Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Isa Alaihi Salam ne kaha, - TopicsExpress



          

Bismillahirrahmanirrahim Al Quran : Isa Alaihi Salam ne kaha, Beshak ALLAH hi mera aur tumhara RAB hai isliye usi ki bandagi karo . Jab farishton ne kaha Eh mariyam ALLAH tujhko ek bete ki apni taraf se basharat (khushkhabri) deta hai uska naam Maseeh Isa Ibn mariam hoga jo duniya aur aakhirat mein martabe wala hoga aur ALLAH ke muqarrabo (khas bando) mein se hoga Aur jab wo Maa ki Godee mein hoga aur badi umar ka hoga to logon se baatein karega aur neiko mein se hoga . Mariyam ne kaha Eh mere RAB mujhe Beta kaisey hoga halanki mujhe kisi Aadmi ne haath tak nahi lagaya , farmaya isi tarah ALLAH jo chahey paida karta hai jab kisi kaam ka irada karta hai to usko yahi kahta hai ki ho ja to wo ho jata hai Aur wo (ALLAH) unhey (Isa alaihi salam ko ) likhna ( parhna) aur danayee aur taurat aur Injeel (Gospel ) sikhayega. Aur unko (Isa alaihi salam ko) bani israeel ki taraf Rasool bana kar bhejega (aur wo kahengey ki) beshak main tumhari RAB ki taraf se tumhare pass nishaniyan lekar aaya hu ki main mitti se ek parinde ki shakal bana deta hu phir usmein phoonk marta hu aur wo ALLAH ke hukm se udta hua jaanwar ho jata hai aur jo Maa ke pet se andhey aur kodi hote hain unhe achcha kar deta hu aur main tumhe bata deta hu jo kuch tum khakar aao aur jo kuch apne gharon mein rakhkar aao ismein tumhare liye nishaniyan hai agar tum iman wale ho aur mujhse pahli kitab jo taurat ( The book of jews) hai uski tasdeeq karne wala hu taki tum par kuch cheezein halal kar du jo tum par haram thi aur tumharey pass tumharey rab ki taraf se nishani lekar aaya hu isliye ALLAH se daro aur mera kaha mano Beshak ALLAH hi mera aur tumhara RAB hai isliye usi ki bandagi karo yahi seedha raasta hai Al Quran, Surah Aal-e-Imran (3), Verse 45-51
Posted on: Fri, 26 Dec 2014 17:55:37 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015