Bismillah Hir Rahman Nir Raheem Shaitan ne kuch logon ko - TopicsExpress



          

Bismillah Hir Rahman Nir Raheem Shaitan ne kuch logon ko Aqeedat ka bahana karkey SHIRK mein laga diya hai aur isi tarah kuch logon ko Tauhid ka bahana karkey TOHEEN mein laga diya hai ------------------------------------- Urdu Translation: *Allah Subhanahu ki Wahdaniyat aur ibadat : Al Quran : Agar tumney shirk kiya to zaroor tumharey Amal barbad ho jayengey aur tum nuksaan uthane walon mein se ho jaogey {Surah Az-Zumar (39) , Verse 65} Al Quran : Wo ( Allah) mashriq aur maghrib ka malik hai uskey siwa aur koi Maabud (ibadat ke layaq) nahi hai to usi ko kaarsaz (kaam bananey wala) bana lo {Surah Muzzammil(73),Verse 9} *Rasoolllallah Sallallauhu Alaihi Wasallam ka martaba aur Azmat: Eh Imaan walon apni aawazien Nabee Sallallahu Alaihi Wasallam ki Aawaz se unchi na karo aur jis tarah aapas mein ek dusrey se zor se boltey ho unkey roobaru zor se na bola karo ki tumharey aamal zaya ho jaynegeyaur tumko khabar bhi na hogi. {Surah Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #2} *Sirf Allah hi faisla karney wala hai kaun jannati aur kaun jahannami: Hadith: Abu Hurairah Radi allahu anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya bani israil mein do shaksh they inmein se ek to Gunaahgar tha aur dusra Ibadat mein koshish karney wala tha , Ibadat ki koshish karney wala hamesha dusrey shaksh ko guaah karta hua hi dekhta tha aur us sey kahta tha ki in gunaaho se ruk ja. Ek roz usney (ibadat guzar ne) usey koi gunaah kartey huye paya to us sey kaha ki is sey ruk ja to gunaahgar ne kaha ki mujhe mere RAB ke saath chorh de , kyat u mujh par Nigahban bana kar bheja gaya hai ? usney kaha ki Allah ki kasam Allah subhanahu teri maghfirat nahi karengey ya kaha ki Allah subhanahu tujhe jannat mein dakhil nahi karengey phir un dono ki rooh Qabz kar le gayee to dono ki roohain Rabbul Aalameen ke samney jama huyee to Allah subhanahu ne Aabid ( ibadatguzar) se farmaya ki kya tu us cheez par Qadir hai jo mere qabzey kudrat mein hai, aur gunaahgar se farmaya ki ja jannat mein dakhil ho ja meri rahmat ke badaulat aur dusrey se farmaya ki usey jahannam kki taraf le jao, Abu Hurairah Radi allahu anhu farmatey hai ki Qasam hai us zaat ki us Aabid ( ibadatguzar) ne aisa kalma kah diya jisney uski duniya aur aakhirat dono tabah kar di {Sunan Abu Dawud, Vol3, 1469 (Sahih)} ----------------------------------------------------- English Translation: * Worship to Allah alone: If you join others in worship with Allah, (then) surely (all) your deeds will be in vain, and you will certainly be among the losers. {Al Quran, Az-Zumar (39) ,Verse 65} Al Quran : He (Allah) is the Lord of the east and the west; There is no god but He.So take Him Alone as Disposer (Arranger) of your affairs. {Surah Muzzammil(73),Verse 9} *Love and Respect to our beloved Prophet peace be upon him: O you who believe! raise not your voices above the voice of the Prophet Sallallahu Alaihi Wasallam , nor speak aloud to him in talk as you speak aloud to one another, lest your deeds should be rendered fruitless (become vain) while you perceive not. {Al Quran , Al-Hujraat, Chapter #49, Verse #2} * Its Only Allahs power or rights to whom he will send in paradise or to whom he will send in Hell: Hadith: Narrated AbuHurairah Radi Allahu Anhu I heard the Apostle of Allah peace_be_upon_him say: There were two men among Bani Israil, who were striving for the same goal. One of them would commit sin and the other would strive to do his best in the world. The man who exerted himself in worship continued to see the other in sin. He would say: Refrain from it. One day he found him in sin and said to him: Refrain from it. He said: Leave me alone with my Lord. Have you been sent as a watchman over me? He said: I swear by Allah, Allah will not forgive you, nor will he admit you to Paradise. Then their souls were taken back (by Allah), and they met together with the Lord of the worlds. He (Allah) said to this man who had striven hard in worship; Had you knowledge about Me or had you power over that which I had in My hand? He said to the man who sinned: Go and enter Paradise by My mercy. He said about the other: Take him to Hell. AbuHurayrah said: By Him in Whose hand my soul is, he spoke a word by which this world and the next world of his were destroyed. {Sunan Abu Dawud, Book41, 4883 ( Sahih)}
Posted on: Thu, 31 Oct 2013 08:07:07 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015