Ba-hawala ahkaame shariyat Mufti Muhammad Aqmal - TopicsExpress



          

Ba-hawala ahkaame shariyat Mufti Muhammad Aqmal Qaadri. --------------------------------------------- Islam hi ek aesa mazhab hai jo insano ne nahi banaya hai, ye deen Allah ne hume uske rasul hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ke sadke tufel mein humko diya hai. Allah ne time-time par logo ko sahi raasta dikhane ke liye apne nabiyo ko bheja. Nabiyo ka silsila Allah ne band kar diya. Iske baad Allah ne waliyo ka silsila shuru kar diya. Humko Allah ke in nek bando, wali-auliya se muhabbat karna chahiye aur inki taazim karna chahiye, aur inki zindagi se humko sabak lena chahiye ke inhone kese Allah ko raazi kiya aur islam ke liye kya-kya kurbaani di. Lekin aajkal hum log waliyo aur auliya-Allah ka haq ada karne ke bajae kuch dusre kaamo mein lag gaye hain, jinme se kuch ye hain 1. Chaadar - pahle ke zamane mein jab mazar puri tarah nahi bante the, tab jo Allah ke khaas bande hote the to inki kabar ke upar ek chaadar rakh di jaati thi jisse ye pata chal sake ke ye aam musalmaano ki kabar nahi hai, iska maksad bas yahi tha lekin time badla aur dheere-dheere aaj chaadar ko zaruri maan liya gaya hai, Aur log aesi mannat lete hain ki agar mera ye kaam ho gaya to mein chaadar chadhaunga, kya hum Allah ke waliyo, auliya se koi soda kar rahe hain? Astagfirullah, Ye baat yaad rakhen ke is chaadar se ne humko koi faida hai na Allah ke waliyo ko, kya wo hamari chaadar ke mohtaaj hain (nauzubillah), jabki sahi tarika ye hai ki jab tak pahli chaadar puri tarah gal kar khatam na ho jaaye tab tak dusri chaadar na chadhai jaaye. Lekin mazaro/dargaho par to roz chadar chadhai jaati hai, aur wahi chaadar wapas bikne bahar ki dukaan par aa jaati hai. 2. Aurat ka Mazar par Jaana - Hamari maa-bahno ko islam ka ilm bahut kam hota hai, aapko pata hoga ki Hazrat Umar (radi allahu anhu) ke time yaani aaj se karib 1400 saal pahle zamana-e-fitna ko dekhte hue aurato ka masjid mein jaana band karwa diya gaya tha, aur hukm diya tha ki aurat apne ghar mein hi namaz padhe, is baat ki shikayat lekar aurate hamari maa hazrate Ayesha (radi allahu anha) ke pass gai aur kaha ke jab Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne humko mana nahi kiya to Hazrat Umar (radi allahu anhu) kyo mana kar rahe hain, is par Ayesha (radi allahu anha) ne farmaya ke agar aaj Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) hote to aaj ka mahol dekh kar wo bhi yahi hukm farmate. Yaha is baat par dhyan dijiye ki parde ki wajah se aurato ka masjid mein jana band karwa diya gaya, to phir Allah ke wali ke mazar par aurat kese ja sakti hai, jabki mazar par jaana ‘mustahab’ hai matlab gaye to thik hai nahi gaye to gunah bhi nahi, lekin masjid mein jamaat ke saath namaz padhna ‘waajib’ hai to ab sochiye ke jab waajib kaam ke liye aurato ko ghar se nikalne ki ijazat nahi hai to ‘mustahab’ kaam ke liye kese hogi??? (3) Hamara haal ye hai ke hum ‘farz’ namaz ko na padhne ke liye bahana banate hain ke time nahi hai, phir hamare pass Allah ke waliyo ki mazar par jaane ka time kaha se mil jaata hai, jabki mazar par jaana to ‘mustahab’ hai aur agar namaz nahi padhi to sakht azaab aur gunahe kabira hai, aur afsos hai ke hum un Allah ke waliyo ka bahana lekar namaz chhodte hain, jinhone apni zindagi mei ek bhi namaz kaza nahi ki. (4) Mazar par jaane ka tarika Mazar par jaane ka tarika ye he ke daakhil ho kar mazaar ka chakkar na kaate, aur na usko haath lagaye, aur dua maange to yu hargiz na kahe ke “ya khwaja humko aulad de do, ya hamari pareshani door kar do”, ye tarika sahi nahi hai, balki dua to Allah se hi maango aur waseela in waliyo ka de do. Aesa karne se Allah jaldi dua sunega, qadam bosi bhi na kare to behar hai, kyonke usse bhi fasad peda hota hai, kuch jaahil log usko sajda samajh lete hain. (5) Ye jo non-muslim kehte hain ke hum bethe hue ki puja karte hain aur tum lete huo ki puja karte ho, ye bilkul galat baat he, lekin kuch kam ilm log he jinki wajah se hum sab badnam hote he, jo mazaro par sajda tak kar lete hain, maine khud bhi aesa karte hue logo ko dekha hai, lekin aese logo ne puri muslim qom ki zimmedari nahi le rakhi ke unki naa-daani ko puri qom se joda jaaye. (6) Hum mazaro ki ibadat nahi karte, bas mazaaro par jaakar apni mohabbat ka izhar karte hain, aur faateha padhte hain, ha agar koi nahi bhi jaaye to koi nuksaan nahi, kyonke quran aur hadees mein kahi bhi mazar par jaana ‘farz’ ya ‘waajib’ nahi, lekin 5 time namaz padhna farz hai, kyonke iska hukm quran sharif mein bhi hai aur be-shumaar hadeeso mein bhi. Agar chaho to faateha padh kar uska isaale-sawab ghar se bhi pahuchaya ja sakta hai. (7) Mazaro par qawwali - Pehle ke time qawwali mein music nahi hua karta tha, aur wo shariya ke hisab se hua karti thi, lekin aajkal qawwali bhi music (jese dhol, harmonium, baansuri/flute, ghungru) wagerah ke saath gaai jaati hai, jabki music islam mein haram hai. Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke har ghungru mein ek shaitan hoga hai. Dusri jagah aaya hai ke Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) apne kuch sahaba ke saath safar par the, raaste mein ek charwaha baansuri/flute baja raha tha, uski awaz sun kar aapne apne kaano mein ungli daal li aur tab tak daale rakhi jab tak baansuri/flute ki awaz aana band na ho gai. Aur iske alawa jitne bhi music ke saaman hain islam mein sab haram hain, sirf daff banaje ki shariyat ijazat deti hai, ab sochiye jab Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ko ye cheeze pasand na thi to unse muhabbat karne waale kisi auliya/wali ko ye cheeze kese pasand aa sakti hain. Bhaiyo bahno, ye mera sochna nahi he balke ye aqida hamare Aala Hazrat Imam-e-Ahle-Sunnat Ka Hai, kahi aesa na ho hum log zid mein kisi galat rah par chal den. Jin bhaiyo ko kahi kuch galat fahmi ho to wo ‘Aala Hazrat’ ki kitabo ko dekh sakte hain. Unhone bhi upar likhi baato ka hi hukm farmaya hai. Agar check karna ho to Aala Hazrat Imam-e-Ahle-Sunnat ki likhi kitabo mein dekhiye unke naam hain. Fatawa Rizwia aur Al Malfooz Inme se kuch fatwa is page par hain, Fatawa Rizwia, page-212) Al Malfooz, vol-2,page-102) IMAM AHMAD RAZA Khan QADRI BRAILVI" rahmatullah alyhi" KA FATWA : MAZAR KO HATH LAGANA,CHOOMNA,TAWAF AUR SAJDA KARNA KAISA HA ?? AALA HAZRAT wrote," Mazar ko hath na lagai,na Bosa day,aur tawaf bil itifaq najaiz ha aur sajda H A R A M ." 2.OONCHI QABAR BANANA--UNKA AIK AUR FATWA........"SAWAL: Qabar ka oocha banana kaisa ha ? JAWAB : Khilaf e sunat ha maray walid majid,walida majda,meray bhai ki qabrain dekhiay aik balisht sa oonchi nah hon gi." Allah hum sabko samjhne ki taufik ata kare. Aameen.
Posted on: Fri, 19 Jul 2013 05:30:58 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015