“Don’t Be Reactive” Ajj yeah janene ki koshsh karte hain - TopicsExpress



          

“Don’t Be Reactive” Ajj yeah janene ki koshsh karte hain ke hamara mind “Reactive” kiun hota hai. App mera yaqeen karien majority hamare yahan reactive hai per sawaal yeah hai ke aisa hai kiun. Jab tak cause pakkar mein nahi aiye ga tab tak solution kaise milley ga ? Abb mind ya dil ke kaam karne ke tareeke ko samjhne ke liye mein app se aik quotation share karna chahoon ga jo ke James Sellon ki hai. Who kehte hain “Our Thoughts Leads To Actions and Actions Becomes Our Habits, Habits Leads To Character and Character Lead To Destiny”. Iss ka matlab hai ke hamare thoughts mein or hamari habits mein aik relation hai or who bhi pakka. Hum kisi bhi habit ke saath paida nahi hotey. Jisse hum habit kehte hain uss ka beej kabhi na kabhi kahin na kahin hum ne apne ander boya hota hai. Hum ne boya hota hai yaa kisi or ne boya hota hai. Lekin who thought level per who beej boya gaya hota hai or who dheere dheere who beej pairrr bunn jaata hai jurrney pakkar leita hai or hamari personalty ka hissa bunn jaaat hai or maze ki baat hai yeah sab kuch anjaane mein hota hai ahista ahista hota hai hume pata bhi nahi chalta darasal ziyada tar beejh to hum bote bhi nahi hai. Yanii dekha jaiye to hamra dil or deemgh aise formland/ zameen ki tarah jiss per hum ne kabhi deehan hi nahi diya hai. Logg aaate hain or apne apne khayaalat ke beejh bo kar chale jaaate hain or hona chaihiye kya bhai agar zameen meri hai to mujhe uss ke mutabiq fasal ugaani chahiye apni pasand ke beech bowoo or us ski dekhbaal karoon or saafa suhtra bageecha buanaow. Abb science ki definition mein issi state ko conditioning kehte hain beliefes kehte hain aise khayalaat jinhu ne hamre dil or deemgh mei jarre laga li who belief system bunn jate hain. App manana shuru kar deite hain aisa nahi hai ke haamare saare beliefs ghalt hote hain achey beleifs bhi hai or buuure beleifs bhi hain. Lkein unforutantly kiun ke hum ne yeh beej khudh se nahi lagye huwe hain to issi waja se negative beleifs ki jo ratio hai who positive belfies ke saamne kaaafi ziyda hai. Kya hote hain negative belieifs aye dekhte hain 1. koi kaam mein kiun nahi kar sakta mein to acha hoon lekin log mujhe nahi sajmhte. 2. Mehnat to karta hoon lekin meri kismet achi nahi hai tabhi mujhe phal nahi milta. 3. Abhi waqt theek nahi chal raha kiun nahi apna bhi time aiye ga. Na jane kitne beleifes hamare ander jumme huie hain chupeey huie hain or hume agay bharrne se rokte hain aik example to banti hai ke kaise hamare beleifs hume agay bharrne se roktey hain. Henry ford ka ap ne naam sunaa hoga jo bohat famouse aadmi hai unnhu ne ford company ko establish kiya tha or henry ford ki aik bohat famouse quotation hai jo yeah kehti hai “If you think you can do it, or if you think you cannot do it you will always be right”. Yeah quotation self-explanatory hai agar koi sochta hai ke who koi kaam kar sakta hai who thek sochta hai kaam ho jaye ga par who yeah sochta hai ke kaam nahi hoga to yakeen mane ga ke kaam nahi hoga. Yani sab kuch app ki soch app ke mannene or app ke naa mannne per tikka hai kya yeah sach nahi hai kya app ke saath aisa nahi hota jab koi task aap ke saamne ati hai to ander se awaaz ati hai kya aap yeah kaam kar paow ge ya nahi or jaise hi awaaaz ati hai waisa hi result aaata hai. App ko yeah bhi bata do ke henry ford ne yeah kab kaha tha ford car company jiss waqt V-8 engine develop karne per kaam kar rahi thi to ford ki jo core team thi who uss kaam mein baar baar fail horehe the. Henry ford jo ke aik kaamiyab business man tha or aik behtreen leader bhi tha aik din uss ne apni core R & D team ko aik room mein bund kar diya or yeah golden words bole. “If you think you can do it, or if you think you cannot do it you will always be right”. Jab us ski team ka belief system can’t se can per shift hogya to V- 8 engine ki invention hui or yeah hi aap ne karna hai puurna believe system app ke mind mein jumma huwa hai usse to jumma rehene do app uss ka kuch nahi kar sakte app ne kya karna hai app ne naiye beej bone hain naiye beej kya hai ke I can do it. Iss beej ko apne system mei ghusaaa lo mind mein positive kisam ke naiyee beej bonaaaa iss ko app habit banaa lein. Hosakta ha ke henry ford ki baat app ko samjh mein na aiyeee hamare Pakistan mein 2 barre zabardast motivational speakers hain unn ko zaroor sunnee unn ka naam hai “ Qaiser Abbas & Ashraf Chaudhry ”. Qaise Abbas ki kitaab “Shabash Tum Kar Sakte Ho” app yeah kitaab parrhein app ko naiye zindagi milley gi mein ne bhi iss kitaab ko parrha or bohat mazza aya or enjoy kiya seekha or phir logon ko seekhaya. Or yeah kitaab urdu mein parrhne mein bohat asaani hoggi. App ko iss kitaab ki madad se aik beej bhi mile ga jo app ke thought level per kaam kare ga. Qaiser Abbas sb ke bare mein batata hoon inn ki aik training attend karne ka itteefaq huwa uss training mein innhu ne hume bataya ke zindagi mein jab koi task hamare saamne aati hai to ander se awaaz ati hai ke iss task ko karne mei kya kya mushkil hai. Qaiser Sb says apne system mein se mushkil words ko nikaal kar phaink do or usse replace kar do new words se or who new words hai “Shabash Tum Kar Sakte Ho”. Akhir mein app ko batata chaloon ke abb Henry Ford ne ya Qaiser Abbas ne Dr. Stephen Covey ki book parrhi hai yaa nahi yeah to mujh pata nahi lekin crux who hi hai abb dekhne wali baat yeha hai ke mujhe aisa kiun lagta hai kr crux who hai solution yeah diya hai ke how to take control on your mind per who yeah kehte hain ke apne thought level pr apne beej bowoo who hai “Jab mein aik bar commitment kar lieta hoon to apne app ki bhi nahi sunta” halaan ke mujhe pata hai ke yeah salmaan khan ne kahaa hai or iss se milti julti baat kahi hai yani jab mein commitment kar deita hoon to usse poora karta hoon chahye jo marzi ho jaiye dossre lafzon mein agar mein ne promise kar diya to samjho hogya inn beejon ko mantar ki tarahn apne system mei bithaa lo . Kya ha pehla beej jo henry ford ka beeej. • I Can Do it . Doosra beej Qaiser Abbas ka tha who kya tha : • Shabash Tum Kar Sakte Ho. Teesra beej jo Dr. Stephen Covey ka hai • When I commit I fulfill. App ko anne wale 30 din tak in dialoges ko baar baar duhraane hei subah utth ke baar baar duhraana hai raat ko sote hue duhraaana hai. Yeah dialges app ne mind mein jumm janee chahiye. Aane wali sab habits iss baat per depend karti hai ke app naiye naiye beejh ko bone ka kaam kitni shiddat se karte ho agar app nahi karo ge yanni dil ka control apne haat mein nahi lo ge iss ka matlab yeah nahi ke doosre log yeah kaam nahi karein gei har din koi na koi app ke mind mein thoughts ke beej bota hi rehta hai chahiye app ko pata ho chahaye app ko na pata ho. Abb advertisement wale dekho to who log yeah hi karte hain abb agar mein bolon “Surf” to 90 percent chance hei ke app ke deemagh mein aiye ga “Surf Excel”. Mein bolon cold drin to kya ayaa deemgh mein coke & pepsi. Aise na jaane kitne logon ne app deemgh mein apne apne pairrr laga rakhein hain meri app se aik hi request hai ke aap apne beej khudh bowo jo app ki zindagi asaan krein.
Posted on: Sun, 14 Dec 2014 06:54:20 +0000

Trending Topics



lass="sttext" style="margin-left:0px; min-height:30px;"> Christmas & New Years is just around the corner..Give the gift of
> Update on Banking crisis... news from Japan Following the
Egypt, Cairo, this video is alleged to be an evidence on Rabaa
g-for-the-Walk-to-keep-fit-topic-10152397240181983">Tested the Swede trail this morning for the Walk to keep fit &
in-height:30px;"> The UN’s Food and Agriculture Organisation (FAO) has forecast a
Compartilho depoimento do professor Hélio. _____ DE ANOS

Recently Viewed Topics




© 2015