Baat Niklegi Toh Phir Duur Talak Jaayegi Loag Bewajah Udaasi Ka - TopicsExpress



          

Baat Niklegi Toh Phir Duur Talak Jaayegi Loag Bewajah Udaasi Ka Sabab Pochhenge Ye Bhee Pochenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyun Ho Ungliyaan Uthengee Sookhe Hue Baalon Kee Taraf Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Salon Ke Taraf Choodiyon Par Bhi Kai Tanz Kiye Jaayenge Kaampate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge Loag Zaalim Hain Har Ek Baat Ka Taanaa Denge Baaton Baaton Mein Mera Zikr Bhee Le Aayenge Unkee Baaton Ka Zara Sa Bhee Asar Mat Lena Warna Chehre Ke Taasuur Se Samajh Jaayenge Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Na Karna Unse Mere Baare Mein Koi Baat Na Karna Unse Baat Niklegi Toh Phir Door Talak Jaayegi... Can never get enough of Jagjit Singh and also of this awesome nazm... Kafeel Aazar (who hailed from Amroha) did not get much recognition, but this nazm gave Jagjit Singh a lot of fame and adulation... Na sirf alfaaz, par gaayaki, mosiqi sab bohat he behtereen hai... dil se likhi hui dil se gaayi hui... Heard this song was also recorded in Bhupinder Singhs voice once by Jagjit Singh much before he sang himself... Romi Mittal, might tell me) and also this nazm is where it all started, i mean the phenomenon called Jagjit Singh... Always... this nazm takes me to another world... youtu.be/JXzq96UgHOU
Posted on: Sun, 24 Aug 2014 16:50:36 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015