Dhyaan Se Socho, Prithvi Ke Bahar Ki Jagat Ke Bareme, Soura Mandal - TopicsExpress



          

Dhyaan Se Socho, Prithvi Ke Bahar Ki Jagat Ke Bareme, Soura Mandal Ka Soura Mandal Ke Bareme , Iss Soura Mandal Mein Abhi Tak Sirf Nau Graha Ka Sandhan Mil Chuke Hain, Ho Sakta Hai Aur Bhi Graha Raha Hoga Lekin Insaan Waha Tak Pohoch Nehi Paye, Sabse Karib Mangal Graha Tak Hi Nehi Pohoch Paye Thik Se, Viggyaniyon Kaha Karte Hain Surya Prithvi Ke Akar Ke Anusaar 14 Lakh Guna Bada Hain, 14 Lakh Guna Bada !!!! Matlab Hamare Prithvi Jaise 14 Lakh Prithvi Eksath Jodne Se Ek Surya Ke Saman Hoga. Aap Kalpana Kar Sakte Hain Kitna Bada!!!!! Abhi Taak Ek Hi Soura Mandal Ka Khoj Karne Me Insaan Samarth Huye Hai Wo Hai Hamare Apne Soura Mandal, Wo Bhi Prithvi Ke Sabse Karibi Graha Mangal Tak Pohoche Bina. Aisi Kitne Saare Soura Mandal Bhrammand Me Rehte Honge?? Jotirvid Aur Space Scientists Kehte Hai Aise Sancro, Lakho, Karoro Arbon Anginaat Soura Mandal Maha Shunnya Mein Mouzud Hain, Aur Uss Ek Ek Soura Mandal Mein Ek Ek Surya Ke Saath 10-12 Graha Aur Upagraha Ya Usse Bhi Jyada Mouzud Hain. Karoron Dhumketu (Comet),Karoron Chhaya Path Aur Usse Bhi Kayi Guna Jyada (Milki Way) Mahashunnya Me Viraajmaan Hain. Inn Me Se Gine Chune Kuch Surya Mandal Raat Ke Waqt Nakshatra Ki Rup Mein Hum Aasmaan Mein Dekh Pate Hain. Mahashunnya, Bhrammand, Space !!!!! Kya Isska Koi Seema Pariseema Hain?? Kaha Se Shuru Hui Aur Kaha Jake Khatam Koi Jante Hain?? Na Koi Adi Hai, Na Koi Maddhya, Hain, Na Koi Ant Hain. Ye To Maha Aseem; Maha Kaal Hain; Jaha Koi Seema, Koi Kaal, Koi Samay Nam Ka Chiz Ke Gunzaish Hi Nehi Hoti. Waha Ek Ek Din To Dharti Ke Ek Ek Hazar Saal Ke Barabar Hain, Jiska Kalpanay Bhi Hum Nehi Kar Sakte. Agar Main Kahu Purey Bhrammand Ke Tulna Mein Hamare Soura Mandal Kitna Bada Hain?? Jaise Ek Vishaal Twin Tower Building Size Art Paper Par Ball Point Pen Ka Ek Vindu (Point). Agar Prithvi Se 14 Lakh Guna Bada Surya Ek Vindu Hain To Prithvi Kaha Hain?? Kitna Bada Hain?? Ek Atom Hain?? Ek Nuclear Hain Yah Ek Virus Jaisa Hain Jo Khali Ankh Bina Microscope Ke Dikhai Nehi Deta?? Aab Tum Jara Ghorse Dekho Yeh Vishaal Bhrammand, Vishaal Maha Shunnya, Jiska Noi Koi Seema-Pariseema Hain, Na Koi Adi-Ant Hain, Na Koi Upar Nich Hain, Na Maddhya Hain, Na Koi Tal, Na Koi Atal. Prithvi Bolo Surya Bolo Sauramandal Bolo Kuch Bhi Naam Lo Har Ek Graha Hare K Chiz Iss Vishaal Anthin Mahashunnya Ke Tulna Mein Vindu Hi To Hain, Wo Bhi Aisi Vindu Jisko Thik Se Dikhayee Bhi Nehi Dete Honge Toh Ek Baat Bohot Geherai Ke Saath Apne Chinta Ko Lagana Ke JISNE YE SABKUCH APNE HATHO SE BANAYA HAIN WO KITNA BADA HOGA ???? Bhagwan/Allah/God Kitna Bada Hain???? Upar Se Agar Wo Dharti Ko Dekh Raha Hoga To Yeh Prithvi Unke Paas Ek Zarra Dhul Jaise Hi To Lagega. Jis Bhagwan Ko Na Koi Insaan Dekha Hain Na Dekhegi Jinka Na Koi Adi Na Koi Ant Hain Jo Avinashwar (Indestructible, Immortal, Imperishable Hain, Wo Purye Mahashunnya Purey Bhrammand Se Bhi Kitna Bada Hoga, Jiska Hum Andazaa Lagana To Dur Wo Drishti Ya Sochne Ki Shamta Hi Nehi Diye Gaye Hume . Phir Hum Ek Patthar Ki Murthy Ya Mitti Ke Putle Mein Kaise Unka Rup Banate Hain Kaise Hum Unh Eek Shape Ek Akar Ek Size Mein Late Hain Jinka Koi Shape Koi Akar Koi Size Hain Hi Nehi ?? Kya Usne Dekha Tha Bhagwan Ko Jo Sabse Pahele Murthy Banaya Tha?? Nehi. Prithvi Apne Kaksha Path Mein Round Ghumne Ke Sath Sath Surya Ke Bhi Charo Taraf Ghum Rahe Hain 24 Hours Non Stop, Surya Bhi Apne Kaksha Path Pe Ghumraha Hain Aur Annya Sab Graham Apne Apne Kaksh Mein Ghumte Hain, Jab Prithvi Ghumte Hain To Sab Kuch Uthal Puthal Kyu Nehi Ho Jati Hain?? Kyu Hum Ulte Nehi Ho Jate?? Kyu Raaste, Ghar, Buildings, Parvatein Har Chiz Kyu Hilke Nehi Reh Jate?? Kyu Ulta Nehi Ho Jata?? Kyu Hum Stheer (Stable) Rehte Hain??? Kisne Diya Prithvi Ko Yeh Chamatkari Madhyakarshan (Gravity) Ki Shakti?? Jiske Vajay Se Hum Hil Nehi Jate Hum Ek Jagah Par Atal Rehte Hain. Kaise Itne Bade Bade Samandar Ke Jalrashi, Kaise Sthal Bhaag (Land), Kaise Koi Bhumi Ya Parvaton Waise Ke Waise Stheer (Stable) Reh Jati Hai?? Itna Bada Prithvi Kaise Floating Kar Rahe Hain Mahashunnya Mein?? Kisne inn Sab Chizon ko Pakar Ke Rakkhe Hain?? Aur Hum Insaan Pehele Sochte The Ke Surya Hamare Prithvi Ke Charo Taraf Ghumta Hai. Jab Ke Qur’an Me 1600 Varsh Pehele Hi Spasht Rup Se Kahe Gaye Prithvi Apne Kaksha Par, Surya Apne Kaksha Par Aur Har Ek Chiz Apne Apne Kaksha Path Par Bhraman Kar Rahe Hai, Mahashunnya Aur Bhrammand Ki Vistaar Varnan Har Ek Graha Har Ek Nakshatra Har Ek Dhumketu Chand Sitaare Ittyadi Ke Bareme Jo Shabd Qu’ran Mein Uss Time Bole Gaye The, Aaj Bhi Scientists aur Jyotirvidone Ussi Chiz Ko Viggan Ke Duara Pramanit Hote Huye Dekh Paa Rahe Hain Hayrani Ke Saath. Ekbaar Prophet Muhammad Ke Saath Kuchh Logon Ne Jhagda Mod Liya Tha Ke Agar Waqe Mein Tum Allah Duara Bheje Huye Insaan Ho To Kuch Aisa Aloukik Chamatkari Karm Hume Karke Dikhao, Tab Jake Tumhe Manenge. To Uss Time Muhammad Ne Apne Hatho Ke Ungli Se Purnima Ke Purna Chandra Ko Ishare Ishare Me Do Tukde Karke Phir Usko Wapas Jodke Dikhaye The. Jaahir Hain Insaan To Kabhi Bhi Aisa Kar Nehi Sakta, Beshak Bhagwan/ Allah Ne Hi Unse Karwaya Tha. To Iss Tarha Chand Par Ek Daag Agaya Tha. (Jaise Ek Kagaz Phaad Ke Phir Jab Tum Dono Hisso Ko Phir Jodne Ki Koushish Karoge To Beech Mein Ek Curve (line) Dikhayee Degi, Tum Kuch Bhi Karke Wo Daag Ekdam Se Meeta Nehi Sakte.). 1961 Me Paheli Tin Insaan Jo Prithvi Ke Bahar Antriksh Par Gaya Tha, Wo Tin Astronauts Yuri Gagarin, Neil Armstrong, Aldrin, Yuri Gagarin Pehela Wo Admi Tha Jisko Chand Ka Ye Curve Dikhaye Diya Tha, Halake Baad Mein Wo Islam Qubul Kiye The. Oxygen Ke Bareme Ek Bar Socho, Agar Insaan Ek Minute Saans Band Rakhte Hai To Kaisa Mehesun Hoti Hai?? Insaan Ko Chhodo Baki Saab Prani Kulon Ko Kaisi Mehesus Hota Honga?? Kisne Banaya Ye Oxygen?? Jiske Vajay Se Samagrah Prani Kul Zinda Hain?? Agar Ek Sec Duniya Me Oxygen Nehi Rahega To Kya Hoga?? Hum Ek Pal Me Sab Mar Jayenge ?? Kisne Banaya Yeh Chamatkari Oxygen?? Hum Devi Devtaon Ke Rup Me Bhagwan Ko Mante Hain Jante Hain, Tum Dekho Ek Purush Ya Ek Stri Dono Hi Paida Hote Hai Aur Baad Me Paida Karte Hain. Matlab Dono Hi Pehele Khud Janam Lete Hai, Phir Wo Paida Karte Hain Aur Last Mein Dehant Ho Jate Hain. Agar Aisa Hain Phir To Devi Devtaon Bhi Ya To Purush Ya To Stree Linga Hain, Phir Wo Kaha Se Paida Huye The?? Kisse Paida Huye The?? Ekdaam Se Pehle Ki Bhagwan Ko Kisne Paida Kia Tha ?? Aur To Aur Bhagwan Ne Bachhe Bhi Janam Diye Aur Mar Bhi Gaye!!!!! Ye To Insan Ki Gunwale (Specialty) Ho Gaye Na ?? God Kaise Hue?? Ekdam Pehele God Kisise Paida Huye The ?? Koun Usko Janam Dia Tha ?? Dharti Par Sabse Pahela Insaan Kaise Aye Kisne Banaye Usko?? Sach To Ye Hain Jiske Paas Sabse Peheli Baar Janam Dene Ki Shatki Ho Wo Hi Mout Dete Hain, Phir Mout Se Wo Hi Zinda Karte Hain. Peheli Baar Koi Chiz Banana Mushkil Hoti Hai Ya Dusri Baar ?? Peheli Baar. Agar Peheli Insaan (Adam) Ko God Ne Bina Kisi Stri Purush Ke Sahare Banaya Toh Jesus Christ Ko Kyu Bina Baap Ke Kyu Nehi Bana Sakta?? Kyu Paida Nehi Kar Sakta ?? Jiska Janm Hota Hai Ekdin Usko Marna Padta Hain, Duniya Me Koi Bhi Prani Janam Lete Hai To Ek Na Ekdin Usko Marna Bhi Padta Hain. Jo Chiz Ka Shuruat Hai Uska Khatma Bhi Hai. Koi Bhi Chiz Ya Prakriti (nature), Kudrat, Ya Prani Ya Insaan Ki Agar Srishti Hoti Hai Usko Nishchit Rup Se Ekdin Vinaash Bhi Hona Hota Hai. Matlab Janm Mrittu Ek Ati Chirantan Satya Hain, Ye Dono Ek Dusre Se Jude Hue Hai. Jaha Janma Ya Srishti Hai Waha Mrittyu Ya Vinaash Avashaya Hogi. Agar Koi Bhagwan Bhi Janm Lete Hai To Yaqinan Uska Mrittyu Hona Bhi Tair Hain, Lekin Bhagwan Kaise Mar Sakte Hai Yaa Vinash Ho Sakte Hai Wo To God Hai, Yaha To Janm Mrittyu Ka Niti Jhuuta Sabit Ho Jate Hain!!!!! So Jiska Janam Prapt Hoti Hai Usko Mrittu Bhi Prapt Hoti Hai, Baas Sivaye Ek Ke Wo Hain Supreme God Jiska Na Koi Janam hua tha , Na Kisiko Janam Dia Tha Aur Na Kabhi Bhi Uska Mrittyu Hoga. Uska Koi Shuruat Nehi Hai Na Koi Ant Hai. Wo Anadi, Wo Anant Hai, Avinashwar Hai, Uska Kabhi Vinash Nehi Ho Sakta, Kyu Ki Wo God Hain. Wo Insaan Ki Jaat, Prani Ke Jaat, Koi Vastu Ki Jaat Nehi Hain, Wo To Khaas Hai Jiski Jaat Anokhi Hain. Duniya Ke Janm Mrittyu Nition Se Wo Bohat Upar Hai, Bohat Parhez Hai, Bohat Pavitra Hai. Ye Sab Mahashunnya, Bhrammand,Antariksh Me Jo Kuch Bhi Hain Ye Sab Ke Srishti Ke Bohat Pehele Se Hi Ekdam Shuruaat Se Hi Wo Viraazman Hai. Na To Usko Kisine Janam Dia Na Wo Kisiko Janam Dete Hain Aur Na Kabhi Uski Mrittyu Hogi. Zara Ulta Pind (Meteor) Ke Bareme Socho Ye Jab Karoro Miles/Hour Raftar Ki Tez Gati Me Iska Yatra Shuru Karti Hai To Chlte Chalte Iska Akar (Size ) Bhi Chhote Hone Lagti Hain; Suppose Shuruat Agar Football Ke Akar Se Hoti Hai To Khatama Tennis Ball Ke Akar Ho Jati Hai, Kabhi Kabar Jab Prithvi Me Ake Wo Girte Hai (Crash ) To Tennis Ball Size Ka Hi Hote Hue Girte Hai. Har Ek Nakshatra, Har Ek Soura Mandal, Har Ek Graha Upagraha, Har Ek Comet, Milki Way, Ulka Pind, Ye Prithvi Aur Iske Andaar Har Ek Chiz, Har Ek Insaan Ka Vinaash Bhi Ek Na Ekdin Anivarya (Inevitable) Hain, Sivaye Ek Ke Wo Hain God (ALLAH). Hamare Sanatan Dharm Me Har Ek Devi Devta Unse Bada Koi Na Koi Dev Ya Devi Ka Dhyaan Kia Karte The, Poojan Bhajan Kia Karte The, Lekin Ant Mein Akar Kiska Pooja Ya Dhyaan Kare Ya Karna Chahiye Yeh Spasth Roop Se Nehi Kahe Gaye. Matlab Ek Office Mein Sabse Nichli Post Hain Chaprasi Uska Boss Hota Hai, Ye Boss Ke Bhi Boss Hota Hai, Uska Upar Ka Bhi Boss Hota Hai Aisa Karte Karte Sabse Upar CEO Tak Jakar Pohochti Hain, Jiske Upar Koi Boss Nehi Hoti, Waise Hi Ek Na Ek Bhagwan To Jarur Hain Jo Sabse Upar Hai, Jiske Pashchat Koi Nehi Hain. Agar Hote To Ek Dusre Ke Saath Sangharsh Anivarya Thaa Us Sangharsh Ya Takrav Mein Sab Kuch Tabha Ho Jate…The Answer Is ALLAH. “ख़ुदा ही वो ज़ाते पाक है कि उसके सिवा कोई माबूद नहीं ( वह ) ज़िन्दा है ( और ) सारे जहान का संभालने वाला है उसको न ऊँघ आती है न नींद जो कुछ आसमानो में है और जो कुछ ज़मीन में है ( गरज़ सब कुछ ) उसी का है कौन ऐसा है जो बग़ैर उसकी इजाज़त के उसके पास किसी की सिफ़ारिश करे जो कुछ उनके सामने मौजूद है ( वह ) और जो कुछ उनके पीछे ( हो चुका ) है ( खुदा सबको ) जानता है और लोग उसके इल्म में से किसी चीज़ पर भी अहाता नहीं कर सकते मगर वह जिसे जितना चाहे ( सिखा दे ) उसकी कुर्सी सब आसमानॊं और ज़मीनों को घेरे हुये है और उन दोनों ( आसमान व ज़मीन ) की निगेहदाश्त उसपर कुछ भी मुश्किल नहीं और वह आलीशान बुजुर्ग़ मरतबा है .” (Al Qu’ran 2:255)…..it doesn’t matter to Allah what your age is you may be 10 year old may be 100 year old, Allah always keeps the option to make tawbah (repent and accept Islam) till your last breath of life….( if you really want to save yourself to be put into Fire of The Hell after death for billions of years…)
Posted on: Sun, 31 Aug 2014 10:43:45 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015