EK BAR ZARUR PADHNA 1. Janwar main Aqal aur farishtey - TopicsExpress



          

EK BAR ZARUR PADHNA 1. Janwar main Aqal aur farishtey main Khuwaish nai hoti magr Insan main dono hoti hain. Ager wo aqal ko daba dey toh janwar aur ager khuwaish ko daba ley toh farishta. 2. Insan eik dukan hai aur Zuban us ka taala. Taala khulta hai to maloom hota hai k dukan soney ki hai ya koiley ki. 3. Insan buzdil itna hai k sotey huwe khuwab main bhi dar jata hai aur be-waqoof itna k jaagtey huwe bhi apne Allah sey nahi darta. 4. Dunya naseeb sey milti hai aur aakhiret mehnat sey magr aaj hamari sari mehnat dunya k liye hai aur aakhirat ko hum ne naseeb per chhor diya hai.
Posted on: Wed, 17 Jul 2013 13:01:48 +0000

Trending Topics



Recently Viewed Topics




© 2015