∗ Bhalayi Sikhane Wale Par Allah Ki Rehmat * » Hadees : Hazrat - TopicsExpress



          

∗ Bhalayi Sikhane Wale Par Allah Ki Rehmat * » Hadees : Hazrat Abu Umama Baahili (Razi Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Unhone Farmaya Ki, Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Ke Saamne 2 Aadmiyo Ka Charcha(Zikr) Kiya Gaya. Ek Unme Se Ibaadat Karne Wala Tha Aur Dushra Aalim. Toh Sarkar-e-Aqdas (Sallallahu Ta’ala Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki, “Ibaadat Karne Wale Par Aalim Ki Badhayi Aisi Hai Jaise Ki Meri Badhayi Tumhare Maamuli Aadmi Par. Phir Huzoor Ne Farmaya Ki, Logo Ko Bhalayi Sikhane Wale Par Allah Ta’ala Rehmat Naazil Farmata Hai Aur Uske Farishte Aur Zameen Aur Aasman Me Rehne Wale Yaha Tak Ki Chitiya(Aunt) Apni Bilo Me Aur Machliya (Fish) Paani Me Uske Liye Bhalayi Ki Dua Karti Hai”. -: (Tirmizi Sharif) SubhanAllah azzawajall! Do share for Raza e Ilahi.
Posted on: Sat, 24 Aug 2013 13:17:34 +0000

Recently Viewed Topics




© 2015