Bayaan karta hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek - TopicsExpress



          

Bayaan karta hoon apne lafzon main zazbaaton kii ek kahaani Pariyon si ek ladki kii ek dard bhari kahaani Yeh dastaan thi ek masoom pari kii jispe pyaar ka saaya tha Jo toot gayi thi tabse jabse kissii ne oose thukraaya tha Khamosh ho chuke labon par ek sannaata chha jata tha Ashqon se bheege huye chehre se jab zulfon ko main hatata tha Muskuraati thi woh hardam harpal woh muskati thi Main poochhta tha dard uska woh nagme gungunati thi Jab bheeg jati thi palkein kissii ko yaad karke Dekhti thi meri taraf dil k tukde char karke Main thaamna jo chahta kabhi who door hat jaati thi Mujhse apni dooriyon ka ehsaas bhi dikhati thi Bebas thi woh dil k haathon aur is zamaane se anjaan thi Nafrat bhi kaise karti woh ,oose sirf pyaar kii pehchaan thi Maine chhoda oose kucch waqt akele uski tanhayee main Dil ne roka mujhe bahut par chal diya de kar oose judaaii main Jab lauta main vaapas woh ph ir se muskuraayi thi Shayad kissii k pyaar kii chamak uski aankhon main ootar aayi thi Oosne bhar k mujhko baahon main pyaar se dekha tha Jab maine oosse uski khushi ka raaz poochha tha Sharmaayi thi woh phir oosne dheere se sar ko jhukaya tha Bataya oosne kii dil uska phir kissii par aaya tha Main khush tha oose dekh kar uski khushiyon main muskuraya tha Par phir kyun ootha ye dard sa dil mein main isko samajh na paya tha Main phir chal diya alag raah par oose chhod kar uski duniya main Tanha reh gaya tha main jaise kyun main ise samajh na paaya tha Door tha main phir oosse par uski yaadon se nahi tha Shayad main pehli baar uski khushiyon se khush nahi tha Beete qayi din woh yaadon k saaye main thi kho gayi Zindgi k ek mod par oosse mulaqat phir se ho gayi Main dekhta raha oose woh mujhko dekhti rahi Maine poochha na oosse kucch aankhon main baat ho gayi Thukraaya tha aaj oosne kissii ko jaane kya baat thi ho gayi Jaise who har gham se har khushi se anjaan ho gayi Kucch na kaha maine oose b as phir se dosti ko thaam liya Mohabbat k qayi roop hai bas is baat ko maan liya Na chahat thi kissii aur kii na kissii k pyaar kii aarzoo thi Bas who mere saath thi na ab kissii kii talaash thi Dastaan ye yahin par khatam nahi hoti hai Ye zindgi kii iske har panne par nayi ibarat likhi hoti hai
Posted on: Sun, 23 Jun 2013 21:40:03 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015