Dunia ki abadi: 7 arab. --- America ki city New York ka zamini - TopicsExpress



          

Dunia ki abadi: 7 arab. --- America ki city New York ka zamini raqba: 305 square miles. New York ki abadi: 8.5 million. New York men har square mile area pe 27,800 log rehte hen. --- Agr hmen puri dunya ki abadi ko kisi jagah pe aise shift krna ho k New York ki tarah hr square mile area pe 27,800 log rhen, to hmen 251,800 square miles ki zarurat ho gi. Aur han, yad rkhen k New York k zamini raqbe men sirf log nahin bhre huey blke parks, hospitals, museums, libraries, universities, factories, airports, hotels & shopping centers bhi bohat hain. --- America ki riasat Texas ka zamini raqba: 261,800 square miles. Yani New York ki population density se bhi kam density k hisab se puri world ki population baasani riasat Texas men bhi sama skti hai & usi raqbe men dher sare colleges, hospitals, etc. bhi abadi k mutabiq hi hon ge dher sare. Texas ko square feet men dekha jaey to 7.4 trillion square feet jagah hai. Yani sirf America ki aik riasat men hi itni jagah hai k agr puri dunya ko wahan shift kr dia jaey to hr fard k hisse men 1000 square feet jagah aey. --- Mtlb ye nahin k puri world ko Texas men shift ho jana chaiey. Mqsd ye btana hai k dunia men jagah & wasail ki koi kami nahin. Sirf proper management ki zarurat hai. --- Ab pani ka issue. Ik insan ki daily ki zarurat, peene, khane, safai, etc. kliey: 50 liters per person, per day (average). Puri world ki abadi ki kamazkam rozana zarurat: 350 billion liters (350 million cubic meters) fresh water. America k 4th barey river, yani Columbia River ka average outflow of water: 7,500 cubic meters per second. Yani Columbia River sirf 13 ghante men 350 million cubic meter fresh pani hmari zaruriat puri krne kliey flow kr skta hai. Yani sirf aik Columbia River k daily outflow ka sirf 50% puri world ki needs ko pura kr skta hai. Aur yad rkhen k agr honesty k sath manage kia jaey to pipelines bichana bhi koi mushkil nahin. --- Ab food ka issue. 300 square meters zamin pe aik insan ki salana zarurat jitna khana ug skta hai. Aik square kilometer zamin pe 3333 ya kamazkam 3000 logon ki salana zaruriat jitna khana ugaya ja skta hai. Yani 2,333,333 square kilometers zamini raqba, 7 Billion world population ki salana khaney ki zaruriat puri krne kliey kafi hai. America k kheton ka kul raqba: 3,731,282 square kilometers. Yani sirf America k kheton se hi puri dunia k khane ki zaruriat puri ki ja skth hain. --- America ka kul raqba: 3,800,000 square miles. Yani agr ap puri world ki 7 billion population ko America men shift kr den to sirf 1,842 people per square mile ki population density bane gi. And hr fard k hisse men 15,133 square feet jagah aey gi, jo zarurat se bohat ziada hai. (1.0593792 * (10^14) sq ft) / 7 billion = 15,133.9886) --- Ab dekhen, Saudi Arab k eastern province ka kul raqba: 274,000 square miles. Yani, agr puri dunia ki abadi Saudi Arab k eastern province men shift ho jaey to wahan 25,500 people per square mile ki population density bane gi jo New York City se bhi kam hai. Hr fard k hisse men 1000 square feet jagah aey gi & wo tamam sahuliat bhi sb ko milen gi jo aik modern riasat men milti hain. --- Main ye nahin keh rha k puri dunia ki abadi ko Saudi Arab k aik hareybharey province men chale jana chaiey. Stats & figures k sath baat krne ka mqsd ye btana hai k hum puri dunia men phele huey hain, to agr thori ghairat k sath zamin ko rihaish, institutions, industries, kheton kliey manage kr lia jaey to aman qayim ho skta hai. And yad rhe k main ye bhi nahin keh rha k dunia ki abadi bohat ziada honi chaiey, bcz family ki management pe check rkhne ka asool hmen Quran se bhi milta hai. Agar eik lady ki shadi 24 years ki age men hoti hay to 25 years ki age mein us ka 1st baby ho ga. Surah Baqarah ki Ayat 233 k mutabiq 2 years ka gap for proper breast-feeding zaruri hai, so it means k 3rd year yani 28 years ki age men lady ka 2nd baby, and then 3rd baby at age 31. 3 babies k baad maa ki sehat bhi ijazat nai deti for more babies. Mother & child, 2no k liey health problems ho sktin hain. So, yehi family-planning & management hai, jo Quran & logic k mutabiq hai. --- Ye jo Accountancy & Business k students bethe hen hmare ird gird hr jagah. Agr ye profit maximize krne ki race ki bjaey, land & resources ki munsifana management pe thora kam kr lete to kya hi behtar hota. Lekin afsos, ye businessmen humanity ko exploit krne, apna maqrooz & ghulam bnane k methods find krte hen bs. Suboot chaiey? Nestle ka malik khud kehta hai k dunya ka sara pani privatize ho jana chaiey. He says k pani insan ka buniadi-haq nahin hai. He says k world ka sara pani sarmayadaron ki jageer honi chaiey. Ab aap khud in businessmen ki soch dekh len. Ye to dunya k sare water ko bhi apne control men krna chahte hen. Tak apko pani peene kliey bhi in companies ki ghulami krni pre. Ap aisi hi kisi company men nokri kren ge jo earth k resources (example: water) ko apne control men krna chahti hai, tak ap bhi paise kamane ki race men lg jaen & then ap wohi paise aisi hi kisi company ko wapis de k wo water kharid rhe hon ge, jise apne control men krne k kliey wo companies ap se nokrian krwati hain. Businessmen & banking families sath mil k apne dajl o fareb se sari dunia ka sona apni jebon men samet kr, dunya ko kaghaz k chand raddi tukrey thama k bewaquf bnati hain. We know that banks bhi businessmen k control men hote hen. Wo apni marzi se money print kr k, us money ki basis pe khud ko earth k resources ka jageerdar kehte hen. Then apko unhi businessmen ki nokri krni prti hai, tak wo apko paisa den, tak ap wohi paisa unhi businessmen ko wapis de k un se earth k resources men thora sa hisa mang sken jinhen wo apne qabze men kiey bethe hote hen. --- Earth ka 21% area sirf 15 landlords ki jageer hai. Earth k 85% natural resources sirf 183 companies k control men hain. 10 corporations aisi hain k hmari daily routine men kharidi jane wali products ko sirf wo control krti hain. 6 yahoodi corporations dunya k media ki aik big percentage ko apni mrzi se control krti hain. --- Main apko btata hun k kya hota hai. Aik science ka student koi idea sochta hai, us pe kaam krta hai & apne garage men present raw stuff se koi inqelabi machine invent krta hai, aur usey puri dunya tk pohanchana chahta hai tak insaniat ko benefit ho ske. Lekin phr kisi businessmen k hath lg jata hai wo idea & wo usey patent krwa k us pe apni malkiat ka raub jhaarta hai. Wo usey assembly-lines men mass level pe manufacture krta hai; un materials ka istemal krte huey jo nature men openly abundant hain tak sb un se faida utha sken. Qudrat hm se zameen pe mojud koi mineral-rock uthane ki qeemat nai mangti, lekin phr bhi wo businessmen hm se jhoot bolte hen k wo natural substance bohat mehanga hai, aur hum un ki baat pe yaqin bhi kr lete hen. Even agr us material ko factory men synthesize krna ho, to wo businessmen hm se bolte hen k factory lgana mehanga kaam hai, aur hm unki baat pe yaqin kr lete hen, halanke qudrat to hm se itni khuli zamin pe ghumne phirne ki kbhi qeemat nahin mangti. Aur phr wo businessmen apne Satanic agendas ki bina pe hmen apna ghulam bnane k liey us product ki price set krte hen & hmare zehn men ye baat bitha dete hen k hmen wo specific product use krne k liey, us specific businessmen ko, kch specific amount of money deni pre gi jis ko darasal print bhi wo khud hi krte hen. Sir. Nikola Tesla, Alternating Current k discoverer, puri world ko free men electricity dena chahte the. Wikipedia pe Niagra Falls k article men ja confirm kr len beshk, dunia k pehle 3 dams lgane wale scientist bhi Tesla hi the. Tesla ne kaha tha, All people, everywhere, should have FREE energy sources. Electrical power is present everywhere infinitely & can drive worlds machinery without the need of any polluting sources like coal, oil, gas, etc. Lekin aik businessmen J.P. Morgan ne Tesla k ideas ko aage na ane dia, un ki inventions ko suppress kr dia. Un k research-works ko apne control men kr k apne evil-business k liey istemal kia & humanity ko indoctrinate kia k jb bhi hmen thori si bijli use krni ho gi to corporations ko raqam ada krni pre gi, halanke A.C. k inventor Tesla k mutabiq us bijli ko sb insanon tk un k buniadi haq k tor pe free men pohanchna chaiey. Ab aap khud sochen, jb electricity produce krne k bohat se tariqe discover krne wala shakhs khud keh rha hai k electricity free hai, to phr kisi company ko kya haq hai electricity k bills lene ka? Electricity unki jageer hai kya? Electricity to qudrat ka aik haseen phenomenon hai, and qudrat to kbhi hum se koi bill nahin mangti. --- Socialism hi wahid solution hai. Under socialism, work is a universal duty, & the workers partake of the whole output. Yani k, socialism men hr bnda kaam krta hai aur wo bhi khidmatekhalq k jazbe se, & paise kamane wala koi system nahin hota, blke logon ko commune system k tehat un k buniadi huqooq milte hen, jese roti, kapra, makan, taleem, etc. Aik aisa system jahan jobs ki jagah zimmedarian hon gi & paise ki jagah natural huqooq. Jahan tamam log aik dusre pe munhasir to hote hen, lekin koi kisi ka muhtaj nahin hota. Jahan log aik dusre se muqablebazi ki bjaey, aik dusre ko brotherhood se strong bnate hen. Get rid of value and profit. People will not steal if they do not desire. Example: Mobile Companies. Socialist society men competition k liey bnai gayi dher sari tarah ki mobile companies jaise k Nokia, Samsung, Apple wghera nahin hon gi. Balke puri Earth k liey aik World Mobile Network unit ho ga. Jis ka mqsd business krna nahin; blke mqsd ye ho ga k hr insan ki zarurat k mutabiq environment friendly smartphones bnaey jaen tak sb human-beings k hathon men knowledge k resources tk rasai ka muft zaria pohanch jaey. --- ... Aur Allah ki zameen waseeh hai , ... (Quran 39:10) ... Aur Allah ne tamam logon ki zaruriat k mutabiq zamin men saman e khurak paida kia. (41:10) Aur zameen ko banaya Allah ne tamam makhluqat kliey. (55:10, 2:29) Allah ne tmhre lie zamin ko kushada bnaya tak tm is mn ghoomo phiro. (71:19-20) --- ~ Compiled by Ammar. via Ahmad Ammar
Posted on: Sun, 10 Nov 2013 14:06:41 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015