» Bismillah Hir Rahemanir Rahim « !!! Hazrat Musa (Alaihay - TopicsExpress



          

» Bismillah Hir Rahemanir Rahim « !!! Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Waqt ke Sabse Bade Aalim Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ka Ilm-e-Gaib !!! Aziz Dosto ,….. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Aksar Allah Ta’ala Se Hamkalaami (Baate) Karne Kohe Toor Par Jaaya Karte The. Ek Din Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Ilaahi Me Arz Kiya, “Aye Mere Rab Main Tera Deedaar Karna Chaahta Hoon, Tujhe Dekhna Chahta Hoon”. Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Tu Mujhe Nahi Dekh Sakta”. Lekin Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Bar-Bar Israar (Zid) Karne Par Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa Tu Uss Saamne Waali Pahaadi Par Apni Nazre Jamaaye Rakh, Mai Uss Pahaadi Par Apne Noor Ki Ek Jhalak (Tajjalli) Daloonga, Agar Wo Pahaadi Mere Noor Ki Jhalak Bardast Kar Le Toh Tu Bhi Mujhe Dekh Sakega”. Jaise Hi Allah Ta’ala Ne Apne Noor Ki Ek Jhalak Uss Pahaadi Par Daali Woh Pahaad Allah Ta’ala Ke Noor Ki Jhalak Bardast Na Kar Saka Aur Pal Bhar Me Jal Kar Khaak Ho Gayaa. Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ki Aankhe Bhi Apne Rab Ki Adna Si Jhalak Par Chaka Chaundh Ho Gayee Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Behosh Ho Kar Door Ja Gire. Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Hosh Aaya Toh Woh Apne Rab Ki Khoob Paaki Aur Hamd-O- Sanaa Bayaan Karne Lage. Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Baargaahe Ilaahi Me Ye Duwaa Ki, “Aye Mere Rab Paak Hai Tu Aur Main Tujh Par Pahele Imaan Lane Wala Hoon”. Aziz Dosto Ek Dafa (Waqt) Ki Baat Hai, Gaalban Ye Waqeya Uss Waqt Ka Hai Jab Bani Israayeel Ko Abhi Firoun Ke Qaid Se Aazaadi Nahi Mili Thi Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Mishr (Egypt) Me Hi Rah Rahe The. Kyonki Bani Israayeel Ki Firoun Se Aazaadi Ke Baad Ka Sara Zamaana Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Sahera-e- Seena Aur Teehaa Ke Maidaan Me Basar Kiya. Toh Mishr (Egypt) Me Kisi Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Poochaa Ki, “Is Waqt Zameen Par Sab Se Jiyaada Ilm Wala (Aaleem) Koun Hai?”. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Jawaab Diya, “Is Waqt Zameen Par Sab Se Jiyaada Aaleem Main Hoon”. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ka Ye Jawaab Allah Ta’ala Ko Napasand Aaya. Allah Ta’ala Ne Farmaaya, “Aye Musa ! Tujh Se Jiyada Aaleem Iss Waqt Zameen Par Mera Ek Maheboob Banda Hai”. Riwaayato Me Hai Ki Allah Ta’ala Ne Apne Jis Maheboob Bande Ka Ziqr Kiya, Unka Naam Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Tha. Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ka Naam Suna To Unse Mulaaqat Karne Aur Un Ki Khidmat Me RehKar Ilm Haaseel Karne Ka Iraada Kiya. Allah Ta’ala Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Uss Jagaah Ki Nishaandehi Kara Di Ya Bata Di Jaha Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Honi Thi. Us Jagaah Ke Baare Me Allah Ta’ala Ne Ye Farmaaya Ki Do Dariya (Samundar) Ke Milaap (Sangam) Par Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Hogi, Aur Saath Me Ye Bhi Farmaaya Ki, “Aye Musa Apne Saath Me Ek Machli (Fish) Bhi Rakh Lena Aur Wo Machli (Fish) Do Dariyavo Ke Milaap (Sangam) Par Jahaa Bhi Tum Se Kho Jaaye Ya Gum Ho Jaaye, Usi Muqaam Par Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Ho Jayegi”. Aziz Dosto Ye Jagaah Gaalban Jahaa Do Dariyavo Ka Sangam Ya Milaap Hota Hai Sudaan Me Hai, Jahaa Par Dariya-e-Neel Ki Do Dharaaye (Shakhaaye, Branch) Aapas Me Aa Kar Milti Hai. Ab Hazrat Musa Apne Khaadeem (Shaagird) Jinka Naam Yusa-Aa Bin Noon Tha, Jinhe Baad Me Allah Ta’ala Ne Naboowat Bhi Ata Ki Thi Aur Jo Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Baad Unke Khaleefa (Warish) Bane, Unhe Saath Lekar Safar Par Nikal Pade. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Khaadeem Se Kahaa, “Main To Tab Tak Chalta Rahooga Jab Tak Do Dariyavo (Samundar) Ke Milaap Par Na Pahooch Jaawoo, Chaahe Mujhe Kitni Hi Muddat Chalna Kyon Na Pade”. Chalte-Chalte Jab Wo Dono Do Dariyavo (Samundaro) Ke Milaap Par Pahooche To Achaanak Wo Machli (Fish) Tadap Kar Samundar Me Ja Giri Aur Usne Samundar Me Ajab Tarhaa Se Surangnuma Raasta Bana Liya. Aur Ye Baat Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Pata Nahi Chali. Aur Woh Dono Dariya (Samundar) Ke Milaap (Sangam) Se Aage Badh Gaye. Kuch Aage Jaane Ke Baad Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Khaadeem Se Kahaa, “Ye Safar To Bahut Thaka Dene Wala Hai, Mujhe Toh Iss Safar Se Koft Hone Lagi Hai, Tum Hamaara Khana Laavo Ke Khana Khaa Liya Jaaye. Un Logo Ne Apne Khaane Ke Liye Shaayad Bhuni (Fry) Huyee Machli (Fish) Rakhi Huyee Thi, Khaane Ki Baat Par Unke Khadeem Ko Yaad Aaya Toh Kahene Lage, “Bhala Dekho To, Jab Ham Log Do Dariyavo (Samundaro) Ke Milaap Par Ek Chattan Ke Paas Ruke The Tab Hi Woh Machli Tadap Kar Samundar Me Ja Giri Aur Usne Samundar Me Ek Ajab Tarhaa Ka Raasta Bhi Bana Liya Tha, Yeh Baat Main Aap Ko Bataana Hi Chaaheta Tha, Lekin Ye Shaitaan Hi Hai Ki Usne Mujhe Aap Se Iss Baat Ka Ziqr Karna Bhula Diya. Aziz Dosto Yahaa Par Bhi Allah Ta’ala Ke Do Moujjaze (Nishaniya, Karaamaat) Zaahir Huve. Pahela Toh Ye Ki Woh Machli Bhuni Aur Mari Huyee Thi (Dead And Fry Fish) Lekin Jaise Hi Woh Log Do Dariyavo (Samundar) Ke Milaap Par Pahooche, Woh Machli Zinda Ho Kar Tadap Kar Samundar Me Ja Giri. Aur Dusra Yeh Ki Jab Koi Machli Paani Me Girti Hai To Kuch Hi Lamho Me Paani Ki Sataah (Level) Baraaabar Ho Jaati Hai Lekin Yahaa Par Us Machli Ne Ek Ajab Tarhaa Se Samundar Ke Paani Ke Andar Hi Surangnuma Raasta Banaate Huve Apne Piche Nishaan Chodti Gayee …. Aziz Dosto ,….. Jab Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Apne Kaadeem Hazrat Yusa-Aa Bin Noon Se Ye Sara Waqiya (Baat) Suna Toh Fouran Keh Uthe, “Isi Cheez Ki To Hame Talaash Thi, Mujhe Fouran Uss Jagaah Par Le Chalo”. Isiliye Woh Log Apne Qadmo Ke Nishaan Par Waapas Chalne Lage Aur Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ke Paas Ja Pahooche. Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ke Nek Aur Barguzida Bande The, Allah Ta’ala Ne Unhe Apni Rahemat Se Nawaaza Tha, Aur Apne Paas Se Unhe Khaas Ilm Sikhaya Tha. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ke Paas Pahooch Kar Un Se Salaam Duwaa Ki Aur Kahaa, “Aye Khizar (Alaihay Salam) Agar Main Aap Ki Itteba (Pairvi) Karoo Toh Kya Aap Mujhe Uss Bhalaayee (Ilm) Ka Kuch Hissa Mujhe Sikha Denge ? Jo Allah Ta’ala Ne Aap Ko Sikhaya Hai”. Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Hazrat Musa (Alaihay Salam) Se Kahaa, “Aye Musa (Alaihay Salam) Allah Ta’ala Ne Apne Ilm Me Se Ek Ilm Mujh Ko Sikhaya Hai Jise Aap Nahi Jaante Aur Ek Ilm Aap Ko Sikhaya Hai Ji Se Main Nahi Jaanta, Aur Haan Mera Aur Tumhara Dono Ka Ilm Mil Kar Bhi Dariya (Samundar, Sea) Se Ek Chidiya (Birds, Sparow) Apni Chonch Me Jitna Paani Leti Hai, Itna Hi Hai. Aur Fir Farmaaya, “Aye Musa (Alaihay Salam) ! Aap Mere Sath Sabr Na Kar Sakoge, Aur Jis Haqiqat Ka Aap Ke Paas Ilm Na Ho Aap Uss Par Sabr Kar Bhi Kaise Sakte Ho ?” Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Aap Insha Allah Mujhe Sabir (Sabar Karne Wala) Paavoge, Aur Main Aap Ki Nafarmaani Nahi Karooga”. Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Agar Aap Ko Mere Saath Rahena Hai Toh Mujh Se Koi Baat Ya Sawaal Na Poochna Jab Tak Ki Main Khud Hi Aap Se In Baato Ya Sawaalo Ka Ziqr Na Karoo !”. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Mujhe Manzoor Hai” Aziz Dosto Iss Ke Aage Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ke Khaadeem Hazrat Yusa-Aa Bin Noon Ka Ziqr Nahi Hai, Shaayad Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Se Mulaaqat Ke Baad Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Unhe Wapas Jaane Ka Huqm Diya Ho. Khair, Ab Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Aur Hazrat Musa (Alaihay Salam) Saath-Saath Chal Pade. Kuch Der Chalne Ke Baad Raaste Me Ek Dariya (River, Nadee) Padi Isiliye Woh Dono Hazraat Qashti (Naav, Ship) Me Sawaar Ho Gaye. Uss Qashti (Naav) Ke Malik Ne Un Logo Se Kiraaya Na Liya. Jab Woh Log Kinaare Par Pahooche To Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Uss Qashti (Naav) Me Shigaaf (Hole, Ched) Kar Diya. Riwaayato Me Hai Ki Us Qashti Ke Ek Baajoo Ka Lakdi Ka Palla (Fatta) Ukhaad Diya. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ne Jab Ye Dekha Toh Un Se Rahaa Nahi Gaya Aur Un Hone Fouran Kahaa, “Kya Tum Ne Iss Naav Me Shigaaf (Chhed, Hole) Daala Hai Ke Qashti Walo Ko Hi Dooba Do?, Ye Toh Tum Ne Bahut Khatarnaak Aur Bura Kaam Kiya Hai”. Hazrat Khizar (Alaihay Salam) Ne Kahaa, “Maine Kahaa Nahi Tha Ki Tum Mere Saath Sabr Nahi Kar Sakoge”. Hazrat Musa (Alaihay Salam) Ko Apni Galti Ka Ahesaas Huwa Aur Un Hone Jawaab Diya, “Mujh Se Bhul Ho Gayee, Aap Meri Iss Galti Ko Nazar Andaaz Karde, Aur Mera Kaam Mere Liye Mushkeel Na Kare, Aaindaa Aisa Na Hoga”. Chunanche Woh Dono Hazraat Fir Aage C
Posted on: Thu, 14 Nov 2013 12:02:04 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015