Badshah Ki Danai:- Hazrat Sadi (RA) farmatey hain k Hazrat Umer - TopicsExpress



          

Badshah Ki Danai:- Hazrat Sadi (RA) farmatey hain k Hazrat Umer bin Abdul Aziz (R.A) ki angashtari main aik aesa nagina jara hoa tha jis ki sahi kemat ka andaza johri bhi na ker skte the.Woh goya deryae nor tha jo raat ko din main badal deta tha. Itefaq aesa hoa k aik saal sakht kehet par gya. Log bhoko marne lagay. Hazrat ko in halat ka maloom hoa tou logo ki imdad k liye apni angashtari ka nagina bhi farokht kerdia aur jo kemat mili us se anaj khared ker taqseem ker dia. Jab is baat ka ilm ap k bhy khuwahoo ko hoa tou un main se aik ne ap se kaha, yeh apne kia kya?aesa bhesh kemat nagina bech dala? Hazrat ne farmaya k woh nagina mje bi bht pasand tha magar mai yeh baat gawara nhi ker skta tha k log bhook se taraptey rahe aur main kemti angothi pehne betha rahon. Kisi bhi hukmara k liye yeh baat zaib nhi deti k woh logon ko taqlef main dekhe aur apne aram aur zaib-o-zenat k saman ko aziz rakhey. Yeh farmatey hoye ap k rukhsar pe anson beh rahe the. Wazahat:- Hazrat Sadi (RA) ne is hqayat main hukmarano ko is farz ki taraf tawaja dilai hai k inhe apne aram aur asaish per awam k aram aur asaish ko tarjeh deni chahiye. Yeh aik aesa usool hai jo hukumat se le ker aik mamoli khandan tak ka ahata kerta hai. Her bala shaks k liye yeh baat zarori hai k woh zer-e-daston k khyal se kisi tarha bhi ghafil na ho. yeh us ki deni aur ikhlaqi zimedari hai. for more : visit hikayat-e-sadi.blogspot/
Posted on: Mon, 19 Aug 2013 20:35:51 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015