BJP Lao, Garibi hatao- Mitro yeh avashya parhen aur share - TopicsExpress



          

BJP Lao, Garibi hatao- Mitro yeh avashya parhen aur share karen. Midday meal - Vastvikta yeh hai ki jin sansthaon main garib bachchon ko nishulk shiksha aur midday meal ki yojana rakhi gai hai vahan garibon v unke bachchon ke sath khilwar ho rahi hai. Un sansthaon main vastavikta yeh hai kih vahan bachche sirf khane ka inzaar karte rahte hain parhai bulkul nahin hoti. Gala sara khana kha kar na sirf bachchon ka swasth kharab hota hai, siksha se bhi vanchit rah jate hain. bachchon ke ma-bap sochte hain mera bachcha parh raha hai. Aur jab tak parents ki ankhe khulti hain tab tak bahut der ho chuki hoti hai. Sarkar ko agar garibon ki asli maine main sahayata karni hai to kam-se-kam jeene ke lie avasyak vastuon ke damon par ankush rakhe taki garib bhukha aur nanga na rahe. Garib ke bachchon ka sarkari school main free admission karaen aur fees maaf karen. Ration sasta hoga to bhojan to apne ghar hi kar lega. Jitna paisa midday meal evam bare netaon ke janam v maran din ke advertisement par kharch kiya jata hai vah paisa agar Anaaj ke rakh-rakhav ke lie godam banane par kharch kiya jae to hamara desh kabhi bhukha nahin rahega. Lakhon tan anaaj har saal sarne se roka ja sakta hai. Bharatiya Janata Party ki yahi soch hai. BJP lao, Garibi hatao.
Posted on: Sun, 21 Jul 2013 06:19:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015