Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Beshaq Jo log ye chahtey hain - TopicsExpress



          

Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Beshaq Jo log ye chahtey hain ki imaan walon mein be-hayaee ka charcha ho unkey liye Duniya aur aakhirat mein dardnak Azab hai --------------------------- Urdu Translation: Al Quran : Beshaq Jo log ye chahtey hain ki Imaan walon mein be- hayaee ka charcha ho unkey liye Duniya aur aakhirat mein dardnak Azab hai {Surah An-Noor(24) Verse 19} Al Quran : Jo Shaksh Neik baat ki sifarish karey to usko us (ke sawab) mein se Hissa milega, aur Jo buri baat ki sifarish karega usko us(ke Azab) mein se Hissa milega, Aur Allah har cheez par Kudrat rakhta hai {Surah-An-Nisa(4), Aayah 85} Hadith: Anas bin Malik Radi-Allahu-Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallhu-Alaihi-Wasallam ne farmaya jis Dawat deney waley ne bhi Gumrahi ki Dawat di aur uski pairwi ki gayee to usko pairwi karney walon ke barabar gunaah milega aur pairwi karne walo ke gunah mein koi kami nahi hogi aur jis dawat dene walon ne hidayat ki taraf bulaya phir uski pairwi ki gayi to usko pairwi karney walo ke barabar Ajar milega aur pairwi karney walo ke Ajar mein kuch kami nahi ki jayegi {Sunan Ibn Majah, Vol 1 , # 205 ( Sahih)} comment: internet par kuch bhi share ya upload karney se pahley achchi tarah se soch liya kijiye ki ye sharing meri neki mein ejafa karegi ya mere gunaahon mein ejafa karegi, agar aapney koi song ya behayee wala photo ya video upload kiya aur aapney socha ki main kal isey hata dunga aur is sey pahley hi aapko maut aa gayee to jab jab ye behayee wala video ya photo koi dekhega tumharey aamal namey mein gunaaho ka ezafa hota rahega. Allah subhanahu humein haq baat kahney sunney aur amal karney ki taufiq ata farmaye aur hamarey gunaaho ko maaf farma de -MFaisal
Posted on: Sun, 27 Oct 2013 02:27:27 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015