Cinema dekhne ka jo maza hum logon ne lia woh is pidhi ko kahan.ma - TopicsExpress



          

Cinema dekhne ka jo maza hum logon ne lia woh is pidhi ko kahan.ma se hum pictur dekhne ke liye paise mangte.do teen din kahne par milte.hum doston ke sath chal dete.ticjet booking par bhid hoti.jaise taise booking khidki ke andar hanth dal dete.ek ched me teen char hanth ghus jate.ticjet wala khudra paisa nhi lautata.ab khidki se hanth nhi nikalti thi jaise taise nikalti to hanth me cut jarur rahta tha.jaldi se sabhi upar bhagte.jis ko jahhan seat milti baith jata.sath hi do char seat chek lia jata.bhid badh jati to bench lagte.bade bade pankhe khad khad chalte.aadhi aawaz to unhi ki hoti.kai bar pictr rukti .light aati to genrator band phir suru.niche pictr ke show catd hote.usi par pictr hit ho jati.kyon ki jab tk aap pictr nhi dekhte pictr ke bare me kuch pata nhi hota.nai pictr lagne par us ke sahar me hirding lagte postr chipkaye jate.jeep se prachar karaya jata.intrval me samose thanda pan ka maza liya jata.cycle stand me 200 se upar cycle rahti.log sitia bajate nachte gate chillate.ticjet nhi mile to gate par paise de kar ghus jao.paidal supriya urvashi tk chale jate.garmi se pasine pasine ho kar nikalte.site tuti hui.foam nikle hue kisi par aadhi fom hoti.handle par lakdi gayab.log siton ko fadte aur vir bante.ladkian chup chap aati film dekhti aur chali jati.ladkion ke piche baithna achcha lagta tha.janta cinema me sirf purani pictr lagti.bahut kam log jate the.supriya me mirning show chalta.ek do bar gaye the.wahan aap ka paya jana bura samjha jata tha.log saz sawar kar jate.pictr suru hone ke aadha ghante je bad ladkio auraton ke sari lipstic powder pasibe me bah jate.aurate god me kids le kr jati .woh rona dhona bachcha karta ki mt pucho .pati bachche ko lekar bahar jate.usi me LIBERTY cinema bhi tha.RAMSE BROTHERS ki bhutha filmo ka hall.pictr chalti achank band ho jati aur aap ke aadhe paise wapas ho jate. Bahut si yadein hain phir kabhi
Posted on: Sun, 11 Aug 2013 15:13:45 +0000

Trending Topics




© 2015