Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara Muslim main hum, watan hai - TopicsExpress



          

Cheen-o-Arab hamara, Hindustan hamara Muslim main hum, watan hai sara jahan hamara Tauheed ki amanat senon main hai hamarey Asan nahin mitana naam-o-nishaan hamara Duniya kay bu’t kadon main, wo pehla ghar Khuda ka Hum uss kay pasban hain, wo pasban hamara Baatil say dabney waley, aey Asman! nahin hum Sou baar ker chuka hai Tu imtihan hamara Salar-e-Karwan hai Meer-e-Hijaaz (PBUH) apna Iss naam say hai baaqi, aaram-e-jahan hamara Iqbal ka tarana baang-e-dara hai goya Hota hai jada paima, phir karwan hamara
Posted on: Mon, 23 Sep 2013 13:48:39 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015