nek Kaam Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) Kay Zamany Kay Baad Kiya Jaye To Wo Bhi Shirk Aur Bidat Nahi Hoga. Haan, Is Baat Ka Khyal Zaroori Hai Ki Wo Shairyat Kay Khilaf Na Ho. Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) Nay Khud Apnay Baad Achchhay Kaam Karnay Waley Ko Pasand Kiya Hai Balki Aisa Kaam Karnay Walo Ko Dugunna Ajar Wa Sawab Ki Khush Khabri Bhi Sunaye Hai. Hazrat JARIR Ibn ABDULLAH Bajli (Radiallahu Anhu) Say Riwayat Hai Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Nay Irshad Farmay Ki, Jo Shaksh Islam Main Achchha Tariqa Ijad Kareyga Isay Iska Sawab Mileyga Aur Jitnay Log Iskay Bad Is Par Amal Karengy Wo Sab Kay Barabar Isay Sawab Mileyga. >REF: MUSNAD AHMAD Ibn HAMBAL, Vol 5, Page 547, MUSLIM SHARIF, Kitab Uz Zakat, Page 327, Kitabul Ilm Page 341, NISAYI SHARIF, Kitab Uz Zakat, Page 356, MISHKAT SHARIF, Page 33. TAWAJJOH FARMAYEN: Milad, Qayam,Fatiha,Isale Sawab, Darood-O- Salam, Waghaira Mamulat Ahle Sunnat Wal Jammat Agar Bazahir Daur-E-Sahaba Main Apko Nazar Nahi Atay To Kya Sirf Isi Buniyad Par In Chezo Ko Aur Inkay Alawa Dusray Nek Kamo Ko Jiska Zikr Pehlay Guzar Chuka Hai Bidat Aur Shirk Kehna Durust Hoga? Hargiz Nahi Balki Ye Bohat Badi Jhalat Aur Nadani Hai Aur Shariyat Ki Halal Aur Mubah Chezo Ko Bagair Kisi Daleel-E-Mana Kay Haram Aur Shirk Bidat Batana Shariyat Islamia Say Khuli Hui Baghawat Hai Aur Deen-E-Mustafa Kay Khilaf Bahut Badi Jasarat Hai. NOTE: Sawal Ye Hai Ki Agar Ye Batain Sahab Karam Say Sabit Nahi To Kya Kisi Sahabi Nay In Batao Ko Na Karnay Say Mana Kiya? Aur Jab Kisi Sahabi Nay Mana Nahi Kiya To Aap Kaun Hotay Hai Mana Karnay Walay? Aur Agar Apkay Pass Koi Ayat Ya Hadees Sharif Ho Jahan In Chezo Ki Mana Kia Gaya Hai To Pesh Kijye Warna Musalaman Apki Be Buniyad Bato Ko Bina Daleel Kyu Manay? ALLAH Tala Ap Logo Ko Sahi Aqal Aur Samajh Ata Farmaey. Kuch Logo Nay Thoday Aur Bhi Sawalt Kiya Hain. Jaisay Kis Sahabi Nay Gyarahwi Ki Niyaz Karwaye Aur Kis Sahabi Nay Azan Say Pehlay Salat Padhi? In Kay Jawabo Kay Hawale Say Upar Samjha Diya Gaya Hai Kafi Detail Main Ki Har Cheez Sahaba Kay Daur Say Sabit Nahi Hai To Ab Aisay Sawalat Jinka Koi Maqsad Nahi Ho Sirf Logo Ki Gumrahi Ka Sabab Na Banay. Ab Apko Apke Mazhab Ka Sahi Aqida Dikhanay Ke Liye Apsay Chand Sawalat Matloob Hai? SAWAL 1: Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) Kay Ilm Ko Shaitan Lain Kay Ilm Say Kam Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye. Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Ke Pehswa Maulana Rashid Gangohi Nay Apni KitabBarahainay KatiyaPage 55 Me Likha Hai. Aisa Kis Sahabi Nay Kaha? Ye Sabit Kijye. Maazallah. SAWAL 2: Wo Kaunsay Sahabi Hai Jinhoone Nay Kaha Ki Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasallam) (Mazallah( Mar Kay Mitti Main Milgaye? Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail Dhelvi Apni Kitab Taqviyatul ImamPage 88 Main Likha Hai. Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai? Mazallah. Ye Sabit Kijye. SAWAL 3: Auliya ALLAH Ambiya Ko ALLAH Rabbul Izzat Ki Bargah Main Chamar Say Zyda Zalil Batane Wali Ayat Ya Hadees Pesh Kijye Ya Kisi Sahabi Ka Qual Ho To Hawala Dijye. Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail Dhelvi Apni Kitab Taqviyatul ImamPage 20 Main Likha Hai. Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai? Mazallah. Ye Sabit Kijiye. SAWAL 4: Namaz Main Nauzbillah Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ka Khayal Ko Janwaro Aur Pagalo Kay Khayal Say Badtar Batane Wale Sahabi Ka Naam Bataye. Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Ismail Dehlvi Apni KitabSiratay MustaqimPage 167 Main Likha Hai. Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai? Mazallah. Ye Sabit Kijiye. SAWAL 5: Nabi Pak (Sallallaho Tala Alaihi Wasalam) Ki Qabar Paak Ki Ziyarat Ko Kis Shabai Nay Galat Bataya? Ye Upar Likhi Hui Baat Aap Ki Jamat Kay Baday Alim Imam Ibn Taimiya Apni Kitab Fatawa Ibn TaimiyaMain Likha Hai. Ye Kis Sahabi Nay Kaha Hai? Mazallah. Ye Sabit Kijiye. SAWAL 6: ALLAH Kay Mehboob Say Mohabat Karnay Inki Arwah Ko Isale Sawab Karna, Inkay Wasilay Say Dua Krna, Khaday Hokar Salato Salam Padhna, Awliya Ki Qabro Ki Ziyarat Karna, Waha Quran Padhna etc. Kis Ayat Say Ya Hadees Say Shirk Sabit Hota Hai? Ya Kisi Sahabi Nay Mana Kiya Ho Ye Bataye. Agar Apkay Pass Iska Jawab Quran Aur Hadees Sharif Ki Roshni Ya Sahaba Karam Kay Qaul Kay Mutabiq Hai To Pesh Kijye Aur Agar Nahi Hai To Qabl Iskay Ki Maut Apsay Tauba Ka Waqt Chheen Le. Apnay Batil Aqayad Say Tauba Kijye Aur Masoom Musalmano Ko Mushrik Banaay Say Baaz Aaiye.
Posted on: Sat, 23 Nov 2013 19:22:21 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015