BISMILLAHIR REHMANIR RAHIM....... Frnds.........hamare waade ke - TopicsExpress



          

BISMILLAHIR REHMANIR RAHIM....... Frnds.........hamare waade ke mutabik Ambiya A.S. par series shuru karne ja rahe he.......Ummid he aap sabko bahut pasand aayega.....gaur se padhne par kafi jankari bhi milegi.....Sabse pehle Aadam A.S. se shuru karne se pehle qaynaat ki ibtida ke bare me bata rahe he.....jurur padhe.....kafi maja aayega insha Allah.......Apne frnds ko bhi share karke jyada se jyada logo tak pahuchane ki koshish kare.. - Allah Ta’ala Ne Noor Se Saari Qaayenaat Banaayee. Fir Sab Se Pahele Qalam (Pen) Ko Paida Kiya, Riwaayato Me Hai Ki Zameen Ki Takhkeek (Banaane) Ke 50,000 Hazaar Saal Pahele Allah Ta’ala Ne Qalam (Pen) Ko Paida Kiya. Allah Ta’ala Ne Qalam (Pen) Ko Huqm Diya, “Likh (Write) Toh Sab Se Pahele Qalam (Pen) Ne Bismillah Hir Rahemanir Rahim Likha, Yaani Ki Allah Ke Naam Se Shuru, Jo Ki Bahut Rahem Karne Wala Aur Bahut Meharbaan Hai. Allah Ta’ala Ne Fir Huqm Diya, “Likh (Write)! Iss Par Qalam Ne Arz Kiya, “Aye Mere Rab ! Kya Likhoo? Allah Ta’ala Ne Huqm Diya, “Ab Se Qayaamat Tak Jo Bhi Hone Wala Hai, Woh Sab Likh De”. Aur Qalam Ne Tab Se Lekar Qayaamat Tak Jo Bhi Hona Hai Woh Sab Likh Diya Jo Ki Lohe Mahefooz Me Darz Hai. Fir Allah Ta’ala Ne Farishto Ko Noor Se Paida Kiya, Jinnato Ko Aag Se. Aur Insaan Ko Mitti Se Paida Kiya. Farishte Din-Raat Allah Ki Ibaadat Aur Hamd-O-Sana Karte Hai. Aur Allah Ne Unhe Jis Kaam Par Ma’amoor Kiya Hai Farishte Uspe Amal Karte Hai. Aur Thakte Bhi Nahi. Allah Ne Ham Insaano Se Pahele Jinnato Ko Aag Se Banaaya Aur Unhe Zameen Ka Khalifa (Waris) Banaya. Iblees Jo Ki Jinnato Me Se Tha Uska Naam Azazil Tha, Aur Woh Bahut Ibaadat Guzar Tha. Duniya Ka Koi Bhi Kona Nahi Bacha Jahaa Usne Sajda Na Kiya Ho. Isi Wajah Se Woh Allah Ke Muqarab Bando Me Se Tha. Yahaa Tak Ki Woh Jannat Me Bhi Be Rok-Tok Aaya Jayaa Karta Tha. Allah Ta’ala Ne Jinnato Ko Apni Ibaadat Ke Liye Banaaya Tha, Lekin Jinnat Sirkash Ho Gaye Aur Zameen Par Fasaad Karne Lage. Qatal-O-Gairat Karne Lage. Allah Ta’ala Ne Azazil Ko Farishto Ka Sardaar Banaa Kar Zameem Par Bheja. Azazil Farishto Ka Lashkar Le Kar Zameen Par Aaya Aur Jinnato Se Jung Ki Aur Unhe Maidaani Ilaake Chhodkar Pahaado, Ghatiyo Aur Waadiyo Me Bhaagne Par Majboor Kar Diya. Allah Ne Farishto Se Kahaa, “Mai Insaan Ko Zameen Ka Khalifa (Waris) Banaane Wala Hoon. “Iss Par Farishto Ne Khadsaa Zaahir Kiya Ki Insaan Bhi Zameen Par Fasaad Karega Aur Qatal-O-Gairat Karega. Teri Ibaadat Ke Liye Ham Hi Kaafi Hai. Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Main Jo Jaanta Hoon Wo Tum Nahi Jaante”. Allah Ta’ala Ne Mitti Ke Khameer Se Aadam Ka Putlaa Tayyar Kiya. Ek Riwaayat Me Hai Ki Aaj Jahaa Khana-e-Kaaba Hai, Uss Jagah Se Mitti Li Gayee. Aur Ek Riwaayat Me Hai Ki Saat (7) Alag-Alag Jagaho Se Mitti Le Kar Khamira Tayyar Kiya Gayaa. Aur Uss Se Aadam Ka Putlaa Banaaya Gayaa. Allah Ta’ala Ne Farishto Se Kahaa, “Jab Main Iss Putle Me Apni Rooh Fookoo (Daaloo) To Tum Sab Sajde Me Gir Jaana”. Jab Allah Ta’ala Ne Aadam Ke Putle Me Rooh Daali Toh Sab Ne Sajdaa Kiya Siwaaye Iblees Ke. Allah Ta’ala Ne Iblees Se Poocha, “Jab Sab Ne Sajdaa Kiya Toh Tune Kyon Nahi Kiya? , Tujhe Kis Cheez Ne Roka ?. “Iblees Ne Apni Galti Nahi Maani Aur Takabbur (Ghamand) Se Kahaa. “Mai Iss Se Afzal (Behtar) Hoon, Tune Mujhe Aag Se Paida Kiya Aur Ise Sadi Huyee Mitti (Khanakti Huyee Mitti) Se Paida Kiya”. Allah Ta’ala Ne Kahaa, “Nikal Ja Yahaa Se, Aaj Se Tu Razim (Dhutkaara) Huwaa Hai, Aur Tujhpe Laanat Hai”. Iblees Ne Kahaa, “Aye Mere Rab, Jis Ki Wazah Se Tune Mujhe Dhutkaara Aur Laanat Ki, Mujhe Qayaamat Tak Mohlat De Ke Mai Ise Aur Iss Ki Aulaado Ko Gumraah Karoo Aur Inhe Teri Raah Se Rokoo, Aur Mai Chahe Aage Se Piche Se Upar Se Niche Se Jahaa Se Bhi Aawoo Koi Mujhe Dekh Na Sake”. Allah Ta’ala Ne Kahaa. “Mujhe Apne Jalal Ki Kasam, Ja Tujhe Mohlat Di, Lekin Mai Tujhe Aur Jo Teri Pairvi Karega Unn Sab Ko Jehannum Me Bhar Dooga. Aur Insaano Ki Rahenumaayee Ke Liye Mai Apne Nabiyo Aur Rasoolo Ko Bhejooga. Jo Bhi Muttaqi Aur Parhezgaar Hoga Aur Nek Amal Karega Mai Use Jannat Me Jagah Dooga”.
Posted on: Thu, 16 Jan 2014 09:37:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015